0
DIL KI BAAT
♻❇♻
       ╓━════◐◐◑════━╖
                        بسم الله الرحمن الرحيم
       ╙━════◐◐◑════━╜
               DIL - KI - BAAT  
    
                  ⊙ PART- 1⃣ ⊙
            ☆ Mere dosto,
★ Eyman bil gaib asal Eyman he,
Allahu akbar Eyman bil gaib ka haal ye he k Hazrat Ali raziyallahu anhu ne farmaya k
→ tum meri nazro se aasmaan ke parde hata kar jannat aur jahannam ko dikha do to mere Eyman aur yaqeen me zarra barabar bhi izafa nahi hoga,,,
Allahu Akbar,
★, bager dekhe Eyman itna ban chuka he to hamara Eyman itna bhi  nahi ban sakta, lekin itna to Eyman ban sakta he k hum Allah ta'ala ke vaado per yaqeen karke haraam chhod de'n ,,
zina chhod de'n ,,
sood chhod de'n ,,
khayanat chhod de'n ,,,
sharaab chhod de'n ,,
bad dayanati chhod de'n ,,
→ itna yaqeen hasil karna har musalman per Farz he,,
→ Allah ke hukmo pe chalna seekhe,, Huzoore paak sallallahu alaihivasallam ke noorani aur paakiza tareeqe seekhe,,
→ afsos he hume Eyman seekhne ki zaroorat hi mehsoos nahi hoti,,,
→ haqeekat me Eyman ki kamzori ka ehsaas hi nahi he,,,
★ log to abhi kahenge are ye bhi koi seekhne ki cheej he?
→haan bhai haan,,yahi to seekhne ki cheez he,, isi ko baqaa he,, baki har cheez fanaa he,,
☆ Allah hume Eyman ki fikr ata kare aur isko seekhne ke liye har line ki qurbani dene wala banaye,,
●Aameen ya Rabbal aalameen,,●
Next- 2, in sha Allah ta'aala,
 
    
                   ⚀ PART-02 ⚀
      •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
⇨ Hamare Eyman Ki Haqeeqat,
☆ Mere DOSTO,,
★ Hamare paas Eyman he kitna, aur kesa he?
→ ek misaal he,, ek baniya raaste me ja raha tha,, use ek chor mil gaya,, us waqt chor ke paas koi hathiyar nahi tha to usne raaste se ganne ka chhilka uthaya aur baniye se kehne laga,,
"Jo kuchh tere paas he nikaal de,,
baniye ne Jeb se kuchh payse nikaal kar chor ko de diye,,
us chor ne kaha,, " me keh raha hu sara nikaal de aur tu ye payse de raha he!'"
baniye ne kaha pehle apna hathIyar to sambhal le, kis hathyar pe sara maang raha he,,,
★ Mere dosto,, hum Jo kehte hai, Allah hamari madad nahi kar raha, hamari duae qubool nahi kar raha,, hamare masle hal nahi ho rahe,,
→ab hum pehle apne aapko to dekh le,,
humara Allah ke saath kesa maamla he,?
→ Hum to mere bhaiyo is zameen pe rehne ke Qabil bhi nahi hai'n ,, saara mulk andar dhans jaye, barbaad ho jaye,, mulk ki kya baat kare, poori duniya is waqt dhans jaye,
.→ humari nafarmaniya to is darze pe pahunch chuki he,,
Allah ko humne diya kya he aaj tak? Jesa denge wesa aayega,,
★ humne Allah ke liye lagana chhod diya,,
→maal ko apni milkiyat samajha,,
→jaan ke hum khud maalik ban bethe,,
→ masjide kaatne lagi,, Deen se begane ho gaye
→,, sunnate bojh ban gayi,,
→deeni majlise khali khali hai,,
→ Deendaro ki sohbat hume pagalpan nazar aati hai,,,
★ kya kya kahu bhaiyo,, hum to kisi Qabil bhi na rahe,,
⇨,Plz lot aao us deen ki taraf jisme tamaam masayal ka hal he,,
jisme duniya akhirat ki bhalai he,,
Allah hume deen ki sahi samajh ata kare,,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-3 , in sha Allah ta'aala,
    
             ⊙ PART-3⃣ ⊙
  ⇨ Dava Eyman Ka, Amal se Khali,
            ☆Mere DOSTO,,
★Har musalman Quran per Eyman rakhta he aur iske bager wo momin ho nahi sakta,,,
→magar sawal ye he k hamara Quraan per Eyman he kitna?
Quraan ko jaante kitna hai?
Sirf ye keh dena k ye Allah ki kitaab he,
, Ye huzoore paak sallallahu alaihivasallam per naajil hui,,,
★ To mere dosto itna yaqeen to Makka ke mushriko, kafiro ko bhi tha,,
→ wo bhi mante the k ye Allah ki kitaab he,,
unhe to ishkaal is baat per tha k ye huzoore paak sallallahu alaihivasallam per kyu naajil hui, ?
kisi bade rayees, chodhri, baadshah pe kyu naajil nahi hui,?,,
★ Quran per wesa Eyman lana Jo iska haq he,,
→huzoore paak sallallahu alaihivasallam ke saamne kisi ne geebat kar di,,
Aap sallallahu alaihivasallam ne farmaya k tu Quran per Eyman nahi laya,,,
un sahabi ne farmaya, k me to Quran per Eyman laya hu,,
Aap sallallahu alaihivasallam ne farmaya,,
" wo shakhs Quran per Eyman nahi laya Jo Quran ke haraam ko haraam or Quran ke halaal ko halaal na samjhe ,,
★ Mere bhaiyo,, zara soche kya isi ko Quraan per Eyman lana kehte he,
→Quran kahe momin jhoota nahi hota,,, aur hum jhoot per jhoot bole ja rahe,,
Quraan kahe halaal kamao, aur hum haraam ki doad laga rahe,,
Quran kahe sood Allah ke saath elane jung he,, aur hum kahe iske bina hamara dhanda nahi chalta,,,
Quran kahe zina ke qareeb bhi na jao,,, aur hum rozana zina ko aam kar rahe,,
Quraan kahe maa baap tumhare liye jannat he,, aur hum unke dilo ko dukhaye ,,
Quraan kahe namaz pado, roza rakho, zakaat do,,, aur hamare kaano me joo tak na renge,,,,
Or kya kya me likhu dosto, hum kese nafarman he,,
⇨Ye kesa Eyman he?? Socho mere bhaiyo,, Plz Plz Plz,,,
☆Allah samajh ata kare aur Quran per poora poora amal ki tofeek ata kare,,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-4 , in sha Allah ta'aala,
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
    
             ⊙ PART-4 ⊙
  ⇨ Eymaan Seekho Maut Se Pehle Pehle,
★ Kal ek bhai ne comment kiya k hum to islaam wale hai, hume kalme ko seekhne ki kya zaroorat he,,?
→ Beshaq hum islaam wale hai magar shayad humne seerate Nabi Sallallahu alaihivasaalam ko pada nahi,,
★ Aap sallallahu alaihivasallam ki poori hayaat kalme ki dawat aur kalme ki mehnat se bhari hui he,,
→ Sahaba Raziyallahu Anhu ki poori zindgi is kalme ko seekhne me guzri,,,
⇨zabaan se to ek tote ( parrot) ko bhi rata do, bol lega,,
iski kya garanti he k jab maut aayegi to kalma niklega ya tay tay??
★ Ek waqia he,, Hazrat Sharahbeel bin Hasana Raziyallahu Anhu. ek duble patle sahabi the,
→ vahi ke kaatib( likhne wale ) the,,
Misr me ek qila fateh nahi ho raha, kai din guzar gaye,
ek din in sahabi ko josh aaya, ghode ko eyd laga kar aage bade aur faseel ke qareeb Jake farmaya,
→" - e qubtiyo !  Suno hum ek ese Allah ki taraf bula rahe hai jiska tumhare is qile ko todne ka iraada ho jaye to aan ki aan me tod sakta he,,
Laa ilaha illallahu Allahu Akbar,,
keh kar Jo shahadat ki ungli uthayi, sara qila zameen pe aa gira,,
       Allahu Akbar,
★ unhone ye kalma seekha tha,
saalo mehnat ki thi,,
★ hum to wo gadhe hai jisne sher ki khal pehanli aur apne aapko sher samajh bethe,,
→ aur kehte hai hum islaam wale hai,,
abhi to humne alfaaz seekhe hai kalma nahi,,,
⇨ jab kalma andar utrega to baatil ese tootega jese ande (Egg) ka chhilka,,
☆Allah hume maut se pehle pehle samjhade,,,
●Aameen ya RabbAl aalameen,●
Next- 5, in sha Allah ta'aala,
 
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
             ⊙ PART-5 ⊙
     ⇨  Muhammadi Bano,,
         ☆Mere dosto,,,
★ Deen muft me nahi mila karta,, jaan maal lagana padta he,,
→haa'n  yu'n  kaho k jalse ke liye chanda de diya aur humne jannat ka theka le liya,
Allah ta'ala ki kQasam!
→ Ye dhoka dil se nikaal do,,
madarse me chanda dekar
ya masjid me chanda dekar
hum ye samajh le k humne jannat ka theka le liya,,
to ye dhoka aaj dil se nikaal do,
⇨ jab tak huZoore Akram sallallahu alaihivasallam wali zindgi aur Aap wala tareeqa zindgiyo me nahi aata,,
→ Allah ta'ala ko na hamare maal ki parwah he,
na hamari jaan ki parwah he,
na hamari jaat ki,
na hamari halakat aur barbadi ki parwah he,,
★ Allah ta'ala ki kisi se rishtedari nahi he,,
→ Allah ta'ala ne ek hi jaat ko namuna bana kar bheja he k ye he uske peechhe chal kar aao,
iske namune me dhal kar aao,
uski shaql bana kar aao,
uska libaas pehn kar aao,
uski seerat apna kar aao,
uske mutabik zindgi lekar aao to mere tak aa sakte ho, varna hamara tumhara koi jod nahi,
★ Hazrat Bilaal radiyallahu anhu ne apni zindgi ko Nabi kareem Sallallahu alaihivasallam ke tareeqo pe dhala,
→Allah ne wo rutba diya k HuZoore Akram sallallahu alaihivasallam ne farmaya k Bilal r.a. qayamat ke din mere aage azaan deta chalega,
Aur jab me jannat me dakhil hounga to Bilal jannat me meri ountni ki nakel ko pakad kar chalega,,,
        Subhan Allah,,
☆ Allah ta'ala hume apne habeeb ke tareeqo me dhal de aur aapke paakiza tareeqo se hamari zindgiyo ko noorani bana de,
●Aameen ya RabbAl aalameen,●
Next- 6, in sha Allah ta'aala,
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
             ⊙ PART-6 ⊙
  ⇨ Dawat Ka Kaam Khatme Nabuvat ki Pehchan he,
          ☆ Mere bhaiyo,
★Huzoore Akram sallallahu alaihivasallam ke bager ye sara naqsa wajood me nahi aa sakta,
→ unka haq humare har haqq se badkar he,
→ khatme nabuwat ki line ke ahkaam sare ahkaam per chhaye hue hai,
★ Aap namaz pad rahe hai aur saanp (snake) nikal aaye to namaz chhodkar saanp ko marna padega,,
→ Dawat ka kaam khatme nabuwat ki pehchan he,
→humari namazo se islaam nahi felega,
humari masjido me to musalman hi nahi aate,
raato ko tahajjud padlo isse khatme nabuwat ka haq Ada nahi hoga,
halaal kamane, zakaat, khairat se khatme nabuwat ka pata nahi chalega,
⇨ Ye Allah ke kalme ko lekar sari duniya me firne se aur kalme wali zindgi lekar chalne se pata chalega k ye aakhri nabi ke ummati hai, apne Nabi ka kalma duniya ko pahunchane nikle hai,,
☆Allah hume apne Nabi Sallallahu alaihivasallam ki sachhi pervi naseeb kare,, or nabi wali zindgi naseeb kare or is zindgi ko lekar poori duniya me firne wala banaye,,
●Aameen ya Rabbal Aalameen, ●
Next-7 , in sha Allah ta'aala,
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
             ⊙ PART-7 ⊙
  ⇨ Tamaam Masail ka Hal Allah.Ta'aala  aur Uske Rasool Sallallahu Alaivasallam ki Farmabardari me he,
           ☆ Mere DOSTO,,
★Aaj hum sabke paas koi na koi masla he, hum sab masailo se ghire hue hai,,
→mulk, country ka masla bhi he k mulk karzo me doobta ja raha he,, humari aqal kehti he k karz utaro mulk sanwaro,, kabhi karze utarne se bhi mulk sanwarte hai?
⇨ mulk, desh, country sanwarte hai insaan ke sanwarne se,
Allah ki farmabardari se,
hazrat Muhammad sallallahu alaihivasallam wali zindgi se,
→ ye ho jaye to karze bhi utar jayenge,
khushhali bhi hogi,
aman Chen, sukoon bhi hoga,
mohabbate bhi hogi,
har haal me Allah ta'ala khush kar dega,
★ ye doalat aane se nahi hoga,,
→doalat to aadmi ko ayyaash, nafarman bana deti he,,
⇨ Allah ne tamaam maslo ka hal apne deen or apne habeeb sallallahu alaihivasallam ki zindgi me rakha he,
⇨Allah ne saaf kar diya, k rizq, izzat, roab, maaldari, vajahat, taaqat, ilm sab kuchh Allah de dega bas ek kaam karlo,
⇨Allah ki nafarmani chhod do,,
☆Allah hume apne deen per istqamat de or hamare tamaam maslo ko hal farmaye,,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next- 8, in sha Allah ta'aala,
 

