0



***Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-865****
**Shaan e Habib ur Rahmaan صلی اللہ علیہ وسلم**
Hazrat Anas razi. Dus 10 Saal RasulALLAAH صلی اللہ علیہ وسلم kee Khidmat mein Rahe thea lekin RasulALLAAH صلی اللہ علیہ وسلم :
* Naa uunpar kabhee Ghussa hue,
* Naa Kabhee uunko kabhee Daata
* Naahee (koi Nuqsaan hone par, Ghalatee hone par) Kabhee uunko ye kaha ke :
# Ye Tumne Kyu Kiya ??
# Ye Tumne Kyu Nahee kiya ??
-------------------/---------------/---------------/-----------
Har maamley mey achchaa Anjaam paaney aur Rishtey ke Mutalliq Istekhaarey (divine guidance
ke liye Anmool DuAa
ALLAHumaa Ahsin Aakiba-ta-na Feel uumuuri Kullihaa
wa Ajeernaa min Khizyid Dunya wa Azaabil Aakhirati
Tarjama : aye ALLAH...! (merey) Tamaam Maamlaat mey Humaarey . Anjaam ko khair Farma aur humey Dunya ki Ruswaaee aur Aakhirat ke Azaab se Mahfuz Farmaa...
Note : ye Mafhumi Tarjama hai, lafzi ya Word by Word Tarjama Ulma/Adeeb se MaAluum kijiye.
(Tabrani Shareef)
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
---------------------/-----------------/--------------------
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
----------------------------/----------------/-----------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
---------------/----------------/----------------/--------------

Post a Comment

 
Top