0

***Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-883***
              ***Safar e Mearaaj - 14"**
Jab Arsh par ALLAH ke saamne RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne ALLAH ko Sajdaah kiya toa Dekha ke Arsh e Ilaahi ko uuthaaye hue 4 Farishtey Dhimi aur Bahoot achchhee Aawaaz mey Tarannum (melody) ke saath ye Tasbih padh rahe hai :-
Sub-haa-na KaLLAHuma wabi Hamdika Lakal Hamdu A’laa Hilmika Ba’Ada Il’mik..
Tarjama : aye ALLAH!, Teri paak zaat hi ke liye har tarah ki TaAreef hai ke Tu Bawajud I’lm ke Burdbaari aur Hilm karta hai...
----
Dusri Hadees ke Mafhum ke Mutabiq Roz e Qayaamat Arsh ko uuthaaney dusre (extra) 4 Farishtey bhi Shamil ho jaayenge jo ye Tasbih padhenge...
Sub-haa-na KaLLAHuma wabi Hamdika Lakal Hamdu A’laa Afwika Ba’Ada Qudratika..
Tarjama : aye ALLAH!, Teri paak zaat ke liye hi hai har TaAreef ke Tu Qudrat ke baaWajuud Muaafi aur Darguzar karta rahta hai...
(baaqi kal inshaALLAH To be continued...)
Note : Aaj ka Sabaq No. 546 aur Aaj ka Sabaq No. 882 kee Audio/image Ek hee hai, sirf Number Badli karke release kee gayee hai lihaaza jinhone Aaj ka Sabaq No. 546 kee Audio/Image Download kee hai wo double se Aaj ka Sabaq No. 882 kee Audio/Image Download Naa karey...Yaad rahey, Downloading jitnee kam kee jaayengee uutnaa hee Deen ka Faaydaah hai....Deen ke Dushmano ko Ek GB Downloading par Rs.20/- Bees Rupye Munafa milta hai jismese Rs.5/- BeDeene Failaaney mein Kharch hota hai lihaaza Sakht Zarurat aur Majburee mein hee Downloading kijiye...
____________//___________///_____________

***Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-884****
                  ***Safar e Mearaaj - 15***
Phir SidRati MunTaha (53:14) se Dunya ki taraf ravaana hue, Chhathey (6th) Aasmaan par Hazrat Muusa a.s ne wapas Arsh par jaakar 50 Namaazo ko kam ki darkhwaast ki aur phir baar baar Arsh par jaakar 5-5 kam karate gaye aur aakhir mey 5 Namaaze Farz karar hue jiska 50 Namaazo ka Sawaab deney ka ALLAH ne ailaan kiya tha.
phir SidRati MunTaha (53:14) se Dunya ki taraf ravaana hue aur Masjid e Aqsa pahochey aur phir BurAaq par Sawaar hokar Makkaah mey waapsi hue.
jab Makkaah mey logon ko saara waqiya sunaya toa kuchh Munkir jhaghad kar (53:12) tarah tarah ke Sawaal puchhne lage jiska RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Itmeen Bakhsh jawaab diya...
(baaqi inshALLAH kal... To be continued)
Note :Aaj ka Sabaq No. 548 aur Aaj ka Sabaq No. 884 kee Audio/image Ek hee hai, sirf Number Badli karke release kee gayee hai lihaaza jinhone Aaj ka Sabaq No. 548 kee Audio/Image Download kee hai wo double se Aaj ka Sabaq No. 884 kee Audio/Image Download Naa karey...Yaad rahey, Downloading jitnee kam kee jaayengee uutnaa hee Deen ka Faaydaah hai....Deen ke Dushmano ko Ek GB Downloading par Rs.20/- Bees Rupye Munafa milta hai jismese Rs.5/- BeDeene Failaaney mein Kharch hota hai lihaaza Sakht Zarurat aur Majburee mein hee Downloading kijiye...
----------------
Anmool Duruud
JumAaRaat (Thursday), JumAa (Friday) aur dusrey dino mein Kasrat se Padhiye
ALLAHumma Salli A'laa Sayyidina Muhammad ibni AbdiLLAH, Al Qaa- imu bi HaqqiLLAH, Maa Zaaqa Amrun illa FarrajahuLLAH bi Adadi Khalqik, wa Rida Nafsik, wa Zinata Arshik wa Midaada Kalimaatik, Adada Qatril Amtaari, wa Adada Waraqil Ashjaari, wa Adada Maa Azlama Alayhil laylu, wa Ashraqa Alayhin Nahaaru, Kullama Zakarahuz Zaakiruna wa Kullama Gafala An Zikrihil Gaafiloon.
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
----------------------/----------;-------------/------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
________//___________///__________///______


Post a Comment

 
Top