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
    
             ⊙ PART-8 ⊙
       ⇨ Zindgi Ka Maqsad,
           ☆Mere DOSTO,,
★ Hamari paydaish ka maqsad aur hamara vajood sirf aur sirf Allah ta'ala ki bandgi, ita'at aur farmabardari he,,
→ lekin afsos k humne apne isi vajood ko Allah ta'ala ki marzi ke khilaf istemal kiya,,
→beshumar ahsanaat hai hum per Allah ta'ala ke, k hum ginna bhi chahe to nahi gin sakte,,
⇨ lekin Jo ahsaan kare kya uske saath esa hi kiya jata he?
★ Apne ghar ke kutte ( dog)se har insaan ko sabaq seekhna chahiye,,
→ hum usko maarte hai, wo fir bhi apna sar jhukata he,, ghar ka koi bachcha ( child ) bhi usko maare, wo sar nahi uthayega,, bahar se agar koi 7 fit ka aadmi bhi aa jaye to us per jhapat padega,, chahe uski jaan hi chali jaye
→aur apne ghar ka bachcha use maar raha, uske uper betha hua he, kuchh nahi kehta,, roti khate hue kutte ko bulao, roti chhod kar aa jaata he,,
       think!
★ Azaan hoti he,, saare bethe hue hai,,
→Allah ta'ala bula raha he,,
→aa jao, sar jhukalo, namaz pad lo, me tumhe bula raha hu, 5 waqt ke liye faarig ho jao,,
→me tumhe kaamyab karna chahta hu,,
⇨Kitne hai jinko namaz ki tofeeq hasil he?
Kitne hai jinko sar jhukane ki tofeeq hasil he,?
★ Mere dosto,,
ek kutta to ek roti khakar saari zindgi wafa karta he,,
→aur hum ashraful makhlook hokar, insaan hokar nafarman kyu ho gaye??
☆Allah hume apni itaat wali zindgi naseeb kare or waqt pe namaz Ada karne ki tofeeq de,
●Aameen ya RabbAl aalameen,●
Next- 9, in sha Allah ta'aala,
 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
    
               ⊙ PART-9 ⊙
       ⇨ Rizq Ke Asbaab Eyman aur Taqwa,
           ☆Mere DOSTO,,
★ Aaj insaan sabse zyada pareshan rizq, rozi, roti ke liye he, sabse bada masla mene aur aapne yahi samjha he,
→Din raat kolu ke bell ki tarah chakkar laga rahe, na jaa'iz dekha na najaa'iz dekha,
→ na haraam ki parvah ki na hallal ki fikr, bas kese bhi aaye roti mil jaye,,
★Magar Allah kya kehta hai, aur Allah ka habeeb kya kehta he zara gor karle,
⇨ Allah ta'ala ka irshad he,
Ey  shehar walo, ey mulk walo !
Eyman le aao aur taqwa akhtyar karlo,
me aasmaan ke darwaze se rizq khol dunga,
zameen ki rag rag se rizq ke darwaze khol dunga,
tum ye 2 kaam karlo,
1- Eyman le aao,
2- Taqwa akhtyar karlo,
→ esi jagah se rizq aayega kisi ko vahamo gumaan bhi nahi,
★ Ye Allah ka ilm keh raha,
⇨Allah ke habeeb sallallahu alaihivasallam ne ek mazedar baat batayi,
→Ek sahabi ne poochha, ya rasoolullah sallallahu alaihivasallam !
→ me chahta hu mera rizq bad jaye,
Farmaya, tu ba vazu raha kar, Allah tera rizq bada dega,,
→Kitna mushkil he? Kitna zor lagta he ba vazu rehne me?
⇨ye khabar he habeebe mustufa ki,,, kisi commerce ya economics pade ki nahi,,
☆Allah hume amal ki tofeeq ata kare,, aur Eyman, taqwa ata kare aur hamesha ba vazu rehne ki tofeeq ata kare,
●Aameen ya Rabbal aalameen,●
Next- 10, in sha Allah ta'aala,

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
    
               ⊙ PART-10 ⊙
         ⇨ Ilm ki inteha,
           ☆Mere DOSTO,,
★ Aaj sari duniya apne ilm pe amal kar rahi he
→ k paisa kamao, bade maaldar ban jao, bade taajir ban jao, politics me aa jao, sadar ban jao, kahi ke chairman ban jao,
→sari duniya ka chakkar laga kar dekh le, ek ek insaan se poochh le, sab apni apni khwahisaat lekar chal rahe, usi ke mutabik amal kar rahe,
→ye hamare ilm ki inteha he, jabke Hazrat Ali raziyallahu anhu kya farma rahe,,
★ Hazrat Ali raziyallahu anhu ka ilm Huzoor sallallahu alaihivasallam ka ilm he, aur Huzoor sallallahu alaihivasallam ka ilm Allah ta'ala ka ilm he,,
⇨Hazrat Ali raziyallahu anhu ka irshad ,jiska mafhoom he:-
" Jo kehta he mujhe izzat chahiye chahe koi khandani na ho,
me maaldar banna chahta hu lekin paisa mere Paas koi nahi,
me chahta hu baadshaho per bhi mera roab qaaim ho jaye,
aur me apne mahol, kabile, shehar me apni vajaahat chahta hu,
→wo sirf ek kaam kare k Allah ki nafarmani chhod de,
Allah ka farmabardar banda ban jaye to ye saari cheeze uske qadmo me aa giregi,,,
☆Allah ta'ala hume apna farmabardar banda banaye, or khwahisaat ki itteba se bachaye,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-11 , in sha Allah ta'aala,
 
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
    
               ⊙ PART-11 ⊙
⇨Apne Rab ki Ta'areef karo,,,  Tamaam Ta'areef Allah Ta'ala ke liye,
           ☆Mere DOSTO,,
★kitne afsos ki baat he! K hum 5 minutes Allah ki badai bayaan nahi kar sakte,
→ kisi mard, aurat se poochho tera ghar kesa he?
Teri gaadi kesi he? Tere kapde kese hai?
Tera karobaar kesa he?
Tere maa, baap, kese hai?
Teri aulade kesi he?
→Har ek ghanto bayaan karega ese hai, wese hai, esa he, wesa he,,
⇨lekin jab poochha jaye Allah kesa he?
To pata nahi kesa he?
Bas Allah ek he or kya!!
★ Mere dosto!
Hum to aaye hi hai Allah ki tareef karne aur uski ibadat karne,
→musalman mard, aurat ka to kaam hi poori duniya ko Allah ka tarruf karwana he,
→Allah ki manne per duniya ko tayyar karna he,
Aur afsos hume hi pata nahi hamara rab kesa he?
★ zameen aasman me ek hi to zaat he Jo qabile tareef he,,
⇨Allah ne Qurane Kareem ko
     " Alhamdulillah"
se shuru kiya, saari tareefe Allah ke liye hai,,
→ samjhaya ye gaya he k
Ey  musalman mard aur aurto !
ye he tumhara kaam k saari zindgi tum Allah ta'ala ki tareef karo, k humara Allah esa he, esa he, esa he,,
       
           Allahu Akbar...
☆Allah hume apni pehchan kara de or is pehchan ko lekar poori duniya me firne wala banade,
●Aameen ya Rabbal aalameen,●
Next-12 , in sha Allah ta'aala,

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
    
               ⊙ PART-12 ⊙
       ⇨ Tableeg Farz He,
           ☆Mere DOSTO,,
★ Kal ek bhai ne ek comment kiya,,
→" yaha deen ki baat mat karo, "
⇨ Mere bhaiyo musalman to jaha jis shobe me bhi jaega apne deen ko saath lekar jayega,,
⇨ deen ke bager to khalish gumrahi he, jahalat he,,
★ Ek baat aur batata hu'n ,,
→yaha log kya felana chahte hai, sabko pata hona chahiye,,
→logo ne social sites ko khwahishat ke adde bana liye,,
→jhoot yaha fel raha,
dhoka yaha fel raha,,
behayai yaha fel rahi,,
Eyman ke saude yaha ho rahe,,
shaytaan ki itteba yaha ki ja rahi,,
Allah ke gair ko yaha khuda tasleem kiya ja raha,,,
→ huZoore Akram sallallahu alaihivasallam ki pervi se moonh moda ja raha,,
kya kya nahi ho raha he yaha,,,
★ Mere bhaiyo !
jab Allah ki nafarmaniya khullam khulla hone lag jaye,
huzoor sallallahu alaihivasallam ki sunnato ka khullam khulla mazaak udaya jaye to " TABLEEG "  Farz ho jati he,,
→agar ye na ho poori ummat gunahgaar hogi,,
⇨ fir wo hoga Jo huZoor sallallahu alaihivasallam ka irshad he,,
→" fir surkh aandhiyo, zameen ke dhas Jane, zalzalo ka intezaar karo!! "
Kya hum iske liye tayyar he??
☆Allah shaitan ke shar se or nafs ke dhoke se or makkar duniya ke fitne se bachakar apne Deen ki hifazat ke liye hume qubool farmaye,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-13 , in sha Allah ta'aala,

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
               ⊙ PART-13 ⊙
       ⇨ Duniya Ka Khulasa,
           ☆Mere DOSTO,,
★ Allah ne duniya ka khulasa 5 chizo me bayan kiya,,
→Duniya khel he, tamasha he,fashion he, fakhro guroor ka naara he, aur maal, aulad ki kasrat ke kisse hai,,
→Jisne apni poori zindgi inhi 5 chiZo ko maqsad banaya hoga, khel lo kood lo, maalo zameen ikattha karlo, apni manmani karlo, jesa man me aaya kamalo, naqdi jama karlo,jesa man me aaya kharch karo, jesa man me aaya pehan lo, fakhr karlo,naare lagalo,,
→,apni saari zindgi inhi chiZo pe kharch kar di,, hay paisa,, hay zameen,, hay maal,,,
★ Ab sakraat ( maut ke waqt ) per jis waqt malekul maut haath lagayega, koi nazar nahi aayega,,
→ab khuda ki taraf chal raha he, yahi se wo manzile shuru hoti he,
→ sakraat me aasani he ya sakhti, Qabar jannat ka baag he ya jahannam ka gadda, pulsirat per bijli ki tarah paar hona he ya kat kat kar jahannam me girna, seedhe haath me aamaal nama ya ulte haath me, jannat ka faysla ya jahnnam ka fesla, huzoore paak sallallahu alaihivasallam ke haatho se jaame Qosar ya dhakke, sokan sokan,,
★,, jitne masayal he maut per shuru honge,,,
→ Isliye hazrat umar radiyallahu anhu ka irshad he,, jese jiyoge wese maroge,, jese maroge wese hi kal akhirat me uthaye jaoge,,
★ Agar zindgi ki buniyade siddiqi he, farooki he,
toheed risalat wali he,
khofe khuda wali he,
→ to maut esi aayegi jesi saleheen ko aayi, jis per khuda ke vaade hai,,
☆Allah hume apne habeeb sallallahu alaihivasallam wali zindgi aur saleheen wali maut ataa kare,,
●Aameen ya Rabbal aalameen,●
Next- 14, in sha Allah ta'aala,
  
