0


❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
            SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾

                PART NUMBER
                           34   
  
▣ Miya Bivi bhi Satar Ka Khayal Rakhe ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆

◈  islami taleem ye he k Miya Bivi bhi Aapas me bilkul Be-sharam na ho jata kare balki jaha tak mumkin ho Satar ka khayal rakha kare ,

◈ Ek Rivayat me Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal farmate he'n,

"Jab Tumme se koi Shakhs Apni Bivi ke paas jaye to hattal imkaan satar poshi kare aur Jaanwaro Kï tarah bilkul nange na ho jaya kare ,"

⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,6/163

◈ Maloom hua k Haya ka taqaza yehe k Miya Bivi bhi ek doosre ke Satar ko na dekhe, Sayyadna Hazrat Aayesha Raziyallahu Anhuma farmati he'n k" poori Zindgi na maine Aap Sallallahu Alaihivasallam ka Satar dekha na Aap Sallallahu Alaihivasallam ne mera dekha ,"
isliye Hume is baat ka khalis lihaaz rakh kar Sharm v Haya ka saboot dena chahiye ,

◈ Walden ke Amaal v Akhlaq ka Aulaad per bahut Badan Asar padta he ,Agar hum Sharm v Haya KE taqazo per Amal karenge to hamari Aulaad bhi inhi Sifaat v khaslato wali hogi ,

◈  Aaj Television per Nange aur insaniyat se gire hue manazir ( scene ) dekh kar hamare mashre me unki naqal utarne Kï koshish Kï jati he aur iska bilkul khayal nahi rakha jata k hamara Rab aur hamara Khaliq v maalik tanhaaiyo me bhi hamare amaal se poori tarah waqif he ,Wo is badtareen haalat me Hume dekhega to usko kis qadar nagawar guzrega ,Isliye Allah se Sharm zaroori he ,Ye Sharm ka jazba hi Hume buri batao SE bacha sakta he ,

◈ iske alawa Satar poshi me laparwahi ka ek nuqsan fuqha ne likha he k isse Aadmi ki yaddasht kamzor hoti he ,aur zaroori baate bhi use yaad nahi rehti ,

__ Allama Shaami Reh. Farmate he'n k Bhool ( yaddasht ) ka marz PAIDA karne wali CHEEZO me se ye bhi he k Aadmi apni Sharmgah se khel kare aur uski taraf dekhe ,

⚀•RєԲ:➻ Shaami ,1/225

☆ Next - 35 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 94
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
            SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾

                PART NUMBER
                           35   
  
▣ Miya Bivi Apna Raaz Bayan na Kare ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆

◈  Isi tarah ye bhi badi be-sharmi aur be-gairati Kï baat he k Miya Bivi Apne Raaz ko Apne dosto ,Saheliyo se bayan kare ,Ek Hadees me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Qayamat ke Roz Allah Kï Nazar me logo me sabse bad tareen martaba per Wo Shakhs hoga Jo Apni Bivi ke paas jaye aur uski Bivi uske paas aaye ,Fir unme se ek Apne saathi ka Raaz ( kisi doosre ke saamne bayan kare ) faash kar de ,"

⚀•RєԲ:➻ Ravaah Muslim, 4641, Targeeb v Tarheeb ,3/141

◈ Hazrat Asma bint Yazeed Raziyallahu Anhuma farmati he'n k ek Martaba mai doosre Mardo aur Aurto'n ke saath Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam Kï khidmat me haazir thi k Aapne irshad farmaya k ,
" Mumkin he koi Mard apni Bivi ke saath kiye Jane wale Fayl ( kaam ) ko bayan karta ho aur koi Aurat Apne Shohar ke saath kiye Jane wale kaam Kï doosro ko khabar deti ho ,"

Aap Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad sunkar log khamosh rahe ,magar Maine arz kiya k ,Ji Haa'n , Ey Allah ke Rasool ! Mard bhi ESA karte he'n ,"

To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" To esa na kiya karo isliye k ye kaam ESA hi he jese koi Shaitan ( Sare Aam ) kisi chudel se jimaa kare aur log use dekh rahe ho ,"

⚀•RєԲ:➻ Ravaah Ahmad ,Targeeb v Tarheeb ,3/61

◈ islam Be hayaiyo Kï baate felane se rokta he ,Miya Bivi ka apna Raaz bayan karna bad tareen qism Kï be hayai he , Hume is bad tareen fayl se ahatraaz karna chahiye ,Khaas TOR per naye Shadi Shuda Jode is hidayat ka khayal rakhe ,isliye k bigde mashre me unhe Apne Raaz bayan karne per majboori kiya jata he ,Hadees se maloom ho gaya k ye bayan karna aur Bayan karne per majboor Karna sakht gunaah he ,Allah Ta'ala Hume mehfooz rakhe, Aameen,

☆ Next - 36 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 96
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            

        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
            SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾

                PART NUMBER
                           36   
 
▣ Doosre Ke Ghar me Taak Jhaank ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆

◈  Aankho ke zariye kiye Jane wale gunaho me se ek Gunaah ye bhi he k Aadmi kisi doosre Shakhs ke ghar jaye aur ijazat lene se pehle Darwaze ya Khidki ke surakho ke andar jhaankne lage ,Ya Darwaza Khula ho to Seedha Darwaze ke saamne Jaa kar khada ho jaye ,

◈ Ek martaba Hazrat Sa'ad bin Ma'az Raziyallahu Anhu Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ke hujre Mubarak me tashreef laye aur Darwaze ke bilkul saamne aa kar ijazat maangne lage ,To Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne unko ek Kinare khade hone ka ishara karte hue farmaya k ,

"_Ey Sa'ad  ! Ese ( Aad me ) khade ho kar ijazat liya karo ,isliye k asal me ijazat ka Hukm to Nazar hi Kï vajah se he ,"

  ⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,6/443

◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam is tarah taak jhaank ko Sakht na pasand farmate the ,
Hazrat Sahal bin Sa'ad farmate he'n k ek Shakhs ek martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam ke daulat Khane ke suraakh me jhaankne laga ,Us waqt Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ke daste Mubarak me seeng thi ,jisse Aap Sallallahu Alaihivasallam Sar ko khuja rahe the ,To Aapne ( us Shakhs Kï harkat ko dekh kar ) farmaya ,
" Agar mujhe maloom hota k Tu dekh raha he to mai yahi ( bareek Seeng  ) Teri Aankh me chubho deta ,Kyuki ijazat lene ka Hukm to isi vajah se he k ( doosre Kï ) Nazar se hifazat rahe ,

⚀•RєԲ:➻ Bukhari Sharif ,2/922

◈ Sayyadna Hazrat Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu irshad farmate he'n k ,
" Jis Shakhs ne dakhile Kï ijazat se pehle ghar ka sahan Aankh bhar kar dekha to usne  Gunaah aur fisq ka kaam kiya ,"

⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,6/444

◈  isliye Allah se Sharm v Haya ka taqaza ye he k apni nigaho ko is bad amali se mehfooz rakhe ,Allah Ta'ala Hume Tofeeq ata farmaye ,,Aameen,

☆ Next - 37 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 97
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉           
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞

Post a Comment

 
Top