0
****Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-854***
Ayyaam e Beez ke Teen Sunnat Rozeh
Har Islaamee Maheeney kee 13-14-15 Taareekh ko Rozah Rakhna Sunnat hai, esey Ayyaam e Beez kaha jata hai !!
Abu Daawuud Shareef ki Ek Hadees ke Mutabiq (Islaamee) Maheeney ke inn 3 (Ayyaam e Beez) Dino ke Rozey Rakhna Ajr o Sawaab ke lihaaz se Hamesha Rozah Rakhney ke Barabur hai !!
Ek Saal ke Rozeh ka Sawaab !!!
Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Mavlaanaa Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ki Kitaab Beheshti Zevar Safha Number 137 ke mutabiq Ayyaam e Beez ke Teen Rozo ka Sawaab Ek Saal ke Rozeh ke Barabur hai !!
----------------/---------------------/---------------------
Tisrey Kalmey ki Fazilat
Sub-haa-naLLAHi, wal Hamdu lilLAAHi, wa Laa ilaaha il-lal Laahu, WaLLAHU Akbar, Wa Laa Hawla Wa Laa Quwwata illa BilLLAHil Alyyil Azeem.
* Ek Martaba bhee Padhney par Saarey Gunaaho ko ALLAH MuAaf kar denga*TnC
• Har Jumle ke badle Uhud pahaad ke Barabur Nekiyaa.
• Jannat mey Darakth lagaya jaayenga.
• (ALLAH ke yahan) Aasmano mey Tazkirah honga.
• ALLAH ka saath
• Bande ka ye Kalimaat Kahna har uus cheez se Ziyaada Mahboob (pasand/piyaara) hai jispar Suraj Tulu (sunrise) hota hai (yaani puri Dunya) kyuke uuska (tisre kalme ka) Aj'ar aur Sawaab Baaqi rahenga aur Dunya apne Tamaam Saaz aur Saamaan Samet khatam ho jaayengi…!!
• Jo Shakhs DiL se is kalme ko kehta hai toa ALLAH kehta hai : “Mera Banda Mera Farmabaddar ho gaya aur apney aap ko merey hawaale kar diya”
• ye Kalimaat (words) Qayaamat ke Din apney padhney waaley ke liye Aage - Pichhey - Daaye - Baaye se aayenge aur uusko Najaat dilaaney waale honge !!
Aur yehi wo Nek Aa’maal hai jinka Sawaab hamesha milta rahta hai…!!
Note :- Tamaam Fazilatey Aaj Ka Sabaq No. MYP-AKS- 149, 175, 184, 531, 646, 637,705,770, 791 aur 843 ke Mubabiq hai...



Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-----------------------------------/-_----------/-------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-170
Huquq ul Ibaad/Human Rights -158
MuAaf karney wale ke
Dono Haath mein Laddu hai aur Badlaa leney wala Nuqsaan mein hai !!
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
وَلَمَن صَبَرَ وَغَفَرَ إِنَّ ذَٰلِكَ لَمِنْ عَزْمِ الْأُمُورِ
Mafhumee Tarjama :
aur Jisney (zulm,takleef/nuqsaan par) Sabr kiya aur (takleef pahochaaney wale aur zulm/nuqsaan karneywale ko) MuAaf kar diya toa ye Kaam Himmat ke Kaamo mein se hai !!
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
دْفَعْ بِالَّتِي هِيَ أَحْسَنُ فَإِذَا الَّذِي بَيْنَكَ وَبَيْنَهُ عَدَاوَةٌ كَأَنَّهُ وَلِيٌّ حَمِيمٌ
وَمَا يُلَقَّاهَا إِلَّا الَّذِينَ صَبَرُوا وَمَا يُلَقَّاهَا إِلَّا ذُو حَظٍّ عَظِيمٍ
Mafhumee Tarjama :
Aap Badee ko Mitaaeeye Neki ke Zariye, Pas Aapke aur Dusrey Shakhs ke Darmiyaan Adaawatey Khatm hokar (Gahree) Dostee (Qaayam) hongee aur ye Amal (ki Tavfeeq) uunhee ko milti hai jo Sabr karney waley hotey hai aur ye sAadat Naseebwalon ko (hee) milti hai !!
Socha Kabhee ??
Kiseeney Kisee ka 1000/- Rupye ka Nuqsaan kar diya, Nuqsaan uuthaaney wala 2-4 Jagah Gheebat karta hai, 2-4 Jagah 1000/- Rupye se Ziyaadaah batakar Bohtaan bhee lagata hai aur Aakheer mein Nuqsaan Pahoochaney wale ko 1000/- Rupye se Ziyaadaah Nuqsaan Pahochaakar Khud Zaaleemon ki JamaAt mein bhee Shaameel ho jata hai....
Sabse se Badee afsoos kee ye Baat hai ke Gheebat Sunney aur Bohtaan ko Sach maanney wale es Baat ko Bilaa Tehqeeh ya Tehqeeq karke Aage badhakar Apnee Nekiya gawatey hai aur Dusrey ke Gunaah ka Booj Apney sar par Laad letey hai...
Point....Nukta....
Badla leney se Sirf Seeney kee Aag Thandee hotee hai aur MuAaf karney se Dozakh kee aag Thandee hotee hai !!
----------------------/------------/--------------
RaDd e MudDaaee:
Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer :
Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
--------------------/-----------------------/------------------

Post a Comment

 
Top