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
    
               ⊙ PART-14 ⊙
⇨ Allah aur uske Habeeb ke Rang me Rango,
           ☆Mere DOSTO,,
★ Humme se har aadmi munfa'al he, asar lene wala he, kisi se asar lekar hi zindgi gujregi,,
→insaan ki tabiyat asar pajeer he, insaan bahut Zaldi doosre ki zindgi se mutassir hota he,
⇨Allah ta'ala farmata he kisi ka asar na lo,
mere rang me rango,,
mere habeeb se asar lo,
mere habeeb ke rang me rango,,
mohammadi banke raho,
→ apni zindgi me nazar aao k ye mohammadi he,
apni pehchan karao k ye mohammadi he,
★ pehchan hoti he amaal se, akhlaaq se, zaahir se, baatin se, kirdaar se, har tor tareeqe se, k dekho ye mohammadi he,,
★ Allah ta'ala ne Huzoore Akram sallallahu alaihivasallam ki poori zindgi ko mehfooz kar diya,
→aapki ek ek adaa ko mehfooz kar diya, warna agar aap ki zindgi mehfooz na hoti to hum itteba kese karte??
☆Allah hume apne or apne habeeb sallallahu alaihivasallam ke rang me rangne or poori poori itteba karne ki tofeeq ataa kare,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-15 , in sha Allah ta'aala,
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
    
               ⊙ PART-15 ⊙
⇨ Niyamato Per Shukr Karo,
           ☆Mere DOSTO,,
★ Allah ta'ala ki beshumar niyamate hum per din raat barasti rehti he,
jinme Ameer gareeb sab shareek he, ,
jinko shumar karna chahe to nahi kar sakte, ,,
⇨ lekin aaj amal he hisaab nahi, ek din aayega jab hisaab hoga amal nahi,,
★HuZoore paak sallallahu alaihivasallam ka farman he jiska mafhoom he k
⇨ tumse tumhare rab ke samne thanda pani, makaano ka saya, pet bhar khana, jism ki sehat, meethi neend, wo kapde ka tukda jisse badan chhupaya,
Ek hadees ka mafhoom he k sahaba radiyallahu anhum ne daryaft kiya,
Ya Rasoolullah! Konsi niyamato me hum hai?
Jo ki roti he wo bhi aadhi bhook milti he, pet bhar nahi milti,
Allah ta'ala ne wahi bheji, k aap inse farmaye k, kya tum joota nahi pehante?
, thanda pani nahi peete,?
ye bhi to Allah ki niyamato me se he,,
⇨Qayamat ke din sabse pehle jin niyamato ka sawal hoga wo badan ki sehat or thanda paani he,
★ Mere dosto sabse badi niyamat Allah ta'ala ki Eyman he, aur hume iski koi parwah hi nahi,,
→ jese doosri niyamato ki nashukri kar rahe wese hi Eyman ke bhi hum nashukre hai,,
na is Eyman ko banane ki fikr,
na bachane ki fikar,,
⇨ hum ese Eyman per mutma'in bethe hai Jo amal pe khada nahi kar sakta ,,
⇨jab mehnat hogi Eyman per to Eyman badega aur Allah ke hukmo ko poora karwayega,
varna aur kamzor hota chala jayega mehnat na hone ki vajah se k gunaah karenge aur koi gam nahi hoga,,
☆ Allah Hume niyamato ki shukr guzari ki tofeeq de aur apne Eyman ko mazboot banane ki Mehnat me lagaye rakhe,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-16 , in sha Allah ta'aala,
  
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
    
             ⊙ PART-16 ⊙
  ⇨ Aazmaish  aur  unKa. Badal,
★ Allah  ta'aala  ki  tarteeb  he  muqarrabeen  ko  thokre  lagti  he  or  Jo  uske  dushman  hote  hai  unko  khoob  chadata  he  or  khoob  khilata  he,,
★ ye  azeeb  baat  he,!  Allah  ta'aala   ki  aazmaish  rozana  kehti  he,
→ ya  Allah!  Aaj  me  kaha  jaou'n ?
→ To  Allah  ta'ala  farmata  he,
" mere  dosto  ke  ghar  chali  ja,
mujhse  mohabbat  karne  walo  k  ghar  chali  ja,
me  unko  parkhunga,
unke  sabr  ko  aazmaunga,
unke  gunaho  ko  paak  karunga,
unke  darjaat  ko  uncha  karunga,,,
→ Jab  YE  is  ummat  ke  liye  hui,
zarurate  qurban  hui,
takleefe  bhi  sahi,
chataiyo  pe  bethe  bethe  zindgi  guzar  gayi,
isi  me  mar  gaye  dafan  hue
or  ye  bechare  bhi  dil  me  kehte  rahe  hume  mila  kya?
→Jab  ye  qayamat  ke   din  uthenge  to  Allah  ta'ala  us  waqt  kahega,
" ye  he  tumhari  aazmaisho  ka  badla,
us  waqt  me  jin  logo  ne  duniya  me  aman  ki  zindgi  guzari  hogi  wo  kahenge,
" haay !!   Hamare  jism  ke  tukde  tukde  ho  jate or  hume  bhi  ye  mil  jata  Jo  unko  aaj  diya  ja  raha  he,,—
   "Jannat. aur. uski. Niyamate'n"
Next-17, in sha Allah ta'aala,
  
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
               ⊙ PART-17 ⊙
      ⇨ Allah ko Raazi Karo,
           ☆Mere DOSTO,,
★ is Qaynaat ka ek hi baadshah he, yaha kisi ki saltnat nahi Allah ke Siva,
⇨Aaj musalmano pe Jo musibate aa rahi he use koi nahi la raha,
Allah la raha he,
→aaj batil ne science pe tarakki nahi ki, Allah ne tarakki karwayi he, Allah todna chahta to tod Sakta, girana chahta to gira deta,
→ magar Allah ne dheel di hui he, halaat per bhi kabza he, chahe to logo me mohabbate payda kare ya nafrate,,
★ Nooh alaihissalam se Allah ne farmaya" kashti me joda joda dal lo
" arz kiya ya Allah! Ek taraf sher hoga doosri taraf bakri, bhed,, ek taraf billi hogi or doosri taraf kabutar,, aap hi batade k inhe kese ikatthe bitha du,,
Allah ta'ala ne farmaya, Ey  Nooh! inme nafrate kisne dali he?
Aapne kaha,
" beshak aapne "
" to fir me hi inme mohabbat daal dunga,,
★Nabi paak Sallallahu alaihivasallam ke zamane me saanp (snake ) aur bachche ikatthe khelte the,,
⇨Umar bin Abdul Aziz r.a ke zamane me bhediya Aur bakri ek ghaant me paani pite the,
koi kisi ko nahi Maarta the,
★ Allah ta'ala mohabbat daal deta he to jaanwar bhi taabe ho jaate hai,,
yu Allah ta'ala aaj bhi mohabbate daalne per Qadir he,
★ Mere dosto,! Saare halaat Allah ke hath me he, agar Allah halaat bana de to koi bigaad nahi sakta, bigaad de to koi bana nahi sakta,,
⇨us Allah ko raaZi karne ki zaroorat he,
us Allah ko apna banane ki zaroorat he,
us Allah ko pukarne ki zaroorat he,
uski taraf dodne ki zaroorat he Jo saare kaam banane wala he,
☆Allah mujhe bhi, aapko bhi Aur tamàam momino ko amal ki tofeeq ataa kare,
●Aameen ya Rabbal aalameen,●
Next-18 , in sha Allah ta'aala,
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
    
                   ⚀ PART-18 ⚀
      •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
            Hamari Aql Naaqis he,
       ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
       
           ☆Mere dosto,☆
★ Aaj jab Deen ki baat kahi jati he, Allah ke hukmo ki,  vaado ki, Huzoore paak sallallahu alaihivasallam ki khabro ki, jannat, jahannam ki, Qabr hashar ki baat ki jati he to hum apni aqal ke ghode dodane lagte hai,,, k ye aqal me aane wali baate nahi he!!
           Astagfirullah!
★ Mere dosto , zara hum soche!! K Allah ne hume aqal di hi kitni he??
⇨Allah ne aqal ko banaya to uske 100 hisse kiye aur 99 hisse tane tanha apne habeeb sallallahu alaihivasallam ko diye aur sirf 1 hissa poori duniya ko taqseem kiya,
⇨is 1 hisse me bade bade sciencetist, philosopher,ulema Aur hum aap bhi shamil hai,,
★ Mere dosto !
jaha humari aqal ki hadd khatm hoti he imaan ki hadd waha se shuru hoti he,, isiko aazmaya jata he,,
★ Safare meraaj sahaba ke imaan ki aazmayish tha, jisne huzoor sallallahu alaihivasallam ki baat ko haqq tasleem kiya wo kaamyab ho gaye, aur jisne inkaar kiya wo islaam chhod kar nakaam ho gaye,,
★ Khandak ke moqe per ek badi chattan ko todte waqt Huzoore paak sallallahu alaihivasallam ne khabar di k Roam, Iran-Iraaq, Misr fateh hoga, to us waqt munafik hanste the, k pet per to patthar bandhe he aur iraan, roam, Jo us waqt ki sabse badi taaqat thi, ko fateh karne ki baat karte hai,,,,
⇨Lekin duniya ne dekha k Allah ke nabi Sallallahu alaihivasallam ki khabar sach hui,,,
★ Jisko Qari tayyab Sahab  DB ne khoob bayaan kiya,
→ " Tum Nabi Sallallahu alaihivasallam ki AQAL ki baat karte ho??
Aur nabi ki sohbat ki barkaat se Sahaba radiyallahu anhum ko wo Aqal mili thi k agar unki Aqal ki zakaat nikaal kar taqseem ki jaye to Qayamat tak koi pagal paida nahi hoga,,
◇Allah Hume sachha yaqeen naseeb farm aye,◇
●Aameen ya Rabbal Aalameen●,
Next-19 , in sha Allah ta'aala,
    
