Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-828
Anmool Zik'r
* Sub-haanALLAHi wa-bi-Hamdihi Ada-da Khalqihi,
wa Rida Nafsihi, wa zeenata Arshihi, wa Mida-da Kalimaatihi.
wa Rida Nafsihi, wa zeenata Arshihi, wa Mida-da Kalimaatihi.
Fazilat : ALLAH khush hota hai...
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
--------------------------/--------------------/----------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-144
Huquq ul Ibaad/Human Rights -132
Ahl e Imaan ko Subaaey, Khaandaanee aur Lisaanee AsbeeAt ki Buneeyaad par Taqseem karney ki Saajish
وَاعْتَصِمُوا بِحَبْلِ اللَّـهِ جَمِيعًا وَلَا تَفَرَّقُو
Mafhumi Tarjama :
Mazboot Pakadey Rahoo ALLAH ki Rassee (Deen e Islaam) ko Sab milkar, Ek Dusrey se Juuda Naa hona...
kal bhi Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne ye Bataayaa tha ke Hajjat ul Weedaa ke Khutbe mein RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne ye Ailaan kiye the ke Kisi Ara'bee (Arab) ko kisi Aj'mee (gairArab/nonArab) par koi Fazilat Nahee, Kisi Sufed (insaan) ko kisi Kaaley (insaan) par koi Fazilat Nahee, Sirf Muttaqee ko hi gairMuttaqee par Fazilat hai...
• Point...Nukta...•
ALLAH ne Tamaam Insaano ko Ashraf ul Makhluuqaat (A'la Makhluuq/Superior Species) ka Laqab (Title) se Nawaaza hai, kisi Khaas Qaum, Biraadaari, Khaandaan, Zubaan, Mulk ke hi Insaano ko ye Laqab Nahee diyaa...
--------------------------------/-----------------/-----------
Post a Comment