***AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-182****
***Huquq ul Ibaad/Human Rights -170***
Sulaah karana bhee Sunnat hai !!
Mafhum e Hadees :
Ek Martaba RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم Do Insaano ke Beech Sulaah karane Tashreef le gaye thea, wapsee mein Taakheer ho gayee es liye RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم Masjid e Nabwee mein JamaAt ke Waqt Tashreef Naa la sakey esliye Masjid e Nabwee mein Namaaz kee Imaamat kee Khidmat Hazrat abduLLaah Ibn e Aoof razi. ne dee thee !!
Tashreeh :
Es Hadees se bhee pata chalta hai ke Do Insaano ke Beech Sulaah karana Sunnat e Nabwee hai aur RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Do Insaano ke Beech Sulaah karaney ke Amal ko kitnee Ahmeeyat dee thee !!
Real Estate Dhamaaka Offer
...
Mafhum e Hadees ke Mutabiq Jo Haq par hone ke baawajud Jhaghde ke Dar se Apna Haq muAaf kar de uuske liye Jannat ke bichobich Ghar dilane ka RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Zimmaa liya hai...
...
Mafhum e Hadees ke Mutabiq Jo Haq par hone ke baawajud Jhaghde ke Dar se Apna Haq muAaf kar de uuske liye Jannat ke bichobich Ghar dilane ka RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Zimmaa liya hai...
Nukta...Point...
DiL mein Bugz-Adaawat-Nafrat-Keena Rakhnewala Kabhi Insaaf par Qaayam Nahin rah sakta !!!
-----------------------/-----------/------------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
----------------/---------------;/-------------/--------------
Post a Comment