                   ⚀ PART-19 ⚀
      •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Halaat ka Daromadar Cheezo Per Nahi,
       ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
               ☆Mere DOSTO,☆
★Halaat ka chizo se koi talluk nahi he, na esa kabhi hua he aur na kabhi hoga, Allah ta'ala ne bade bade naqse walo ke naqse tode he, Jitne naqse duniya me aaj nazar aa rahe ye sare naqse pichhli qomo me mojood the, Quran un sare qomo ki halaakat, ke waqyaat se bhara he,
★Allah ke faysle insaan ke jism se nikalne wale aamalo per hote hai, agar Allah ta'ala se apni raza ke faysle naazil karwana chahe to hume Allah ta'ala ki raza wale aamalo ko akhtyar karna padega,,
⇨Lekin aaj insaan apni ankho per maal, daulat, asbaab ki patti baandh kar chal raha he, apni mehnat asbaab per lagata chala jata he, Jo haal ko haal se badalna chahta he, wo aage badta hua waha pahuch jata he k fir lotne ka waqt nahi hota, jisko Allah ne quran me bayaan kiya,,
⇨" k Jo apne amaalo ko barbaad kar lete hai Allah ki Zaate aali ko na pehchanne ki vajah se, inki mehnat aur mashakkat saari bekaar jati he,"
★ Mere dosto, ! har mehnat karne wala kaamyab nahi he, wo kaamyab he jiski mehnat Ambiya alaihissalam ki Mehnat se mel khati ho,
★ Aaj galat mehnato ki vajah se ek doosre ko maarne, nicha dikhane, kamjor karne per mehnat ho rahi he aur nara lagate he k hum kaamyab he!!
★ insaan agar khud ko banale to use hathyar ki zaroorat pesh aa jaye to Allah darakht ki tehni ko talwar bana de, jese junge uhad me Abdullah bin jahash r.a ki tehni ko talwaar banaya,,
★Mere dosto !  jab apne aapko banaya jata he to Allah nizaame aalam ko musakhar kar deta hai,
◇Allah ta'ala hume apne aapko banane ki Mehnat me lagaye ◇
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-20 , in sha Allah ta'aala,
                   ⚀ PART-20 ⚀
      •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
        Mohabbat Payda Karne Ka
                        Raasta,
       ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
                 ☆Mere Dosto,☆
★ Aaj Deen se, Allah aur uske Rasool sallallahu alaihivasallam se mohabbat kam ho gayi he,  mohabbat ka wo meyar nahi raha Jo beqarar hokar amal pe khada karde, ye hijrat ke bager, dhakke khaye bager, mashakkat uthaye bager, paida nahi hota, mohabbat ese nahi aati,,
★Mere dosto,!  mohabbat karni he to Allah se karo, uske habeeb sallallahu alaihivasallam se karo, baqi rehne walo se mohabbat karo magar ese na karo ki Allah aur uske Rasool se aage nikal jao,, maa, baap, bivi, aulad,rishtedar, maal, tijarat,zameen, in chizo ne hume jakda hua he,,
⇨ mohabbat fitri cheeZ he, aur aulad ki mohabbat buzdil bana deti he aur bakheel bana deti he,,
★ Aap sallallahu alaihivasallam Hasan aur Husain Radiyallahu anhum se kitni mohabbat karte the,, aur Aayesha Radiyallahu anha se kitni mohabbat karte the!!
⇨ Lekin farmati hai k jab moajjin azaan dete the to Aap sallallahu alaihivasallam hume ese chhod dete the jese k hume pehchante hi nahi ho!!
★ Mere dosto ! humari sari mohabbate fana hone wali chizo pe lag rahi hai aur unki mohabbat humare deen per gaalib aa chuki he,,
⇨ iska ek hi hal he, waqt ba waqt inko chhodkar hijrat ki jaye,Apne ghar karobaar ko chhodkar Allah ke Raaste me Jaya jaye,
⇨, ye connection kata hua he Jo margubaat ko chhode bager nahi judega,, ye mohabbat ka raasta he, iske liye ye qurbani Zaroori he,,
☆Allah tamaam jhooti mohabbato se hamari hifazat farmaye Aur apni aur apne habeeb ki mohabbat se hamare dilo ko roshan farmade,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
,
Next-21 , in sha Allah ta'aala,
                   ⚀ PART-21 ⚀
      •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Haqeeqat Ke Saath Kalme ko Dil me Utaaro,
       ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Ek gadhe ko sher ki khal mil gayi, usne pehnli aur sochne laga me bhi sher ban gaya,,
→ jab wo basti me chala to logo ne itna bada sher dekha to sab dar kar bhag gaye,,
→ ab gadha bahut khush hua k mere se sab dar gaye, ab me thodi garzdar awaaz nikalunga to ye aur darenge,,
★ apni haqeekat ko bhool gaya,, jab usne zor zor se awaaz nikali to bajaye dahaad marne ke " dhechu dhechu" karne laga,
→ basti wale sare nikal aaye k ye to gadha he,, sabne dande uthakar uski pitayi shuru kar di,,
★ Ek waqt tha jab musalman uthta tha to sari kaaynaat ke baatil Laraz jate the,, Aur apne gharo me thar thar kaanpte the,,
⇨ ye wo waqt tha jab musalman ne kalma seekha hua tha,
★ Aaj musalman ne kalma nahi seekha isliye duniya ki koi taaqat use Allah ke yaha surkhru nahi kar saki,,
→hum islaam wale zaroor hai,, magar ye kalma abhi humne seekha nahi he,, jab ye haqeekat ke saath dil me utar jayega Allah swt wo daur fir se le aayega,,,
⊙ Dua karo dosto Allah ta'ala hume is kalme ki haqeekat ataa karde aur isko seekhne ki mehnat me lagade,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-22, in sha Allah ta'aala,
    
                 ⚀ PART-22 ⚀
      •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
             .    Ek hi Raasta
       ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Tirmizi shareef me Hazrat Ali radiyallahu anhu ki rivayat he jiska mafhoom ye he k,
→ log hukumat ke maal ko najaa'iz tareeqe se khana shuru karde,, amanat hadap kar ja'enge,, jab zakaat ka inkaar kar ja'enge, zakaat ko tax samjhenge,,,
→ Deen Duniya ke liye haasil karenge,, log bivio'n  ke farmabardar ban ja'enge, aur maao'n  ke nafarman ho ja'enge,, dost ke saath achchha sulook karenge aur Baap ke saath bura sulook karenge,,
→Qabeele ka sardaar faasik aur na farman hoga,, hukumat na ahal insaano ke haath me hogi,, ek doosre ko matlab ke liye salaam karenge, muhabbat ke liye nahi,,,
→ masjido me awaaze buland karenge, shor gul hoga,,,, naach gaane waliya moajjij mohatram ho ja'engi aur naach gaana aam hoga,
→ ummat ka badtreen tabka he uska ejaaj ikraam kiya jayega,, sharabe pi ja'engi,, aur mard reshmi libaas pehnne lagenge, sona pehnenge,, is ummat ke aakhri log pehle logo ko bura bhala kahenge,,,,
★ Ye nafarmaniya jab ummat me paida hogi to ab kya hoga?
⇨ Us waqt ummat intezar kare surkh aandhiyo ka, surkh hawao'n  ka, zalzalo ka,, zameen me dhas Jane ka, aur soorato ke badal Jane ka, aasmaan se pattharo ke baras Jane ka, aur uper niche azaabo ke tootne ka, girne ka, jese tasbeeh ke dhage tootne se daane girte hai,,,,
★ Mere DOSTO,, socho kya aaj ye sab nahi ho raha,, fir kis cheez ka intezar he??
⇨ ek hi raasta he k hum khud bhi tauba karle aur poori ummat se tauba karwaye,, iske bager koi taaqat Allah ta'ala ke azaab se nahi bacha sakti,,
⊙ Allah hamari hifazat farmaye, aur Hume tauba karne aur tauba karwane ki mehnat me lagne ki tofeeq de,,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
,
Next-23, in sha Allah ta'aala,
                   ⚀ PART-23 ⚀
      •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Mazboot Kalma, Mazboot imaan, Mazboot islam,
       ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
    
            ☆Mere DOSTO,☆
★ Allah ta'ala ne jab bhi batil ko toda, jab bhi batil ko mitaya wo is kalme ki mehnat se mitaya, aur kalme walo ki imaani taaqat se mitaya,
⇨jab ye kalma apne ikhlaas ke saath, apni haqeekat ke saath vajood me aata he to iske muqable me kitna bhi bada batil hota tha Allah ta'ala use todta chala jata tha,
★ Allah ta'ala ki sunnate mubaraka ye he k
" hum haqq ko batil par fainkte hai to batil ka namonishan tak mit jata he,"
→ lekin ye us waqt hota he jab ye imaan wale, ye kalme wale is kalme ko seekh lete hai aur kalme ka namuna ban jate hai aur kalme ke mutabik unki zindgi dhal jati he,
★ Hazrat IESA alaihissalam ka ek basti par guzar hua, dekha sab barbaad hue pade hai,
Hazrat Iesa alaihissalam ne farmaya k in par Allah ke azaab ka koda barsa he,,
⇨ Aaj ke batil per Allah ke azaab ka koda kyu nahi baras raha?
→ isliye k aaj mazboot islaam wale, khare kalme wale duniya me nahi hai,,
★ jab jis waqt me, maazi me, mustakbil me, haal me, jab bhi ye kalme wale kalme ki haqeekat ko seekh le to Allah ke azaab ka koda badi se badi taaqat per barsega,, chahe wo atomi taaqat ho ya talwaar ki taaqat ho, chahe hukumat ki taaqat ho,,
⊙ Allah ta'ala hume is kalme ki haqeekat naseeb farmaye, apne kamjor ieman ko qavi banane ki mehnat me
lagaye,,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-24, , in sha Allah ta'aala,
    
                   ⚀ PART-24 ⚀
      •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
               Allah Ki Laanat
       ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Allah ta'ala ne Qurane paak me nabiyo ke kisse sunakar aur nabiyo ke waqyaat batakar poori ummat ko, poori insaniyat ko ye bataya k me jab kisi ko pakadta hu to meri pakadne ki buniyad unke asbaab ki kami nahi hoti balke pakadne ki buniyad un sifaat ki kami hoti he, Jo meri rehmat ko kheechti he,
⇨jab tum mere bande bante ho to me raazi hota hu, aur jab me raazi hota hu to barkate utaarta hu, fir meri barkato ki koi inteha nahi rehti,
⇨ Aur jab tum mere nafarman bante ho to mera gussa vajood me aata he, aur jab gusse me aata hu to meri laanat barasti he aur meri laanat tumhari 7 pushto tak bhi chali jati he,
★ Ab konsi taaqat he Jo us kaum ko bacha sakti he jis per Allah ki laanat pad rahi he aur ye laanat isliye pad rahi he k ye Allah k hukmo ke baagi ho gaye, aur Allah ke nabi Sallallahu alaihivasallam ke noorani aur paakiza tareeqo ke baagi ho gaye,
⇨ Allah jisko bhi halaak kiya, barbaad kiya, ye unki bad amali ki buniyad par kiya,,
⊙ Dua karo dosto Allah palak jhapakne ke barabar bhi shaitan aur nafs ke hawale na kare, hume maut tak apne hukmo par aur pyare nabi Sallallahu alaihivasallam wale tareeqo par chalaye rakhe,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-25 , in sha Allah ta'aala,
                   ⚀ PART-25 ⚀
      •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
        Aazmaish aur Uska Badal
       ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Allah  ta'aala  ki  tarteeb  he  muqarrabeen  ko  thokre  lagti  he  or  Jo  uske  dushman  hote  hai  unko  khoob  chadata  he  or  khoob  khilata  he,,
★ ye  azeeb  baat  he,!  Allah  ta'aala   ki  aazmaish  rozana  kehti  he,
→ ya  Allah!  Aaj  me  kaha  jaou'n ?
→ To  Allah  ta'ala  farmata  he,
" mere  dosto  ke  ghar  chali  ja,
mujhse  mohabbat  karne  walo  k  ghar  chali  ja,
me  unko  parkhunga,
unke  sabr  ko  aazmaunga,
unke  gunaho  ko  paak  karunga,
unke  darjaat  ko  uncha  karunga,,,
→ Jab  YE  is  ummat  ke  liye  hui,
zarurate  qurban  hui,
takleefe  bhi  sahi,
chataiyo  pe  bethe  bethe  zindgi  guzar  gayi,
isi  me  mar  gaye  dafan  hue
or  ye  bechare  bhi  dil  me  kehte  rahe  hume  mila  kya?
→Jab  ye  qayamat  ke   din  uthenge  to  Allah  ta'ala  us  waqt  kahega,
" ye  he  tumhari  aazmaisho  ka  badla,
us  waqt  me  jin  logo  ne  duniya  me  aman  ki  zindgi  guzari  hogi  wo  kahenge,
" haay !!   Hamare  jism  ke  tukde  tukde  ho  jate or  hume  bhi  ye  mil  jata  Jo  unko  aaj  diya  ja  raha  he,,—
   "Jannat. aur. uski. Niyamate'n"
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-26 , in sha Allah ta'aala,
    
