0
Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-831
Pehle aur dusrey Kalmey ke Fazail
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم, ka Farmaan :
Jo Shakhs bhi is haal mey Marey ke :
Laa-ilaa-ha illalLAAH
Muhammadur RasuluLLAH
ki pakkey Dil se Shahaadat (witness) deta ho toa Zarur Jannat mey Daakhil honga aur Zarur uuski ALLAH Maghfirat Farmaayenge...
------------------------/---------------/--------------------
Kalmaa e Shahaadat padh Lijiye...
Ash-ha-du-alla ilaaha illal LAAH wa Ash-ha-du-anna Muhammadar RasuuluLLAH
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
----------------------------------/----------------/--------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-147
Huquq ul Ibaad/Human Rights -135
GheebatKhooro ko Naakhoono se
Apney Chehrey Noochtey Dekhna.
..
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
وَلَا تَجَسَّسُوا وَلَا يَغْتَب بَّعْضُكُم
بَعْضًا أَيُحِبُّ أَحَدُكُمْ أَن يَأْكُلَ لَحْمَ أَخِيهِ مَيْتًا فَكَرِهْتُمُوهُ وَاتَّقُوا اللَّهَ إِنَّ اللَّهَ تَوَّابٌ رَّحِيمٌ
Surah (No.49) Hujuraat, Aayaat No.12 (49:12 part)
Mafhumi Tarjama :
...aur Mat Tatoolo kisaka Raaz (mat Jaasusee karo) aur Mat Bura kaho Peth Pichhey Ek Dusro ko (Gheebat mat karo) , Kya Achchha lagta hai Tum mein se kisi ko ye ke Khaaye wo Ghosht Apney Murda Bhai ka?? ye (Murda ka Ghosht khana) toa Tumhe NaaGawaar hai...aur Daro ALLAH se beshak ALLAH muAaf karney wala Raheem (maherbaan) hai...
Mafhum e Hadees :
Shab e MeaRaaj mein RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم, ne Dekha ke kuchh log Gheebat aur aabruRehzee ke Gunaah kee Sazaa mein Apney hee Naakhoono se Apney hee Cherey Nooch rahey thea.
..
• Point...Nukta...•
Jis Majlis mein Gheebat shuru ho jaaye waha pehle Baat ka Rukh badlee karney kee kosheesh karnee chaheeye...agar Baat ka Rukh badlee karney mein kaamyaabee Naa miley toa wo HaraamKhoor cum AadamKhoor logon ko yaanee Ahl e Gheebat ko Bohtaanee Masaley mein bhunaa hua Murdey ka Ghosht khaney mein MashGhool Chhod kar Majlis se Ruksat ho jana chahiye...
--------------------------------/---------------/----------------

Post a Comment

 
Top