0


***AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-190***
***Huquq ul Ibaad/Human Rights -178**
          _*Bila Sabr Huquq ul Ibaad kee
              Adaaygee Mumkin Naheen !!
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
إِنَّمَا يُوَفَّى الصَّابِرُونَ أَجْرَهُم بِغَيْرِ حِسَابٍ
Surah (No.39) Zumar, Aayaat No.10 (39:10 part)
Mafhumee Tarjama :
Beshak, Jin Logon ne Sabr kiya hai uunko (Dunya aur Aakhirat mein) BeHisaab (BeShumaar) Aj'r (badla) Milenga !!
Mafhum e Hadees :
Ek Musalmaan wo hai jo Logon ke Saath AlagThalag Beth gayaa, Logon se KanaraKashee Ikhtiyaar kar lee (yaanee Taluqaat khatam kar diye taake itmeenaan se Ibaadat mein MashGhool rah sakey),
Dusra wo Musalmaan hai Jisne Tanhaaee Ikhtiyaar Naheen kee balkee Logon se Milaa-jula raha (aur Logon se milne waalee Takleef par Sabr bhee kiya toa) ye (Dusre wala) Musalmaan Behtar hai (pehle wale) Musalmaan se (jo Logon se AlagThalag rahta hai)
~ Raavee, Hazrat AbduLLAAH ibn e Umar razee./Tirmizi Shareef-2507
Mafhum e Hadees :
Rahbaaneeyat yaanee DunyaaDaaree se alag hokar Zindagee Guzaarney kee Deen e Islaam mein Taalim Naheen dee gayee hai balkee Logon ke saath rahkar Huquq ul Ibaad karna Kamaal hai !!
Nuktaa...Point...
sirf Deen e Islaam mein hee Social Life guzaarney wale Aam Aadmi ko Non Social Life guzaarney walon se Behtar bataya hai baaqee Dusrey Tamaam Mazhab/Dharm/Religion walon ne toa Saadhu, Saadhvee, Father, Nuns ko Social Life guzaarney wale Aam Aadmi par Tarji dee hai !!
------------------/-------------/---------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet.
---------------/----------------/----------------/---------------

Post a Comment

 
Top