***AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-191***
**Huquq ul Ibaad/Human Rights -179**
**Tamaam Insaano ka face look alag alag Banaaney mein ALLAH kee Kiya Hikmat hai ??
Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal Mafhum e Hadees kee Tashreeh mein ye Batayaa tha Rahbaaneeyat yaanee DunyaaDaaree se alag hokar Zindagee Guzaarney kee Deen e Islaam mein Taalim Naheen dee gayee hai balkee Logon ke saath rahkar uunkee Takaaleef par Sabr karke Huquq ul Ibaad ada karney mein Kamaal hai !!
Aage Padhiye....
Deen e Islaam kee ye Taalim hai ke Insaan logon ke Saath rahe, uunke Haq ada karey aur uunke jaaneeb se milne wali Takaaleef par Sabr karey aur eseeliye hee ALLAH ne Insaan ko Mukhtaleef Shakal dee hai, Jaanwaro kee Tarah Ek hee Shakal Nahee dee taake Insaan Ek Dusro ke Saath MilJul kar rahe aur uunke Haq ada karey aur uunke Jaaneeb se Milney wali Takaaleef par Sabr karey !!

Sochaa Kabhee ??
Aaj kee Taarikh mein Dunya mein 700 Crore Insaan hai aur Sab ka face look alag alag hai aur Hazrat Aadam a.s. se lekar Aaj kee Taarikh tak Jitney bhee BeHisaab logon ka Inteeqaal ho chuka hai uunka bhee face look alag alag hee tha !!
Agar koi Apple ya Samsung jaisey Giant Manufacturer ko Ek-Ek Crore SmartPhone ka Order de aur kahe ke Sab ka face look alag alag chaheeye, Kya Apple aur Samsung alag alag face look wale SmartPhones de sakta hai ?? Kabhee Nahee !!
alhumduLILLAAH....Saaree Taareef ALLAH kee hee hai !!
alhumduLILLAAH....Saaree Taareef ALLAH kee hee hai !!
---------------------------/---------------/-------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
-----------/-------------/-------------/--------------/--------
Post a Comment