0



***AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-181***
***Huquq ul Ibaad/Human Rights -169***
Nafil Namaaz - Nafil Rozah aur Nafil Sadaqaah se bhi Afzal
Amal Logon mein Sulaah karana hai !!
Mafhum e Hadees :
Do Musalmaano (ya koi bhi do Insaano) ke Darmiyaan NaaChaakee-Ikhlelaaf aur Kataao ho gaya ho, ya Do Musalmaano (ya koi bhi do Insaano) ke Darmiyaan Jhaghdaa Khada ho gaya ho aur Dono Ek-Dusrey kee Surat Dekhney ke RavaaDaar Naheen toa koi Aisaa kaam karo ke Dono mein Sulaah ho jaaye toa ye Kaam (Nafil) Namaaz, (Nafil) Rozah aur (Nafil) Sadaqaah se bhi Afzal hai (kyuke) Aapas mein Fasaad-Jhaghde-Nafrate-NaaChaakeeya ye (Deen ko) Mundnewali Cheez hai !!
Tashreeh :
Aapas mein Jhaghda Bahoot saarey Gunaah ka Majmua hai aur Insaan ke Baateen (inner) ko Sabse Ziyaadaah Tabaah-Khokhla karne wala Gunaah Aapas mein Ladaai-Jhaghda karna aur Ek Dusre se BugzoAdaawat rakhna hai !!
Nukta...Point...
DiL mein Bugz-Adaawat-Nafrat-Keena Rakhnewala Kabhi Insaaf par Qaayam Nahin rah sakta !!
----------------------/------------/------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
------------/---------------/---------------------/-------------

Post a Comment

 
Top