0



****Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-875****
               **Safar e Mearaaj - 6**
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mey 4 Piyaale (bowls) pesh kiye gaye jisme Pehle mey Paani, Dusre mey Dudh, Tisrey mey (Paak) Sharaab (e Tahura) aur Chauthay mey Shahad (honey) tha...
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Dudh (ilm/knowledge) aur Shahad (hikmat/wisdom) Ikhtiyaar kiyaa. phir Masjid e Aqsa se SidRatil MunTaha (53:13-14) jaane ke liye Ek ‘MeAraaj’ (Nuuri sidi/Lightning Velocity Escalator) laayee gayee...
(baaqi kal inshaALLAH To be continued...)
Note : Aaj ka Sabaq No. 539 aur Aaj ka Sabaq No. 875 kee Audio/image Ek hee hai, sirf Number Badli karke release kee gayee hai lihaaza jinhone Aaj ka Sabaq No. 539 kee Audio/Image Download kee hai wo double se Aaj ka Sabaq No. 875 kee Audio/Image Download Naa karey...Yaad rahey, Downloading jitnee kam kee jaayengee uutnaa hee Deen ka Faaydaah hai....Deen ke Dushmano ko Ek GB Downloading par Rs.20/- Bees Rupye Munafa milta hai jismese Rs.5/- BeDeene Failaaney mein Kharch hota hai lihaaza Sakht Zarurat aur Majburee mein hee Downloading kijiye...
----------------;;------------;;;-----------;;----------;;;---------;--
Tamaam Ghamo (sorrows) se Nijaat ka Anmool Wazeefaa
Awwal Aakhir 3-3 Martaba Duruud Shareef ke saath
1000 martaba padho
Hasbun ALLAHu wa Ni’mal Vakil
Mafhumee Tarjama :
Kaafee hai humaarey liye ALLAH aur (sirf ALLAH hi hai tamaam kaam supurd karne ke liye) hamaaraa Achchhaa Vakil* (Kaarsaaz)
*Dunyawee maamley mein bhee Insaan jab Vakil ko apna kaam supurd kar deta hai toa mutmaeen ho jaata hai...
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-------------------------/-----------/-----------/--------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
-----------/------------;;--------/-------------;;;----------/---

Post a Comment

 
Top