                   ⚀ PART-26 ⚀
      •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
               Halaal Par Sabr Karo,
       ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★Hazrat Umar bin Abdul Azeez rahmatullahi alaihi apne ghar me tashreef laye to betiyaan kapda moonh par rakh kar baat karti hai .
⇨ Jab poochha to khadima rone lagi , Ameerul momineen kuchh khabar bhi he ,teri betiyo ne aaj kachchi pyaaj se roti khayi he .Aapko badbu se nafrat he isliye moonh ko kapde se dhanke hue hai .
★ Hazrat Umar bin abdul Azeez rone lage ,kon chahta he uski aulad musibat me rahe.
Teen barre aazam ka wali aur hukmran aur uski betiyaan kachche pyaaj se roti khaye ',
⇨ Hamare yaha to mazdoor ke bachche bhi pyaaj se roti nahi khate.
★ Farmaya-"meri betiyo'n  !.me tumhe bade lazeez khane khila sakta tha ,lekin me jahannam ki aag ko bardast nahi kar sakta,
→Sabar karo ek din Allah achchha khilayega,faako pe Allah ka vaada he k Allah paalte hai ,neki per Allah ka vaada he k Allah paalte hai
⇨,haraam par Allah ka vaada nahi,us per to vaada ye he k zaleel v khwaar karunga ,unki nasle roti he jo haraam kamayi aulad ke liye chhodke marte hai ,wo qabro me aulad ko rote hai ,aulaade duniya me roti he .
⊙ Allah hume haraam aur halaal ki pehchan ata kare ,haraam se hifazat kare aur halaal rizq ataa kare .
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-27 , in sha Allah ta'aala,
                   ⚀ PART-27 ⚀
      •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
     Deen Haq Raaste Se Sikho,
       ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Deen ko  seekhne ke Jo haqq raaste hai, in raasto ko chhodkar batil raasto se aaj ummat deen seekhna chahti he,,
⇨ maslan log what's app,  Facebook se ya Net se Deen seekh rahe hai,,
★ Online  deen seekah ja raha he, Facebook,What's app ya aur koi Deeni Sites kese batayegi k qurbani kise kehte he? Maashra kise kehte he? Ye cheeze  tab madadgar hoti he jab mashra Qaayam hota he,
⇨ Aaj janne wale beshumar hai, amal wale kitne hai?sab jaante hai namaz farz he, kitne paband he??
★ Malumaat ka naam ilm nahi he, ilm wo he jo allah ki pehchan karade, amal pe khada karde,
★Mere dosto ! is tarah malumaat to bad sakti he, zindgi me deen nahi aayega,, uske liye to wo Raasta , tareeqa akhtyar karna padega Jo sahaba ikram radiyallahu anhum azmaien ne akhtyar kiya tha,, wo tariqa e mehnat ummat me jinda karne ki zaroorat he,Tablig isi ki Mehnat he ,,
★ Sahaba r.a ne huzoor sallallahu alaihivasallam ki sohbat se deen seekha,
→ Aaj Allah walo ki, Ambiya Ke waaris Ulma ikraam, Buzurgane Deen ki  Sohbat  Ummat Mehroom ho gayi aur Facebook, Whats app se Chipak gayi ,
★ Allah walo ki Sohbat se Deen seekhne ki zaroorat he,
Sahaba r.a ne masjido me Deen ki majalise Qayam ki,, K Aao betho thodi der Deen Sekho,
⇨Aaj masjido ko aabaad karne ki zaroorat he,,
★Ek mashiyat chal rahi he, ek zindgi chal rahi he,  poori dharti par koi ek basti esi batade jisme huzoor sallallahu alaihivasallam wali poori zindgi aur poora deen Zinda ho??
⇨Saare jahaan me fire aur batade k fala ilaaqe me huzoor s.a. ka tareeqa zinda he, huzoor s.a. ki har sunnat zinda he,,,
⊙ Allah deen ko deen ke raaste se seekhne ki tofeeq ata farmaye, aur haqq aur baatil ki samajh ata farmaye,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-28 , in sha Allah ta'aala,
    
