0



*****Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-871****
               ***Safar e Mearaaj - 2***
Makkah se ‘Safar e MeAraaj’ shuru huaa, Pehle Madinaa, Phir Wadi e Seena mey Shajar e Muusa A. jaha Hazrat Muusa ALLAH se humKalaam(conversation) hue thay waha 2-2 Rakaatey Adaa ki, phir MadYan (Midian) pahoch kar hazrat Shu’yab a.s ke Makaan ke paas bhi 2 Rakaat Adaa ki jaha Hazrat Muusa a.s ne 10 saal Qayaam kiyaa tha, phir dauran e safar Dunya ko Budhi ki Shakal mey, Shaitaan ko Budhe ki shakal mey aur Hazrat Ebraaheem a.s , Hazrat Muusa a.s aur Hazrat I’saa a.s ko dekha, phir ek aisee Quam par se Guzar huaa jinke Naakhoon (nails) Taambe (copper) ke thay aur wo apne chehron (faces) aur Seeno (chests) ko in Naakhoono se chhedtey (lacerate karte) thay aur iski ye wajeh Batayi gayee keye log dunya mey Insaano ki Gheebat (backbiting) kartey thay aur logon ki Izzaat ko uuchaaltey, Aabru Rehzi (indignity) karte thay – Ek ko dekha ke wo Paththar khaane ki Sazaa bhugat raha tha kyuke wo Dunya mein wo Suud (interest/biyaaj) khaata tha…
(Baaqi jaari... To be Continued)
Note : Aaj ka Sabaq No. 535 aur Aaj ka Sabaq 871 kee Audio/image Ek hee hai, sirf Number Badli karke release kee gayee hai lihaaza jinhone Aaj ka Sabaq No. 535 kee Audio/Image Download kee hai wo double se Aaj ka Sabaq No. 871 kee Audio/Image Download Naa karey...Yaad rahey, Downloading jitnee kam kee jaayengee uutnaa hee Deen ka Faaydaah hai....Deen ke Dushmano ko Ek GB Downloading par Rs.20/- Bees Rupye Munafa milta hai jismese Rs.5/- BeDeenee Failaaney mein Kharch hota hai lihaaza Sakht Zarurat aur Majburee mein hee Downloading kijiye...
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
--------------------/--------------/------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
---------------/-----------------/------------------/------------

Post a Comment

 
Top