****AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-183***
***Huquq ul Ibaad/Human Rights -171***
Jhuth Coated Sach :
Jhuth Bagair ka
Achchha Jhuth !!
Achchha Jhuth !!
Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Mafhum e Hadees bataayee thee ke Ek Martaba RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم Do Insaano ke Beech Sulaah karane Tashreef le gaye thea, wapsee mein Taakheer ho gayee es liye RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم Masjid e Nabwee mein JamaAt ke Waqt Tashreef Naa la sakey esliye Masjid e Nabwee mein Namaaz kee Imaamat kee Khidmat Hazrat abduLLaah Ibn e Aoof razi. ne dee thee !!
Aage Padhiye...
Mafhum e HadeEs :
Aage Padhiye...
Mafhum e HadeEs :
Jo Shakhs logon ke Darmiyaan MuSaalAt (Sulaah) ke Khatir koi Achchhe Baat idhar se uudhar pahocha deta hai ya Ek ki Baat dusre ko es tarah Naqal karta hai ke Ek ke DiL mein Dusre ki Qadr Paidaah ho aur Nafrat Dur ho jaaye toa aisa Shakhs (Sulaah ke Maqsad se Zaheeri Jhuth lekin Baateenee Sach bolne ki wajeh se ALLAH ki Nazar mein) Kazzaab aur Jhutha Nahin hai..
(Bukhari Shareef, Kitaab ul Sulaah/Raavi Hazrat Umm e Kulsum razi.)
Tashreeh :
Do Insaano ke Bich Jhaghda hai, agar koi Sulaah karaney kee Niyyat se Ek ko jaakar kahe ke Fula Shakhs toa Aap ke liye DuAa karta hai toa Dono ke Bich Sulaah ho saktee hai aur ye Baat 100 % Jhuth bhee Naheen hai kyuke har Insaan ye DuAa :
Rabbana Aa’tinaa Fid-Duniya Hasa-na-taw wa fil Aakhirati Hasa-na-taw wa Qee-naa Azaaban Naar
Surah Baqarah Aayaat No. 201 (02:201)

Soocha Kabhee...??
Do logon ke Darmiyaan Sulaah karaney mein jhuth Bolne ki bhi Ijaazat di gayee hai essey Sulaah ki ALLAH ke paas kitnee Ahmiyat hai eska Andaaza hota hai...!!
Nukta...Point...
Do logon ke Darmiyaan Sulaah karaney mein jhuth Bolne ki bhi Ijaazat di gayee hai essey Sulaah ki ALLAH ke paas kitnee Ahmiyat hai eska Andaaza hota hai...!!
---------------------/-------------/--------------/-------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
--------------------/--------------------/---------------------
Post a Comment