                   ⚀ PART-28 ⚀
      •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Khatme Nabuwat Ka Mafhoom Samjho,
       ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto! hum ese Nabi ki ummat hai, jis Nabi ke baad koi Nabi nahi aayega aur humare zimme ye Nabi wala kaam laga he,is paigam ko duniya me aam karna humara kaam he,
★ Allah ki taraf bulana, uski azmat, buzurgi ko bolna, risalat ki taraf bulana, ye kaam batayeg k ye log aakhri Nabi ke ummati hai, ye khatme nabuwat ka amali ikraar he,
★ Hume Nabiyo ke intzaar ka hukm nahi mila, hume ye hukm mila he k is kalme ko lekar firte chale jao,
⇨ agar ummat ye kaam chhodti he to ye khatme nabuwat ka amali inkaar he, amali inkaar se aadmi fasiq ho jata he, aitqadi inkaar se kaafir ho jata he,,
 hum khud soche aur gaur karle, idhar to hum kahe k ab Nabi koi nahi aayega, aur idhar hum kahe k ye kaam humare zimme nahi,, bas namaz padho, halaal roti khao, maa,baap,bivi bachho ke huqook ka khayal rakho bas itna karo kaafi he,,
⇨ Agar itna hi islaam he to fir kya na'uzubillah Allah ne insaniyat pe zulm kiya Jo Nabuwat ka darwaza band kiya??
Allah hume sahi samajh ata kare or is kaam ki Qadardani naseeb kare,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-29 , in sha Allah ta'aala,
                         ⚀ PART-29 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
                Yes We Are Muhammadi, 
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ yes, we are muhammadi,
Haan hum muhammadi hai,humne Muhammad sallallahu alaihivasallam ki risalat ka iqraar kiya he,
★ Humari pehchan ye he k hum Allah ko raazi karne k liye Namaz ko kaayam karte hai,
→zakaat adaa karte hai, chahe humari aamdani ghate ya bade, kharcha poora ho ya na ho ushar nikaalte hai,
⇨ hum rishwat nahi lete chahe humare bachho ke kapde achhe na ho, chahe humare bachhe bade schoolo me na pade, humare bivi bachhe humari qabro me nahi jayenge,
⇨hum interest per ,sood per karobaar nahi karte, sood lena aag ka khana he,
⇨ hum milawat nahi karte, jhoot nahi bolte, hum bhook bardast kar sakte hai magar haraam luqma na hum kha sakte hai na apne ghar walo ko khila sakte hai,
★ kisi behan beti pe galat nazar nahi dalte, ye iblees ke teer he,
★ hum buraYi se rokne wale hai, bhalai felane wale hai,,
★ hum mohammadi hai, hum apne NABI Sallallahu alaihivasallam ke nayab hai,,, hum hidayat ke liye aaye hai,,
★ humme humare nabi wale akhlaak hai, nabi wala mashra he,
⇨ Qurane Kareem humara rehbar he, Allah humara muhafiz he,, Deen humara mukammal he hum is deen ke daayi hai,,
" Alhumdulillah,,
We proud,,,
● Say with me "Alhumdulillah, "
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next- 30, in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-30 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Imaan Ka Noor
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Azeez dosto,,
⇨ Is kalme per hum Jo thoda bahut amal kar rahe hai, ye toheed ki shaqal he, isme haqeekat zinda karna maqsood he, agar haqeekat zinda ho jaye to ye ALLAH ke deen ko zinda kar dega,
★Haqeekat kise kehte he?
Sahi yaqeen ho, amal me Nabi sallallahu alaihivasallam wala tareeqa sahi ho, Allah wala dhyan sahi ho, niyat ikhlaas sahi ho,
⇨ ye cheeze jis amal me hogi ,kaha jayega k ye amal zinda he, isko dil me utaarne ke liye dil ki roshni ki zaroorat he, jab ye roshni dil me utarti he to andar seena khul jata he,
★ poochha gaya iski nishani kya he?
Aap sallallahu alaihivasallam ne farmaya,
Duniya se be ragbati, jannat ka shok aur maut se pehle maut ki fikr,
agar ye 3 cheeze nahi he to imaan hoga magar noor se khali hoga,
Jese line he, bulb bhi he magar jalane wala koi nahi,,
★ Ese hi imaan he magar ise chamkane ki zaroorat he, chamkane ke liye mehnat karni padegi,,
⇨ nafs ka mujahida he, apni tabiyat se ladna padta he,
fir ye imaan ka noor batayega Allah aur uske Nabi Sallallahu .Alaihivasallam ke hukm, aamal me kamyabi he, aur Allah ke haath me aasmano aur zameeno ke naqse hai,,
☆ Allah Hume wo noor ata kare aur is noor ko hasil karne ke liye mehnat me lagaye rakhe,,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-31 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-31 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Azmat Paida Karo
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere dosto,,
Allah ki azmat ko is dil me bethana he,
⇨ Allah ki azmat jab aati he to fir nabi Sallallahu alaihivasallam ki azmat bhi dil me paida ho jati he,,
→ aur jab tak Allah aur uske rasool ki azmat dil me nahi utarti us waqt tak Allah Aur uske rasool ki baat ko maana na mumkin he,,
→ sun lenge,,badi badi kitabo me padh lenge, jab tak hamare dil Allah aur uske rasool ki mohabbat se bhar nahi jate, us waqt tak amal per nahu aa sakte, aur ek qadam bhi nahi utha sakte,
★ Qadam uthne ke liye imaan ki taaqat hoti he, dil ki taaqat hoti he Jo insaan ko Allah aur uske rasool ki baat per ubharti he,
⇨ Aur dil ko is qabil banane ke liye mehnat to karna hi padega,,,
★ Natija Allah ke haath he hume Allah ne mehnat ka mukallif banaya he,,
☆ Allah hume ieman, aamal ki mehnat me maut tak lagaye rakhe,,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-32 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-32 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Allah Ke Gair Ka Yaqeen Nikaliye
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★Mere bhaiyo!
Kalme ki haqeekat ko dil me utaarne k liye mehnat aur mashakkat karni padegi,,
⇨ humne to maa ki god me seekha k beta kamayega to khayega, nahi kamayega to kaha se khayega,,
⇨jab school gaye to teacher ne padaya, alif se anaar, Ba se bakri,, pehle din hi Allah k bajaye roti kapde ka taarruf karaya gaya, beta tera kaam roti kamana aur khana he,,
★ jab bade hue to zameen, suraj, chand, hawa se ye hota he, galle ese ugte hai,, sab Allah ka gair padhaya gaya,,
⇨jab aur bade hue to itna kamaya, itna ho gaya, fala k paas itna paisa, itni gadiya,,
★ Allah ka gair dilo ke andar jam raha he aur Allah se taalluk toot raha he,, maadde ka roab dil or dimag per esa chhaya hua he k Allah ki rubibiyat ka nijaam hi Zahan se nikal gaya,
★ Allah ki Qudrat, vahdaniyat, sifate rahmat, sifte ataa, zahno se mit gayi,,
☆ Allah hume samajhade, aur kalme ki haqeekat humare dilo me utaarde,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-33 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-33 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Apne Haal ki Fikr Karo,
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Sahaba Raziyallahu anhum azmaien ke daur me Sahaba R. A. Ki poori saff zameen pe giri padi thi,
★ Namaz ke baad jab Aap sallallahu alaihivasallam ne salaam fera to Ashaabe saffa zameen per gire hue the, bhookh aur kamjori ki vajah se khade hi nahi ho sakte the,,
★ Halanke itne taaqatvar the k 5-6 ser ka loha uthakar sara din ladte the,, 8 ser ka loha pehne hue hote the,, 6 ser ki talwaar hoti thi,,,
★ lekin kalme ko buland karne me Jo masa'ib aaye un per sabar kiya,, har line ki qurbaniya sahaba r.a. ne di,, yaha tak k apni jaan ka nazrana bhi pesh kar diya,,
⇨In per itni bhook aayi k sab ke sab namaz me gir gaye,,
★ Aap sallallahu alaihivasallam ne dekha k sahaba r.a. gire pade hai to aap sallallahu alaihivasallam ne farmaya,,
⇨agar tum ko pata hota k Allah ne tumhare liye jannat me kya tayyar kiya gaya he to tum kehte k hum per aur zyada musibat aani chahiye thi,,
ye Allah ka nizaam he,,
★ Mere Dosto !
Aaj hum apne haalato pe gor karle,,,
Allah ta'ala ka diya sab kuchh hone ke bavjood apne deen o imaan ki koi parvaah nahi,, Hukm toot rahe, Fara'iz chhoot rahe, Sunnato ka mazaq banaya ja raha, Akhlaq se hum past ho gaye, Mazmlat hamare bigad gaye, Mashrat tooti padi he,,, Allah hifazat kare,
Fikr karo Dosto apne imaan o amaal ki,
☆ Allah hume samajh ata farmaye,,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-34, in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-34 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Hijrat Aala Amal He
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.!
Huzoore Akram sallallahu alaihivasallam aur aap ke jaanisar Sahaba radiyallahu anhum azmaien ne is kalme ko buland karne k liye aur is deen ki hifazat k liye kis tarah apne Pyare watano ko chhoda,
★ halanke watan ka chhodna insaan ke liye bada mushkil kaam he aur unhone watan bhi is tarah chhoda k fir maut tak apne watan ko vapas na gaye
⇨Aur ye watan chhodna kis tarah unko duniya aur duniya ki tamaam daulat se zyada mehboob tha aur deen ko kis tarah duniya per muqaddam kiya
★ Aur na duniya k zaya hone ki parvaah ki aur na uske fana hone par tavajjoh di
★Aur wo kis tarah apne deen ko fitno se bachane k liye ek ilaaqe se doosre ilaaqe ki taraf bhage firte the, iski nazeer milna namumkin he,
★ Unki haalat esi thi k goya k wo akhirat k liye hi paida kiye gaye the aur wo sirf aur sirf akhirat hi ki fikar karne wale the,
★chunache iske nateeje me esa nazar aata tha k duniya sirf unhi k liye paida ki gayi thi,
®Hayatussahaba 1/547
☆Allah Hume tamam fitno se mehfooz rakhe or deen ki mehnat me lagaye rakhe,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-35 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-35 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Akhirat Ki izzat Ki Fikr Karo Duniya Ki Nahi
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★Hazrat Ibne Zuber Raziyallahu Anhu .Huzoor sallallahu alaihivasallam ke Sahaba me se the,,
wo farmate hai k ek din Huzoor sallallahu .alaihivasallam ko sakht bhook lagi,,
⇨ HuZoor sallallahu .alaihivasallam. ne ek patthar uthakar apne pet per bandh liya,
⇨ fir aap sallallahu.alaihivasallam.ne farmaya,
" gor se suno, -
Bahut se log duniya me khoob khana kha rahe hai aur achhi Zindgi gujaar rahe hai,
→ lekin ye log qayamat ke din bhooke aur nange honge,
⇨ Gor se suno bahut se log (duniya me apni khwahisho pe chalkar zahir me) apna ikraam kar rahe hai, lekin haqeekat me wo apni toheen kar rahe hai ( k qayamat ke din woh ruswa aur zaleel honge),
⇨Gor se suno,, bahut se log ( duniya me Allah k hukmo pe chalke zahir me) apni toheen kar rahe hai, lekin haqeekat me wo apna ikraam kar rahe hai(k qayamat ke din unko Raahat aur izzat milegi )
®Hayatussahaba 1/510,
★ Zara ab hum apne haal per bhi gor karle k hum kis category me aate hai,,,???
☆ Allah hum sabko qayamat ki ruswayi se bachakar us din ki izzat naseeb farmaye,,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-36 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-36 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Har Haal me Deen Ki Mehnat Karo
▣▣
★ Hazrat Anas raziyallahu .anhu farmate he, k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k,
⇨ Allah ki khatir Jo takleef mujhe pahunchayi gayi, aur jitna mujhe Allah ( Ke Deen ki mehnat ) ki vajah se daraya gaya, utna kisi ko nahi daraya gaya
⇨ Aur mujh per 30 din aur 30 raate barabar esi guzri he k mere aur Bilaal ( Raziyallahu Anhu ) k paas kisi jaandar k khane k qaabil sirf itni cheez hoti Jo Bilal ( r.a ). ki bagal k neeche aa jaye,
(yani bahut thodi mikdar me hoti thi)
® Hayatussahaba 1/534
☆ Dosto aaj hum 3-3 waqt bhar pet khate hai fir bhi hume na to Allah k hukmo ki parvaah he aur na hi Deen ki fikr he, sunnato ka to hum rozana mazak uda rahe hai,,
⇨ Allah humari hifazat farmaye,
Deen ko zimmedari samajh kar deen ka kaam khuloos se karne ki tofeeq ata farmaye,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-37 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-37 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Khatme Nabuwat Ke Haamil
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.!
Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Allah ke Akhri Rasool he'n, is buniyad per hamare zimme kya lagta he,?
Akhir hamare paas khatme Nabuwat ki pehchan kya he?
★Ikraare Risalat ki pehchan to Namaz, Roza, Zakat, Hajj, Walden ke huqooq aur sare awamir, lekin aqeeda khatme Nabuwat ki pehchan kya he? Khatme Nabuwat ke haamil logo ki alamat kya he? Jise dekhte hi pata chal jaye k ye khatme Nabuwat ke aqeede wale log he'n, Kaash hum isko samajh le,!
★Mere Dosto! Dawat Tablig Allah ki taraf bulana, uski buzurgi ko bayan karna, Risalat ki taraf bulana, aur apne dil se apna jaan maal is per lagana, makhlook se kuchh na chahna, Ye kaam he Jo batayega k ye log Akhri Nabi ke Ummati he, Tablig ka kaam khatme Nabuwat kind pehchan he, Agar hum is kaam ko chhodte he to ye khatme Nabuwat ka amali inkaar he, hum Khud soche ,
Allah Sahi samajh ke saath apni zimmedari ko pura karne ki tofeek de,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-38 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-38 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Allah ke Raaste ka Khurooj
