0
Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-832
~ Fazail e Surah Yunus عليه سلام, ~
ALLAH ne 6 Dino mein Aasmaano-Zameen ko
Paidaah kiya tha !!
Mafhumee Tarjama e Surah (No.10) Hazrat Yunus عليه سلام, ,
Aayaat No. 03 (10:03)
-----------;;;------------;;;;---------------;;;;;-------------
6 Din ka Anmool Wazeefa
Lagaataar 6 Din tak koi bhi Waqt Awwal-Aakhir 3+3 Martaba Duruud Shareef ke Saath Mukammal
Surah Yunus عليه سلام Ek martaba Padhkar Apney Rukey hue kaamo ke liye DuAa kijiye...
in sha ALLAH DuAa Zarur Qubuul hongee...
Note :
ye Wazeefa Naa Hadees mein hai Naa Ulmaa ne Likha hai...Ek Aameel Sahib ka bataya hua hai...
--------------------/--------;--------------/---;;;;;;;--;;------
Pehle aur dusrey Kalmey ke Fazail
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم, ka Farmaan :
Jo Shakhs bhi is haal mey Marey ke :
Laa-ilaa-ha illalLAAH
Muhammadur RasuluLLAH
ki pakkey Dil se Shahaadat (witness) deta ho toa Zarur Jannat mey Daakhil honga aur Zarur uuski ALLAH Maghfirat Farmaayenge...
-------------------/---------------/---------------------
Kalmaa e Shahaadat padh Lijiye...
Ash-ha-du-alla ilaaha illal LAAH wa Ash-ha-du-anna Muhammadar RasuuluLLAH
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
----------------------/-------------------/------------------
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-----------------------------/----------_-------/--------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-148
Huquq ul Ibaad/Human Rights -136
GheebatKhooree ka Gunaah SudKhooree aur Haqeeqee Maa
se Zina karney ke Gunaah se bhee Ziyaadaah Buraa hai...
GheebatKhooro ko Pool Siraat se Rook Diya jaayenga....
kal Aaj Ka sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Bataya tha ke Jis Majlis mein Gheebat shuru ho jaaye waha pehle Baat ka Rukh badlee karney kee kosheesh karnee chaheeye...agar Baat ka Rukh badlee karney mein kaamyaabee Naa miley toa wo Majlis se Nikal jana chahiye...
Ab Aage Padhiye...
Hadees ke Mafhum ke Mutabiq GheebatKhooro ne Dunya mein Badey Achchhey Aamaal kiye honge lekin uunko Pool Siraat se Rook diya jaayenga aur kaha jaayenga ke Jab tak Tum es Gheebat ka Kaffaara ada Naa kar donge...(yanee jinki Gheebat kee hongee uunkee muAafee maangnee padengee aur muAafee naa milne tak Jannat mein jaaney se Rook diye jaayenge)
Hadees ke Mafhum ke Mutabiq Sud (Interest/Biyaaj/Vyaaj) Khaaaney ka Gunaah Haqeeqee Maa se Zina karney se Ziyaadaah hai, Dusri Ek Hadees ke Mafhum ke Mutabiq Sabse Badtareen Sud ye hai ke koi Shakhs Apney Musalmaan Bhai (ya koi bhi Insaan) ki Aabru par (Gheebat ya aur koi tareeqeh se) Hamla karey !! (yaanee GheebatKhooree ka Gunaah SudKhooree aur Haqeeqee Maa se Zina karney se bhee Buraa hai)
~ Mafhum e Hadees, AbuDawuud Shareef, Kitaab ul Adab, Baab ul Fee Gheebatee, Hadees No. 4867
• Point...Nukta...•
Hadees ke Mafhum ke Mutabiq Do Rozdaar Khawaateen (ladies) ne Rozeh ki Haalat mein Gheebat kee thee...jab RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Dono ko ek piyaale mein Kae (uultee/vomit) karne kaha toa Kae mein Ghosht ke Tukdey aur Khoon Nikla tha...
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Farmaya : Rozeh mein Tum ne Halaal Khaana toa Nahee Khaaya lekin (Gheebat karke Murdey ka) Haraam (Ghost) Khaaney se Nahee Bach Sakey...!!
---------------------------------/------------------/-------;--

Post a Comment

 
Top