0



****Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-873****
                **Safar e Mearaaj - 4**
*(sabaq no.871 se jaari/continued from sabaq no. 872)
Sabaq No. 870 se 872 mey Surah (no.17) Bani Israel ki Aayaat No. 1 ke Mutabiq Masjid e Haraam (Makkah) se Masjid e Aqsa (Jerusalem) tak ‘Isra’ ka bayaan diya gaya tha, ab Aaj ke Sabaq No. 873se Surah (no. 53) ki Aayaat No. 01 se 18 ke Mutabiq Masjid e Aqsa se SidRatil MunTaha tak ka ‘MeAraaj’ ka bayaan diya jaa raha hai...
Masjid e Aqsa Pahooch kar RasulALLAH ne Pehle 2 Rakaat adaa ki phir Tamaam Ambiyaa a.s. aur Tamaam Farishtey Jamaa ho gaye, phir Azaan di gayi aur JamAat se Namaaz padhi gayi jiski Imaamat RasulALLAH ne ki thi, phir Tamaam Ambiya a.s se Mulaaqaat karaayi gayee...
(baaqi kal inshaALLAH To be continued...)
Aaj ka Sabaq No. 537 aur Aaj ka Sabaq No. 873 kee Audio/image Ek hee hai, sirf Number Badli karke release kee gayee hai lihaaza jinhone Aaj ka Sabaq No. 537 kee Audio/Image Download kee hai wo double se Aaj ka Sabaq No. 873 kee Audio/Image Download Naa karey...Yaad rahey, Downloading jitnee kam kee jaayengee uutnaa hee Deen ka Faaydaah hai....Deen ke Dushmano ko Ek GB Downloading par Rs.20/- Bees Rupye Munafa milta hai jismese Rs.5/- BeDeene Failaaney mein Kharch hota hai lihaaza Sakht Zarurat aur Majburee mein hee Downloading kijiye...
---------------------/----------------/-------------/------------
Surah Ikhlaas
BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem Qul huwALLAHu Ahad.
ALLAHus Samad. Lam Yalid walamYulad. Walam Yakullahu Kufuwan Ahad.
Fazilatey :
•Raat mey apney Bistar par sooney ke liye aaye, Daahni (right) karwat par soye aur phir Surah Ekhlaas 100 Martaba padh le, Phir Hashr ke Maidaan mey ALLAH tAala khud Kahenga ke “aye merey Bande (bandi) ye Dahni Taraf teri Jannat hai, Daakhil ho Jaa...
(baaHawaala Tirmizi Shareef)
•10 Martaba Surah Ekhlaas padh lijiye aur Jannat mey Ek Mahal Book karwa Lijiye...
(baaHawaala Musnad e Ahmad Shareef)
•3 Martaba Surah Ekhlaas padhkar Tamaam Marhumo ko iska Sawaab Aaj/Abhi pahochaane ki Darkhwaast hai.
•3 Martaba Surah Ekhlaas padhene ka Sawaab purey QurAan shareef padhne ke barabur hai...
(baaHawaala JamUul Jawamil)
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
--------------------------/--------------/----------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
-------------/-----------------/-----------------------/---------

Post a Comment

 
Top