****Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-874****
**Safar e Mearaaj - 5**
(sabaq no.871 se jaari/continued from sabaq no. 873)
Masjid e Aqsa Pahooch kar RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Pehle 2 Rakaat adaa ki phir Tamaam Ambiyaa a.s. aur Tamaam Farishtey Jamaa ho gaye, phir Azaan di gayi aur JamAat se Namaaz padhi gayi jiski Imaamat RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne ki thi, phir Tamaam Ambiya a.s se Mulaaqaat karaayi gayee...Phir Tamaam Ambiya aur aakhir mey RasulALLAH ne Bayaan diyaa.. ye 'Puraano ka pehla Ijtemaah' tha..‘Ijtemaah’ se faarig hone ke Baad Masjid-e-Aqsa se baahar Tashrif laaye toa RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mey 4 Piyaale (bowls) pesh kiye gaye jisme Pehle mey Paani, Dusre mey Dudh, Tisrey mey (Paak) Sharaab (e Tahura) aur Chauthay mey Shehad (honey) tha...
(baaqi kal inshaALLAH To be continued...)
(baaqi kal inshaALLAH To be continued...)
--------------;-;--------------;;-;;------------;;;;-;;------------
ALLAH ki BaarGaah mey kiska hamesha Taskiraa hota hai ??
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Farmaan :
Jin Kalimaat se Tum ALLAH ki Badaai bayaan kartey ho in mey se
Sub-haa-naLLAH,
Laa ilaaha il-lal Laah,
Al Hamdu lilLAAH
hai, ye Kalimaat Arsh ke chaaro taraf ghumtey hai, uunki Aawaaz Shehad ki Makhkhiyon (honey bees) ki BhinBhinaahat (buzz) ki tarah hoti hai,
is tarah ye Kalimaat apne padhney waale ka ALLAH ki BaarGaah mey Tazkirah kartey hai… Kya Tum ye Nahin chahte ke ALLAH ki BaarGaah mey koi Tumhara hamesha Tazkirah karta rahey ??
(baHawaala Ibne Maaja Shareef)

Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
---------------------------/------------/--------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
------------------/----------------/----------------/------------
Post a Comment