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.!
Allah ne Deen diya, Deen ke saath Deen ki Mehnat di, Har zamane me Deen mehnat ke saath zindgi me aaya he, Jab mehnat chhot jati thi, Deen Zindgiyo se nikal jata tha, Jahalat aam ho jaya karti thi,
Har Nabi ko Allah ne Deen ke saath Deen ki Mehnat bhi di, Nabi aate, Mehnat karte logo ki zindgiyo me Deen aata,
Jab Nabi chale Jate, Deen ki mehnat chhoot jati aur logo me nigaad paida hona shuru ho jata, Jahalat aam ho jati,
Isliye Dosto Deen ko Zindgi me lane ka wahid raasta Deen ki mehnat ko akhtyar karna he,
Allah hume is mehnat per isteqamat ke saath lagaye rakhe,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-39 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-39 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Tablig Risalat KA Haq He
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.!
★Khatme Nabuwat KA hum per Haq kya he ? Risalat KA hum per Haq kya he ?Zara sochiye ,
★Allah ke Deen ko felana hamare ouper Risalat KA Haq he ,khatme nabuwat KA Haq he ,Jab hum maan chuke k Ab koi Nabi nahi aayega ,to is Deen ko aage pahunchana hamari zimmedari he ,Tablig hamari zimmedari he ,
★Agar hum Duniya ke insano tak Kalma pahunchane ko APNA kaam nahi samajhte ,Apni zimmedari nahi samajhte to Aap hi bataiye kon pahunchayega ?
★Mene Bivi bachcho KA Haq ada kiya ,Maa Baap KA Haq ada kiya ,lekin Risalat KA Haq ,khatme nabuwat KA Haq ada nahi kiya ,
★Bivi bachcho ka ,Maa Baap KA Haq beshak bahut he ,lekin Huzur Sallallahu alaihivasallam ke Haq se badkar nahi ,Allah farma raha he k Mere Nabi ( SA ) ka Haq Teri jaan se zyada he ,
☆Allah Apne Haq ke saath saath Apne Habeeb KA Haq ada karne ki Tofeeq ata kare ,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-40 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-40 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Dawat Ummul Aamal He
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.!
★Tarteeb ye he k Aala per Adna ko qurban kiya jata he, Aala ko Adna per qurban nahi kiya jata, haiwanat insaan per qurban hote he'n, to ye insaan bhi to kisi bhi Qurban ho ?
★Namaz ka waqt he Quran ki tilawat Namaz per Qurban hogi, Quran padhoge to Jama'at chhoot jayegi, Ab koi kahe bhai Namaz padhlo, kehta he hume ilm se rokte ho, Zikr se rokte ho,
To bhai Namaz khadi ho gayi to Namaz Aala amal he, Adna ko Aala per Qurban Karo,
★Allah ki taraf bulana ye Sabse Aala Amal he, itna Aala ki ye kaam sirf Nabiyo ko diya, Allah ne Karam, Fazal farmaya Jo ye kaam Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke vaaste se poori ummat ko diya gaya,
★Agar ye Amr na ho to Namaz qaayam nahi hogi, Roza vajood me nahi aayega, Zakaat, Hajj vajood me nahi aayenge, Dawat sabse pehli buniyad he Jis per saara Deen khada he,
★Dawat ke Safar me Roza aftaar kiya gaya, Namaz 4 raka'at ki 2 raka'at hui, 2 raka'at Salatul khof utri, Fuqha kehte he Sina fir jaye to NamaZ toot jati he, Salatul khof sina hi nahi Poore Aadmi ja rahe he, aana Jana bhi ho raha he, Namaz bhi ho rahi he, Allahu Akbar Namaz ki shakl badal gayi Dawat ke safar me,
★Dawat ko sabse Uncha rakha, Ye Maa'n he, isse Aamaal zinda hote he'n, agar Dawat ki Mehnat nahi hogi to Deen zinda nahi ho sakta, 
◆Allah Hume Dawat ki qadrdani Naseeb kare,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-41, in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-41 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Tablig Waqt ka Taqaza He
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.!
✯Ye Ummat Shuru se hi qurbaniya deti chali aayi he, aur isiliye ye Ummat Allah ko Mehboob he,
✯Is ummat ke Ulma ko Allah ne Nabiyo wala muqam diya, is ummat ke Aam musalman ko bhi Allah ne Nabiyo wala kaam diya aur Nabiyo wala noor diya he, isiliye hum kehte he k is Kalme ko lekar saari duniya me firna ye khatme Nabuwat ka haq he,
✯ Imaniyaat ko dekhe to Allah paak ki Wahdaniyat kesi miti padi he,
Risalat ko dekhe to Huzur Sallallahu Alaihivasallam ke Tareeqo ka kesa mazaq udaya jata he,
Ibadaat ko lelo to Masjide khali, Ramzan aaya aur chala gaya,
Maamlaat ke ye haal he k Musalman se koi khareed farokht karne se darta he, Jhoot, Dhoka aur haraam per karobar chal rahe,
Maa Baap sisak sisak kar zindgi guzaar rahe,
Aulado ki galat tarbiyat ho rahi he, 
⇨Garz ye k Poora Deen mitaya ja raha he,
✯Is waqt ka taqaza ye he k sab kuchh is per lagaya jaye, lekin Himmat nahi, istedaad nahi hamare andar,
✯Isliye kaha jata he 4 mahine lagakar apne andar istedaad paida kiya jaye, Fir roya jaye is Ummat ke halaat per,
✦Allah iski tofeeq de,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-42 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-42 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Deen ki Mehnat ka 'ina'am
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.! 
✯Jo Amr bil 'ma'roof nahi Anil munkar, ( Bhalai ka hukm karna aur Buraai se Rokna) ko apna kaam banata he, Jannat ki hooro se iski shadi hogi, ek kahegi, Tujhe pata he Allah ne tere saath meri Shadi kyu ki?
Kahega, mujhe kuchh pata nahi,
Kahegi Tune 'Fala'n Aadmi ko achchhi baat kahi thi, uske badle me Allah ne Tere saath mera Nikaah kiya,
✯Jo mehnat karte 'he'n Allah unko 'A'ala darja ata farmate 'he'n, Kal wo Nabiyo ke saath honge, 'Nai'em ki zindgi hogi, Hamesha ki zindgi hogi,,
✯Esi jannat hogi jisme Khuddam Sawariya layenge, Esi hoore jo Resham pehne hue Sar per Taaj sazaye hue Ese naaz o Andaz se chalti hongi k unko dekhta chala jaye to Zindgi guzar jaye, wo unke saath bethengi aur ouper Parinde Chahchaha rahe honge aur Allah ki Rahmat mutavajjah ho rahi hogi,
✦ Allah esi Jannat aur Uski niyamato ka shok laga de,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-43, in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-43 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Baatil Dawat se Toota He
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.!
✯ Ek baat apne zahan me rakh lo, Allahl 'ta'ala us waqt tak dheel dete 'he'n, Jab tak Dawat dene wala koi paida nahi hota,
✯Jab Dawat dene wala paida ho jata he to Dheel ka zamana mukhtsar ho jata he, Yaha tak k Dheel ka zamana khatm ho jata he, Fir Ya to Allah 'ta'ala Hidayat dete 'he'n ya Halaak Farma dete 'he'n,
✯Qome Nooh, Qome Hood, Qome Loot, Qome Samood, sabko apne apne naqso me halaak kiya, namrood ko langde Machchhar ke zariye halaak kiya, Firon ko Pani me Duba diya,
✯Har Zamane me Jab Dawat dene wala paida hua, Har Nabi ke zamane me Allah 'ta'ala ne Kalme walo se Baatil ko toda he,
✦ Allah Dawat ki Qadr dani Naseeb farmaye aur Haq Baatil ki samajh ata kare, Dawat ke Kaam ko lekar chalne wala Banaye,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-44 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-44 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Aalami Nabuwat
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.! 
✯Deen e islaam Kaamil Nabi ka kaamil Deen he, Ab koi doosra Deen Allah ke Yaha qabile qubool nahi, Jo islaam ke alawa kisi aur Deen ko akhtyar karega Allah ke yaha uska Deen qubool nahi kiya jayega,
✯Is Deen e islaam ko kisi ke Sahare ki koi Zarurat nahi he, Ye apni zaat ke saath vajood me aata he, Jab Kalme wale Kalme per qurbani dete 'he'n aur Kalma Dil me utarta he, Dil me Kalma uske andar utarta he jo Jaan, Maal, waqt ko Qurban karta he, itna Kaamil Deen, itni Kaamil Nabuwat,
✮Jab Saare Aalam per Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Nabuwat vajood me aayi, Saare zamane ke But gir gaye, Saare Aalam ke Badshah goonge ho gaye. 360 But ( statue) Baitullah ke tootte chale gaye,, Lekin aaj har Musalman apne Dil me But ( statue) banaye betha he, Aaj hamare Dilo Dimaag me Dukaan ka But ( statue) betha he, Mere ye Bol k meri Dukaan ke bager mera koi kaam nahi chalta, Ye bhi But ( statue) he jo Dil ke andar betha he,
★Nokri ka But k Nokri ke bager mera guzaara nahi hota, Tijarat ka But, Hukumat ka But, 'Zara'at ka But, Paise Ka But,
★Mere Dosto, agar ye kalma Dil me utar gaya to Allah in sabke bager kaam karke dikha dega,
✦Allah Dilo ki Gehrayi me is Kalme ko apni haqeeqat ke saath utaar de,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-45 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-45 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Quran. Ka. Namoona. Bano ,
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.! 
★Quran ki ek ek Aayat saari Duniya ki aitomi taqat per bhari he, lekin koi usko apne andar me to Leta,
⇨Sirf zabani Bol nahi, Dil ki gehrayi me lekar dekho, iski taqat ka andaz ho jayega,
★Imaan yaqeen ki Ayaat Dil me ho, Gor fikr ki Ayaat Dimaag me ho,
Hayaa Paak damani ki Ayaat aankho me ho, Kaano ki Ayaat kaano me ho,Sharm haya Aurat ke andar ho, Haatho ki Ayaat amali tor per haatho me ho,
Aazizi tawaazo ki Ayaat amali tor per paanvo me ho, Maamlaat aur tijarat ki Ayaat bazaro me ho,
★Gharo me Duniyavi Fahshi, Behuda Gaano ki. Jagah Quran ki tilawat ki awaaze nikle,
★Utho hamari Qom ke Nojawano, aur Hamari. Qom ke buzUrgo, Tum sab Chalte firte Quran ban Jao, Quran ka Namoona ban jao, Allah tofeeq de,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
◇◇◇◇◇◇◇Baqi hissa agle part me,
Next-46 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-46 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Quran ka Namoona Bano -2
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
: ↣Pichhle part se aage,,,,,,
★ Mere Dosto.!
↣Maa Ayesha Raziyallahu anha se puchha gaya Huzure Paak Sallallahu Alaihivasallam ki zindgi mubarak kesi thi.!?
Aapne Farmaya, Kya tumne Quran nahi dekha,, Aap sallallahu Alaihivasallam Quran ka namoona the,
★Ye zabani baat nahi he,, balki iski haqeeqat ye he k Quran apne lafo ke saath Dil ke andar utre,,
★Agar Taqwa he to andar me nazar aaye, agar tawakkul he to andar me nazar aaye, isteqamat ho to andar me nazar aaye,
★Allah ki muhabbat ho to andar me nazar aaye, Akhirat ki ragbat ho to andar me nazar aaye,
★Quran safo se nikal kar, Avraaq se nikal kar jismo me aa jaye, Kitaabo se nikal kar Rooh me utar jaye, Poore 30 sipare insan ke 5 fit ke jism me aa jaye,
★Fir jab us musalman per kisi ka haath uthega to Allah us haath ko tod dega, jo paanv uthega to Allah us paanv ko kaat dega, Jo Aankh uthegi to Allah us Aankh ko fod dega,
★Jab ye musalman Huzur Sallallahu Alaivasallam wali kitaab, ko lekar khada hoga, Aap. Wali zindgi ko lekar khada hoga to Allah ki madad uske saath hogi,
✧ Allah hume apni kitaab ka aur apne Habeeb Sallallahu Alaihivasallam ka namoona bana de,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-47 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-47 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Sunnat Chhoti ,Allah ki Madad Hati,
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.! 
"" Sahaba.ikraam Raziyallahu Anhum ke daur me qila fatah nahi ho raha, saare hairaan he'n kya kare? Kya vajah he k qila fatah nahi ho raha,
⇨Sab soch rahe k qila kyu fatah nahi ho raha, Kehne lage humse Miswaak ki sunnat chhoot Hui he, Natija ye nikla k Miswaak ki sunnat chhoot gayi isliye qila fatah nahi ho raha, Sabko hukm diya k Miswaak karo,
★Mere Dosto ! Zara hamari soch dekho aur unki soch dekho, unhone kis buniyad per Qaisar v Kisra jesi taqatwar hukumato ko toda,
★Aaj hum mazaak uda rahe, ye kya lakdiya moonh me lekar firte ho,ab to Modern zamana he, brush karna chahiye,,,,,
★Think , Jo sunnato ka mazaak udaaye kya eso ke saath Allah ki Madad aayegi??
★Miswaak ki sunnat chhootne per Allah ki Madad hat gayi Tumne mere Habeeb Sallallahu Alaihivasallam ki sunnat ko halkA samjha, lihaza madad hat gayi,
⇨ Sawal ye he k Jis Musalman me kahi door door tak sunnat se koi talluk hi na ho kya uske saath Allah ki Madad hogi, ?
☆Sunnato ke chhotne se Allah hamari hifazat kare,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
--------- Baqi hissa agle part me,
Next-48 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-48 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Sunnat Chhooti Allah ki Madad Hati, -2
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.!
✯Uhad me bade bade Sahaba ikraam Raziyallahu Anhum 'he'n, lekin Huzur Sallallahu Alaihivasallam ke hukm ko jaan bujhkar nahi toda balki galti se toota, unko khayal ye aaya k ab to Jung khatm ho gayi aur Huzur Sallallahu Alaihivasallam ka hukm poora ho gaya,,,, bas itni si baat,
↣Allah ne fatah ko shikast me tabdeel kar diya,
★Mere Dosto!
✯Ek ek sunnat per jab tak marna nahi sikhenge, us waqt tak mujhe aur aapko Allah izzat nahi de sakta, Huzur Sallallahu Alaihivasallan wali zindgi ki hifazat karna hoga,
⇨Aapka ek ek tareeqa, Aapka uthna, Aapka bethna, Aspka dekhna, Aapka bolna, Aspka libaas, Aspki shakl v soorat, har ek cheez ko apne andar utaarna hoga,
