0
Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-833
~ Dozakh se Bachney ka Nabwee Nuskhaah ~
Mafhum e Hadees ke Mutaabiq Zuhar kee 4 Rakaatey Farz Namaaz ke Pehle 4 Rakaatey Sunnat e Moakedaah aur Zuhar kee 4 Rakaatey Farz Namaaz ke Baad 2 Rakaatey Sunnat aur 2 Rakaat Nafil (4+4+2+2=12) Rozana Paabandee se Padhney wale par Dozakh ki Aag Haraam ho jaatee hai...
(Nasai Shareef/Raavee : Hazrat Maa Sayyeedaah Uum e Habeebaah razee.)
---------------------/----------------/-------;-----------------
Fazail e Namaaz - 4 (Repeat)
JANNAT KI
CONFIRM TICKET
Jannati Banney wali Do Khaslatey (aadat/habit/manner)
(Khaslat no. 1);- Har Namaaz ke baad 10-10-10 Martaba Padho...
10 - Sub-HaanALLAH
10 - Al HamduLILLAAH
10 - ALLAHU Akbar
(Khaslat no. 2):- Raat mey sootey Waqt :
33 Martaba - Sub-HaanALLAH
33 Martaba - Al HamduLILLAAH
34 Martaba - ALLAHU Akbar
Mafhum e Hadees baHawaalaa Fazail e Zik’r
Baab (chapter) - 3, Fasi (section) - 2,
Ravee Hazrat AbduLLAH ibne Umar razi
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
----------------------;-/-----------------/---------;----------;
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-----------------------------/---------------------/--------------

Post a Comment

 
Top