0



***AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-184****
***Huquq ul Ibaad/Human Rights -172***
***Shaitaan ka JaaNasheen****
Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Mafhum e Hadees bataayee thee ke Jo Shakhs logon ke Darmiyaan MuSaalAt (Sulaah) ke Khatir koi Achchhe Baat idhar se uudhar pahocha deta hai ya Ek ki Baat dusre ko es tarah Naqal karta hai ke Ek ke DiL mein Dusre ki Qadr Paidaah ho aur Nafrat Dur ho jaaye toa aisa Shakhs (Sulaah ke Maqsad se Zaheeri Jhuth lekin Baateenee Sach bolne ki wajeh se ALLAH ki Nazar mein) Kazzaab aur Jhutha Nahin hai..
(Bukhari Shareef, Kitaab ul Sulaah/Raavi Hazrat Umm e Kulsum razi.)
Aage Padhiye...
Mafhum e Hadess :
Badey Shaitaan Eblees ne Logon ko Bahkaaney ke liye Chhotey Shayaateen kee Ek JamaAt bana rakhee hai...
Eblees baaz Avqaat Samandar par Apna Darbaar Munaaqid karta hai aur Chhotey Shayaateeno se Kaarguzaaree leta hai...
* Ek Shaitaan Kaarguzaaree mein ye Kehta hai meine Aaj Ek Shakhs kee Namaaz Qaza karwa dee...Eblees uusey Shaabaashi deta hai....
* Ek Shaitaan Kaarguzaaree mein ye Kehta hai meine Aaj Ek Shakhs ko Rozah rakhne se Rukwa diya....Eblees uusey bhee Shaabaashi deta hai....
* Ek Shaitaan Kaarguzaaree mein ye Kehta hai meine Aaj Ek Shakhs ko Sadqauh deney se Rukwa diya...Eblees uusey bhee Shaabaashi deta hai....
* Ek Shaitaan Kaarguzaaree mein ye Kehta hai meine Aaj Ek Miya-Biwee ke Darmiyaan NaaChaakee karwa dee aur baat Talaaq tak Pahooch gayee....ye Suntey hee Eblees uusey Galey lagakar Kahta hai ke Tu Mera Saheeh JaaNasheen hai!!
Nukta...Point...
Tood ke Maqsad se Sach Bolkar Nafrat Badhane se Sulaah ke Maqsad se Maslati Jhuth Bolkar Sulaah karana Ziyaadaah Behtar hai ...!!
----------------------------/-----------------/------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet.
-------------------/----------------/-------------------/--------

Post a Comment

 
Top