↣Fir chahe Hamare paas ek lakdi ki kimchi bhi hogi to Allah usko talwaar bana dega,
✦ Allah hume Sunnato ki qadr dani naseeb kare, aur Apne Habeeb ke ek ek tareeqe per mitne wala bana de,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-49 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-49 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Hum 'Jama'at me Bate 'he'n, Wo Ummat the,
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.!
✮Aaj humne paise ki taaqat ko sikha he, Hukumat ki taaqat ko samjha he, Kabhi Amaal ki taaqat ko nahi sikha, kabhi Amaal ki taaqat ko nahi samjha,
✯Agar wo Amal haqeeqat ke saath wajood me aa jaye to aaj ke baatil ki kya taaqat he?
✯Mere Dosto!
Wo ummat bankar rahe, Hum 'jama'ato me bat gaye, wo ummat thi, Hum giroh 'he'n, Wo ummat thi Hum Qabila Qabila 'he'n, wo ummat thi Hum subaiyat, lisaniyat 'he'n, wo ummat thi, Hum tukde tukde 'he'n,
✯Wo ummat thi isliye unki pukaar Allah ke arsh tak ja pahunchi, Hum bikhre hue 'he'n, humari awaaz ka hum khud hi daba dete 'he'n,
✰ Allah hume Firko se nikaal kar Ummat bana de,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-50 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-50 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Ikhlaas
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.! 
✮Khandak ke moqe per Sahaba Ikraam Raziyallahu Anhum per zabardast khof KA Aalam lekin Hathyar koi nahi ,Sardi bhi zabardast ,lekin badan per kapda koi nahi aur bhook ki haalat ,khane ko Roti koi nahi ,
✯Allahu Akbar ,,lekin Allah aur uske Rasool ke saath Jude hue he'n ,Aaj Ummat me se Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqo per Jamna nikla hua he ,Sahaba Ikraam ki tarbiyat us rukh per farmayi gayi k Marna qubool magar Tareeqo se hatna gawara nahi ,
✮Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Yahudi ke seene per chade hue aur use qatl karna chah rahe ,aur WO moonh per thook deta he to chhod kar pichhe hat jate he'n ,
⇨Yahoodi hairan ,farmaya pehle me tujhe Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki vajah se qatl kar raha tha,Lekin jab tune mere moonh per thooka to mere nafs KA gussa shamil ho gaya ,Ab Allah aur uske Rasool ki Raza nahi thi ab Apne nafs KA gussa tha ,Ye dekh yahudi ne kalma padh liya ,
✮Aaj to musalman musalman ko is bina per Qatl kar raha he k isne mujhe gaali di he ,,socho ESE Amaal ke saath kaha se Ummat vajood pakdegi ,
✦ Allah ikhlaas ki daulat se tamaam Ummat ko Nawaz de ,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-51 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-51 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
! Duniya Ki Gandgi,
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.! 
✯ Ek bhangi itr wale ki Dukaan se guzra to behosh hokar gir pada, Ab saare ikatthe ho gaye, kehne lage kya hua isko jo ye behosh ho gaya?
⇰Koi kehta kewda lao koi kehta gulab le aao, koi kehta khamira khilao,
⇰ Usi Raaste se ek aur Bhangi guzra, usne dekha ye to meri hi Biradri ka he, wo thodi si gandgi lekar aaya, uski naak ko lagayi to hosh me aake beth gaya,
✯Aaj saare musalmano ka yahi haal he, Jannat ki baate, Jannat ki khushbu, Jannat ki Ronak, Jannat ke bagaat, Nehre, Jannat ke Nagme, Sab bhool gaya, Quran ke nagme bhool gaya, Apne aapko Duniya ki gandgi me duba liya,
✮Aaj musalman behuda mosiqi ki dhuno per sar hila raha he, Are! Hamare sar kabhi Quran per hila karta tha, kabhi. aansu Quran sunne per nikla karte the, lekin Aaj shaitan ne barbaad kar diya,
✮Jab hum yaha apne aapko haraam se nahi bacha sakte to Allah Jannat ke Nagme kese sunayega, Yaha apni aankh ko behayai se nahi bacha sakte to Allah apni zaate Aali ka didaar kese karayega,
✦Allah jannat ka shok aur Quran se talluk paida farma de,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-52 , in sha Allah ta'aala,
 Bayanaat, 
⚀ PART-52 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Kaha Gaya Ikhlaas ?
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★ Mere Dosto.!
★ Baat sola aane sachchi he ,Kuchh logo ko Haq baat kadvi lagti he ,unko ye baat hajam nahi hogi ,lekin Haq to Haq he bhai ,
★ Aaj social media khaas kar What's app per log Roz ba Roz group bana rahe ,lekin maqsad ka kuchh pata nahi ,
★Lekin mera moju ye nahi ,me to un logo ki baat kar raha hu Jo is line me purane he'n , Unme me bhi shamil hu'n , Kya ikhlaas paida hua humme ,,?
★ Hasad ,Bugz ,Adawat ghar karti ja rahi ,,mera group aapse achchha,, mere members aapse zyada ,,mere itne group ho gaye ,,me itna deen ka kaam kar chuka ,itna Deen ka kaam kar raha hu'n,,
Astagfirullah ,,Astagfirullah ,,
▣ Allah Hifazat kare in bolo se ,Deen me Daava Allah ko pasand nahi ,Takabbur ,Qibr Allah ko pasand nahi ,Riya ,Dikhawa to Shirk ho gaya ,,fir kese Daava karte ho k Aap Deen ka kaam kar rahe ho ?Mujhe to hairat hoti he ese bol sunkar ,,
★ Ab ek cheez aur paida ho gayi ,Geebat ,,,,Allah maaf kare ,,
⇨ Socho bhai !! Kyu Allah ne geebat ko shadeed Haraam qaeaar diya ,,Kyu iski missal apne murdaar bhai ke gosht khane se di ,,??? Kyu isko zina se bhi zyada sakht gunaah kaha ,,,?
⇨ Socho bhai ,,,Hum apna muhasba khud kar le ,,me bhi karu ,Aap bhi karo ,,kyu hum is burayi me mulavvis ho gaye ?
★ Hikaarat per to Allah imaan ko salb kar leta he ,Kisi ki nafrat dil me betha Lena ,kisi ko hakeer samajhna kitna bada gunaah hoga ??
Hume to sochkar bhi Dar Jana chahiye ese gunaah se ,Jo humare imaan ke liye khatra ho ,,
⇨ Bahut Bade Allah wale jinke bade bade mureed ,isaaiyo ki hikaarat Dil me aa gayi k kese be gairat log he'n ,Patthar ko pooj rahe ,,,
Allahu Akbar,,,,
⇨ Allah ko ye baat bhi pasand nahi aayi ,foran pakad hui ,Kya tera imaan tere khud ki vajah se he ,? Aur Allah ne imaan salb kar liya ,,,2 saal Khinjeer charate rahe ,,jis Asa se tek lagakar khutba diya karte the ,,usi se tek lagakar khinjeer chara rahe ,,
Isaaiyo ki hikaarat per Allah ki Pakad aa gayi, Socho bhai Aap to Ek Musalman ko Hakeer samajh bethe,, Apne imaan ki tasdeek karo Kalma e La ilaaha illallah se,,,,
▣ Allah ESE Bad kalaam ,ESE bad gumaniyo ,aur ESE Apni pakad wale gunaho se poori Ummat ki Hifazat kare ,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-53 , in sha Allah ta'aala,
 Admin Ki Diary, 
⚀ PART-53 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Akhir Hamari Mehnat Ka Maqsad Kya he ,?
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★• Mere Azeez Sathiyo'n Dosto.!
★• Ek Arse baad kuchh likhne ko man kiya ,Ek Dost ne tavajjoh dilayi is taraf k is moju per likha jaye ,Kyuki Apne hi Sathiyo'n me badlaav nahi ho raha ,Waqai khatre ki Baat he ,,
★• Alhamdulillah Alhamdulillah Mehnat ho rahi he aur logo ko nafa bhi bahut ho raha he ,Lekin kya hamara maqsad sirf doosro ko nafa pahunchana hi he ????
⇨ Agar yahi Niyat he to waqai islaah ki zarurat he ,Khuda ke Waste apni Niyat durust Kijiye,
★• Jo bhi Mehnat doosro ke liye hogi usse doosro ko to faayda hoga Lekin Khud ki Zindgi me koi badlaav nahi aayega ,Ye Mehnat ka Dhokha he ,
➡ Zara for karne ki baat he Dosto ,Kya hamare chehre Sunnat ke mutabiq ho gaye ? ,Kya hamare libaas Sunnat ke mutabiq ho gaye ? Kya hamare mamlaat ,Mashrat ,Akhlaaq se Sunnate Zaahir ho rahi he ,Kya Amaalo me Allah ki Raza wali kaifiyat he ,Kya Amaalo me Dil lagta he ?? Ya Masjido me bhi hamara Mobile harkar me hota he ,???
★• Hume to Har waqt is Hadees se darne ki Zarurat he ,Har waqt Zaban me hona chahiye iska mafhoom ,
→K Baaz log Jannatiyo ki Sadi me honge aur Baaz log Jahannamiyo ki safo me ,Kuchh Jannat me Jane wale Kuchh Jahannamiyo ko pehchan kar hairat se puchh rahe honge ,k Aap yaha kese ?
→Hum to Aapki batayi hui baato per Amal karke hi yaha tak pahunche he'n ,
→To Jahannamiyo ki Saf me khade log kahenge k Bhai hum Aapko to nasihat kiya karte the magar khud Amal nahi kiya karte the,,
Astagfirullah ,,Astagfirullah ,,Astagfirullah ,
★• Darne ki Baat he mere Bhaiyo'n kahi Hamari mehnat ko Wo Rabbe Kaaynaat mardood qaraar na de de hamari niyat ki kharabi ki vajah se ,
⇨ Khuda ke Waste apne Aapko Sachcha Daayi Saabit karne ki har mumkin koshish Kijiye,
 Allah Rabbul Izzat meri ,Haqq ka Daayi ki poori Team ki aur Jitne bhi Saathi Deen ki Mehnat me Jis Darje me bhi lage hue he'n Sabki Hifazat kare ,Mehnat me ikhlaas aur isteqamat ataa kare ,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
Next-54 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-54 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Rabiul Avval Kis liye Aaya he ? ,
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
.★:. Mere Azeez DOSTO,,,!
★• Rabiul Avval aa chuka,,,, Ummat wahi ki wahi,
Ye Mahina bhi baaz doosre Mahino ki tarah guzar jayega , fir hum wahi ke wahi,,,
★••Wahi Nafrate,, wahi takraare,, wahi fikre,, Wahi aapas ki ladaaiya'n, Wahi Bugz, Wahi ek doosre ko nicha dikhane ki koshishe,
★• Aaj Huzoor Sallallahu Alaihivasallam wala Dard aur Aap wali Fikr ko lekar ummat nahi chal rahi,, isliye Ummat Pasti me Ja rahi he,,,
★• Aaj Ummat Duniya me koi nahi he,, Giroh he,, Jama'ate hai,, Afraad he,, Partiya'n hai,, Ummat nahi,,
⇨• Ummat wo thi jinke seeno me Huzoor Akram sallallahu Alaihivasallam wala Dardo Gam tha,,
⇨• Ummat wo thi jiska Bachcha bhi HuZoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke Gam me rota tha,, Har ek ka ek hi Gam, ek hi fikr thi k hum Allah ke kalme ko lekar Duniya me fire,, usi per marte the, usi per jeete the,,
★• In Fikro ki Vajah se un per Allah ki madad aur Gaibi nusrat ke darwaze unke liye khule hue the,,
⇨• Aaj bhi Jo koi is Gam, fikr, kudan ko lekar chalega, Zameen aur Asmaam ki barkato ke darwaze unke liye khulte chale jayenge,,
◎◈ Allah hume is mahine ka haq Ada karne wala banaye aur Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam wali zindgi,, fikr,,, Gam,, kudan ataa farmaye,
●Aameen ya Rabbal aalameen,●
Next-55 , in sha Allah ta'aala,
⚀ PART-55 ⚀
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
Chal Dekh li Teri Muhabbat , Ey Ashiqe Rasool ,
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★Mere Azeez DOSTO,,!
⇨• Kal Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ki Aamad ki khushiya'n manayi gayi,, hume haqq he khushi manane ka, lekin sochna ye he k kya ye Tareeqa sahi he???
⇨• Mere Dosto me is waqt ye baat nahi keh raha k ye Jaa'iz he ya Na-jaa'iz he ,Ye mera Aajka moju nahi ,batana ye he k Kya ye Tareeqa Aqli aitbaar se bhi sahi he ya Nahi ??
★• Mere Dosto ! Khushi tab qubool hoti jab ye sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke tareeqo per hoti,,
Sahaba jaante the mere nabi kese khush hote hai,,
→•Sahaba Raziyallahu Anhum Aamaal ko zinda karte the,,
⇨• Nabi ke Gam ko lekar chalte the,, haqq ke daayi bankar, Kalme ko Buland karke khushiya Zaahir kiya karte the,,
→In julooso se hume kya haasil huva, ?
⇨•Kya Nabi Sallallahu Alaihivasallam ka laya huva Deen julooso, Naaro se fela he,?
⇨• Kya Jhande lehrane se Musalman ki shaan badi he,,?
★• Musalman jab Sadko pe aata he to Deen Badnaam hua he aur Jab Masjido me aata he to Deen Aabaad hua he, Hidayat ke raaste khule hai,,
★• Julooso me shamil kitne logo ne ba- jama'at Namaze adaa ki, ?
⇨• Farman to ye he, Namaz meri Aankho ki thandak he,, Akhri Vasiyat is ummat ko yahi he, meri ummat Namaz na chhorna,
★• Kitne logo ne tauba ki?
Kitne logo ne Apni Aankho ko Haraam dekhne se bachaya?
⇨• Farman to ye he k nazare iblees ke Teer hai,
★• Kitne logo ko Haraam mosiqi sunne se nafrat hui,?, humare to julooso me bhi Band Baaje hote hai,,
⇨• Jisko farmaya Kaano ka zina he,, Mosiqi Shaitan ki Giza he ,
★• Kitne logo ne zuban ko gaali se bachaya, humare to Bachche bhi gaaliya bakte hai,,
⇨• Farmaya, Jab Ummat gaali galoj Akhtar karegi Allah ki Nazro se gir jayaegi,,
★• Kitne logo ne shehwato, lazzato, se sharmgaho ke galat istemal se tauba ki,?
,
⇨• Allah ka gazab naazil hota he us zameen per jispe zina hota he,,
★• Mere Dosto ! Muhabbat ka Haqq to ye tha k Darood sharif ka Nazrana pesh kiya jata,, Kitne logo ne ek tasbeeh Darood paak ki padhi hogi??
⇨• Har saal ki khabre hoti hai Juloos se fala'n jagah jhagda ho gaya,, Danga ho gaya,, itne ghayal hue,, itne Zakhmi huve ,, itne jailo me gaye,,,
★• Waah Waah ! Achchha Haq ada kiya Huzoor se Muhabbat ka , Achchha Haq ada kiya Rabiul Avval ka ,Khoob DEEN chamkaya Aashiqane Rasool ne, Jo DEEN Muhabbat felane aaya, humne galat tareeqo ki pervi se Nafrat fela di,,
 Allah Hume Samajhne ki tofeeq de,,, aur Sunnat Shariyat ka Paband banaye, Jo Batil Tareeqe he unse hamari Hifazat kare aur Haq RAASTE ko Akhtyar karne ki Tofeeq Ata kare ,
●Aameen ya Rabbal aalameen,●
Next-56 , in sha Allah ta'aala,
 Admin Ki Diary, 
➖ Talibe Dua➖
ⓖ Haqq Ka Daayi,

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻

Post a Comment

 
Top