Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-830
Aayaat e Kareema
Har Musibat se Nijaat ka
Anmool Nuskhaah
Har Musibat se Nijaat ka
Anmool Nuskhaah
Awwal-Aakhir 1/ziyaada baar Duruud ke Saath
ye Aayaat e Karima Padhkar DuAa karo :
ye Aayaat e Karima Padhkar DuAa karo :
Laa ilaa ha illa Anta Subhaa-naka
inni Kuntu Minaz-Zaalimeen
inni Kuntu Minaz-Zaalimeen
Surah (No.21) Ambiya Aayaat No.87 (21:87)
Mafhumi Tarjama :
Nahee hai koi mAabud ALLAH (ke siwaa aur) Tu ALLAH Paak hai (aur) mai Zulm karney walon mein se hu.
Nahee hai koi mAabud ALLAH (ke siwaa aur) Tu ALLAH Paak hai (aur) mai Zulm karney walon mein se hu.
Flash Back :
ye Wazeefa Aaj ka Sabaq No. 354 mein bhi bataya tha.
ye Wazeefa Aaj ka Sabaq No. 354 mein bhi bataya tha.
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
--------------------/------------------/--------------------
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.

------------------------------/----------------/--------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-146
Huquq ul Ibaad/Human Rights -134
GheebatKhooree kee Nahusat
HaraamKhooree aur AadamKhooree se bhi Ziyaadaah hai...
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
وَلَا تَجَسَّسُوا وَلَا يَغْتَب بَّعْضُكُم
بَعْضًا أَيُحِبُّ أَحَدُكُمْ أَن يَأْكُلَ لَحْمَ أَخِيهِ مَيْتًا فَكَرِهْتُمُوهُ وَاتَّقُوا اللَّهَ إِنَّ اللَّهَ تَوَّابٌ رَّحِيمٌ

Surah (No.49) Hujuraat, Aayaat No.12 (49:12 part)
Mafhumi Tarjama :
...aur Mat Tatoolo kisaka Raaz (mat Jaasusee karo) aur Mat Bura kaho Peth Pichhey Ek Dusro ko (Gheebat mat karo) , Kya Achchha lagta hai Tum mein se kisi ko ye ke Khaaye wo Ghosht Apney Murda Bhai ka?? ye (Murda ka Ghosht khana) toa Tumhe NaaGawaar hai...aur Daro ALLAH se beshak ALLAH muAaf karney wala Raheem (maherbaan) hai...
Mafhum e Hadees :
Ek Sahabi ne Puchha : Gheebat Kya hai ??
RasulALLAH ne Jawaab diya :
Kisi ke Peth Pichhey Aisey Andaaz mein Zikr karna ke jab uusko Pata chale ke Mera es Tarah Zikr kiya gaya hai toa uusko NaaGawaar Guzrey......
RasulALLAH ne Jawaab diya :
Kisi ke Peth Pichhey Aisey Andaaz mein Zikr karna ke jab uusko Pata chale ke Mera es Tarah Zikr kiya gaya hai toa uusko NaaGawaar Guzrey......
Es Jawaab par Ek Sahabi ne Puchha :
Kisi mein koi Buraae ho aur koi Insaan wo Sachchee Baat Kisi ke Peth Pichhey karey toa wo bhi Gheebat hai ??
Kisi mein koi Buraae ho aur koi Insaan wo Sachchee Baat Kisi ke Peth Pichhey karey toa wo bhi Gheebat hai ??
RasulALLAH ne Jawaab diya :
Agar wo Buraae uuske Andar Mavjud hai Tabhi toa wo Gheebat hai aur agar wo Buraae uuske Andar Mavjud Nahin hai aur Tum uuski Taraf jhuth Mansukh kar rahe ho esliye esmein Bohtaan ka Gunaah bhi Shameel hai...

Kisi Insaan kee Peth Peechey 1 % bhee Jhuth Milaaye bagair uuskee Buree Baat Logon mein Zaahir karney ko Gheebat kaha jata hai, Agar Baat mein 1 % bhee Jhuth Milaaya Jaayega toa Ab ye Gheebat + Bohtaan ho jaayenga...

Socha Kabhee ??
Haraam Rozee ya Suwwar ka Ghosht Khaaney waley HaraamKhoor Insaan ke Naam e Aamaal mein Dusrey Insaan ke Gunaah Transfer Nahee hote hai aur Naahee uuskee Nekiya kisi Dusrey Insaan ke Naam e aamaal mein Transfer hotee hai lekin GheebatKhoor Insaan toa HaraamKhoor-AadamKhoor se bhee Ziyaadaah Nuqsaan mein hai kyuke uuskee Nekiya Dusrey ke Naam e aamaal mein Transfer hotee hai saath saath Dusrey ke Gunaah bhee uuske Naam e aamaal mein Transfer hotey hai...
• Point...Nukta...•
Jis Tarah Bank mein AFT (Automatic Fund Transfer) hota hai es tarah Gunaah aur Nekiya bhi Ek Dusrey ke Naam e Aamaal mein Auto-Transfer hotey Rahtee hai...
ALLAH ke waastey GheebatKhooree se Bachoo...GheebatKhooree HaraamKhooree-AadamKhooree se bhi Buree hai...
----------------------------/-------------------/---------------
Post a Comment