0


****AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-187****
***Huquq ul Ibaad/Human Rights -175**
        ***Esaar kee Anmool Misaal**
RasulALLAH ke Elaan par Hazrat Saabit Qais Ansaari razi. Ek (Deenee) Mehmaan ko Apney Ghar le aaye magar uunkee Biwee ne bataya ke Khana sirf Bachchoon ke liye hee hai lihaaza Biwee ne Bachchon ko Fuslaakar sula diya aur Dartarkhaan lagakar Mehmaan ke Saamney Khana Pesh kiya aur jaisey Mehmaan ne Khana Shuru kiya tab Biwee ne bahaney se Charaag buja diya aur Dono Miya-Biwee khana Khaney ki Sirf Naqal ACTing kartey rahey taake Mehmaan Bhar Pet Khaana kha sakey, jab ye Baat RasulALLAH tak Pahoochi tab ye Aayat Naazeel hue :
وَيُؤْثِرُونَ عَلَىٰ أَنفُسِهِمْ وَلَوْ كَانَ بِهِمْ خَصَاصَةٌ
Surah (No.59) HaShr, Aayaat No.09 (59:09 part)
Mafhumee Tarjama : aur Ye (Aisey) Log (hai jo) Dusron ko (Madad karne mein Khudpar) Tarjee (preference) Detey hai (agarchey) Khud Tangdast (hone ke baawajud dusron par kharch kartey) hai !!
Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye bataya tha ke Sayyad tu TaaEefaa, Shaikh ul MashaaEeq Hazrat Haajee Imdaad ul Laah Muhaajir e Makkeeh rh ka Anmool Qaul hai ke :
Ettehaad-Unity-Ekta ke liye Apney Andar 2 Baatey Paidaah karo :
1) TawaazuN (Atedaal/Balance in all aspects) 2) Esaar
1) jis Insaan mein TawaazuN hongee toa wo Apna Haq Dusron par Nahee samajenga aur jab Apna Haq hee Naheen samajenga toa Jhagdaa Paidaah hee naheen honga...Tamaam jhagde kee bunyaad hee Apney Haq, Apnee Ana, Apnee Khwaaeesh, Apnee Nafs kee Riza hai...
2) Har Insaan mein agar Esaar Paidaah ho jaaye yaanee Dusro kee Raahat ke liye Khud kee Raahat kee Qurbaanee deney ka Zasba toa Uummat mein Ettehaad Paidaah ho jaaenga...
-----------Apnee Uumeedey Makhluk se Hataakar sirf ALLAH ke hawaaley karne kee
Anmool Nabwee DuAa...
RasulALLAH ye DuAa maanga kartey thea :
ALLAHummaj Al-Fee Qalbee Rajaa-a ka Waqta'a
Rajaaee an man Siwaak
Mafhumee Tarjama : aye ALLAH merey DiL mein Teree Uummeedey Daal De aur
meree Uummeed har Ek Makhluk se Khatam kar De...
-----------------------------/---------------------/--------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
---------------/------------------/-------------------/----------

Post a Comment

 
Top