0
***Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-862****
102* | Surah Takaasur | 16**
* Taraaweeh/Tilaawat Tarteeb/Sequence | ** Nuzul/Revealation Tarteeb/Sequence
Note :
1) Mard ke liye Surah Takasur ko Qabrastaan mein Padhna Sunnat hai !!
(Avratey Ghar par hee Padhkar Marhumo ko Sawaab Pahochaaye, Uunhe bhee Sunnat ka Sawaab milenga in sha ALLAH)
2) Surah Takasur kO Ek Martaba Padhney ka Sawaab 1000 Ek Hazaar Aayaaton ke Barabur hai !!
103* | Surah Asr | 13**
Note : Aameelon kee Raaee : Isha Baad Surah Asr 3Martaba (Arabee mein) Tilaawat se Tamaam Qism ke Nuqsaanaat se Hifaazat hongee,
in sha ALLAH
*********/////////*********/////********
Sakht Amr-Haajat (zarurat-need) pesh Aane par ya Zaalim
ke Zulm se Nijaat ka Anmool Nabwee Nuskhaah
Awwal-Aakhir 1+1 Martaba Duruud ke saath ye DuAa 1/Ziyaadaah Martaba Shakht Amr-Hajaat (zarurat-need) aanepar ya Zulm hone ka andesha ho to Zaalim se Samney ya Samney se pehle ya koi bhi Waqt Padhiye : Hazrat Abdullah Ibne jAafar razi. ka Qaul :
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ko koi Sakht Amr (haajat/zarurat) Pesh Aati toa ye DuAa padhte thay :
Laa ila ha il-lal-laahul Haleemul Kareem
SubhanaLLAHI Rabbil Arshil Azeem
Al Hamdu LilLLAAHI Rabbil Aa’lameen
(Musnad e Ahmad, HayatusSahaba-3/412 aur Bikhrey Moti-1/42 )
Mafhumi Tarjama : Nahee (hai) koi mAabud siway ALLAH ke jo Haleem aur Kareem hai...Paak hai ALLAH (har ayb se) jo Azmatwale Arsh ka Rab hai aur Tamaam Hamd (tareef) ALLAH ke liye hai jo Rab hai saare Aaalamo (jahaanoo) ka. Note : ye Mafhumi Tarjama hai, lafzi ya Word by Word Tarjama Ulma/Adeeb se MaAluum kijiye.
Taarikh/History :
1) Hazrat Abdullah Ibne jAafar razi. ne majburan apnee Betee ka Niqaah Zaalim Haakim Hajjaaj ibne Yusuf se kiya magar is DuAa ki Barkat se Shab e Zufaf (first Night) shuru hone se pehle hi Hajjaaj ibne Yusuf ne Talaaq de di !!
2) Hazrat Hasan Ibne Hasan razi. ye DuAa padhkar Hajjaaj ibne Yusuf ke paas gaye toa Hajjaaj ibne Yusuf ne kaha ke Maine Aapka Qatl karneka Irada kiya tha lekin Ab mera Dil Aap ki Azmat aur Muhoobat se labrez hai !!
(Nasaee shareef)
Composition Approved by /
Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-----------------------------------/----------/---------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
--------------//--------------////-----------------///---------

Post a Comment

 
Top