0



***AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-180****
***Huquq ul Ibaad/Human Rights -168***
Khush DiLee se Lee hue Cheez bhee uuske Istemaal ke Baad
Favran Waapas kar dena Farz aur Sunnat hai !!
Mafhum e Hadees :
Agar Tum ne kisee Waqt Dusrey kee Laathee (ke Istemaal kee) bhee (Khush DiLee se Ijaazat) le lee ho toa (Istemaal ke baad Favran) uusko Waapas kar de !!
Tashreeh :
1) Ho sakta hai jinse Cheez lee ho uusko wo Cheez kee sakht zarurat ho aur wo Waapas maangne Sharmata ho...
2) Agar lee hue Cheez Istemaal ke baad Favran Waapas Nahee kiya toa Dusree Martaba wo Insaan Tumhe koi Cheez Khush DiLee se Nahee Denga aur Muruwat wali Ijaazat se lee gayee Cheez ka Istemaal Durast Nahee...
3) Detey Waqt toa Sahib e Samaan ne Khush DiLee se Samaan diya tha lekin Waqt Ziyaadaah hone par ab uuskee Khush DiLee NaarazGee mein Transfer ho gayee, ab ye Khush DiLee se lee huee Cheez ka Istemaal bhee Durast Nahee !!
Soocha Kabhee...??
Kuch log koi bhee Cheez Ek-Do Ghantey ke Waadey par letey hai lekin uunkaa Waadaa Kabhee Pura Nahee hota...Ek-Do Ghantey ke Baad uus Cheez ka Itemaal ya Qabza Durast Nahee !!
Nukta...Point...
Aksar log Akhbaar....Kitaab....Pen....Match-Box....Charger... wagairaah ko Wapaas karna Zaruree Nahee samajtey balkey Wapas Nahee karney ko routine etiquette Samjhtey hai magar Deen e Islaam ke mutabiq estemmaal ke liye lee gae Ek Suee (Needle) bhi Waapas karna Farz hai !!
Deen e Islaam ke ilaawaa aur koi bhee Mazhab, Dharm, Religion, Concept mein aisey Ahkaam (commandments) Naheen hai !!
---------------------------/-----------------/-----------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
----------------/--------------------/-------------------/--------

Post a Comment

 
Top