0



****Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-869*****
        
              **Safar e Mearaaj - 1***
Pal bhar mey BeHIsaab Nuuri Saalo (light years) ka Faaslaah Bijli se bhi Tez raftaar se Tay karnewaale Nuuri Hawai Jahaz yaani BurAaq par Sawaar hokar RasulALLAH ne Makkah se ‘Safar e MeAraaj’ shuru kiya...
Pehle Madinaa, Phir Wadi e Seena mey Shajar e Muusa jaha Hazrat Muusa ALLAH se humKalaam (conversation) hue thay waha 2-2 Rakaatey Adaa ki...
(baaqi inshaALLAH kal ... To be continued...)
Note : Safar e MeAraaj ki baatey QurAan mey Surah (No. 17) Bani Israel ki Ayaat No. 01 (17.01) Surah (No. 53) Naj’m ki Aayaat No. 01 se 18 (53:01-18) mein Mavjud hai...
Note : Aaj ka Sabaq No. 534 aur Aaj ka Sabaq 870 kee Audio/image Ek hee hai, sirf Number Badli karke release kee gayee hai lihaaza jinhone Aaj ka Sabaq No. 534 kee Audio/Image Download kee hai wo double se Aaj ka Sabaq No. 870 kee Audio/Image Download Naa karey...Yaad rahey, Down Loading jitnee kam kee jaayengee uutnaa hee Deen ka faaydaah hai....
---
Anmool Duruud
JumAaRaat (Thursday), JumAa (Friday) aur dusrey dino mein Kasrat se Padhiye
ALLAHumma Salli A'laa Sayyidina Muhammad ibni AbdiLLAH, Al Qaa- imu bi HaqqiLLAH, Maa Zaaqa Amrun illa
FarrajahuLLAH bi Adadi Khalqik, wa Rida Nafsik, wa Zinata Arshik wa Midaada Kalimaatik,
Adada Qatril Amtaari, wa Adada Waraqil Ashjaari, wa Adada Maa Azlama Alayhil laylu,
wa Ashraqa Alayhin Nahaaru, Kullama Zakarahuz Zaakiruna wa Kullama Gafala An Zikrihil Gaafiloon.
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
------------------------/----------------/----------------------
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
------------------------/-------------------/----------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
----------------/----------------/----------------/------------

Post a Comment

 
Top