0
****Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-852*****
**Gunaah MuAafee ka Nuskhaah - 352**
kul 852 aSbaaq mein Gunaah MuAafee ke 352 Nuskhey deney par Hazrat Mavlana Yunus Sahib db ko Hum sachchey DiL se MubarakBaadi de rahey hai...
Pichhley Gunaah MuAaf karaney ka Nuskha
Hazrat Zaid ibn e Khalid Johnee razi ki Riwaayat,
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Farmaan :
Jo Shakhs Acchhee Tarah Wuzu karta hai, phir Do Rakaat
(sunnat/naf’l) is tarah Padhta hai ke jismey kuch Bhuulta Nahin [yaani ALLAH ki taraf pura Mutawwajeh (complete concentration) hota hai toa uuske pichhley saarey Gunaah ALLAH MuAaf Farmaa deta hai…
(mafhum e Hadees baaHawaala AbuDawuud Shareef)
# Jis tarah hum Gaadi chalana, Roti/Khaana pakaana, silaai karna wagairaah Dunyaaawi har kaam Dhyaan se kartey hai is tarah Wuzu aur Namaaz bhi Acchhe Tarah aisey Dhyaan se padhey ke ALLAH ko ye Namaaz pasand aa jaaye…
Flash Back : ye Hadees Aaj ka Sabaq No. 182_MYP mein bhi AbuDaawuud Shareef ke Hawale se hee batayee gayee thee magar 182 aur 852 kee Audios mein Alfaaz alag alag hai, agar aap ye Hadees kahee Bayaan karna chahte hai toa Hadees ka Lafzee Tarjama bhee mAalum kijiye.
-----------------------;-----------;---------------;---------------
Anmool DuAa
(ye Anmool DuAa Aaj ka Sabaq No.40 mein bhi batayee gayee hai)
Ibn e Maajah aur Musnad e Ahmad ki dono aHaadees ke mafhum ke mutabiq is Anmool DuAa ka Sawaab likhna Farishto ke liye Mumkin Nahin isliye ALLAH khud hi apnee marzi se iska Bahoot Ziyaadaah Sawaab denge.
Awwal-Aakhir 1+1/ziyaadaah Martaba Duruud ke Saath
Kamazkam 1 ya ziyaadaah Martaba padhiye:
Yaa Rabb...Lakal Hamdu Kamaa Yam Bagi Li Jalaali
Wajhi Ka Wa Azeemi Sultaa-nika .
Flash Back : ye Anmool DuAa Aaj ka Sabaq No.40_MYP aur Aaj ka Sabaq No.766_MYP mein bhi batayee gayee hai)
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
----------------;------------;--------;----------------;;---------
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-----------------:---------:------:------------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-168
Huquq ul Ibaad/Human Rights -156
Badlaa Naa lena Aqalmandee hai !!
Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Bataya tha ke Sayyadna Hazrat Shah Ismail Shaheed rh Shaahee Khaandaan ke Shehzaadey aur Chootee ke ALLAHwaaley thea jinkey BeHisaab Mureed thea...Ek martaba Delhi kee Jaamaa Masjid mein bharey Majmey mein Khitaab kar rahe thea tabhee Ek Shakhs ne Khade hokar Aap ko Haraamee kaha !! Sochoo...es jagah hum hotey toa Mureedo ko Ishaara karke uus Shakhs ki Tikka-Boti karwa detey lekin yaha aisa kuchh bhee Nahee hua...Sayyadna Hazrat Shah Ismail Shaheed rh ne bahoot hee Narmee se jawaab diya ke : Aap ko Ghalat Itteela mili hai... Merey MaaBaap ke Nikaah ke Gawaah toa Aaj bhee Delhi mein Mavjud hai ...!!
Ab Aage Padhiye...
Ek Shakhs ne 3 ALLAHwalon ko Mukkaa mara....
Pehley ALLAHwale ne Naa Mukka Maarney wale ko Dekha Naa Badla liya...
Badla Naa leney kee Wajeh ye Bataaee kee Badla leney se kuchh Haasil naheen honga, bekaar waqt barbaad honga...uutna waqt ZikroTasbih ya dusrey Khair ke Kaamo mein lagaya jaa sakta hai !!
Saahib e Bayaan ul Quraan, Hakim ul Uummat, Mujaddeed e Millat, Hazrat Mavlaanaa Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ke Qaul ke mutabiq kisee ko BaadShaah ne Inaam leney jald bulaya ho, Waqt kam ho, Raaste mein koi Shakhs agar Mukka maar de toa Kya uussey Badla leney mein Waqt Barbaad karna munaseeb hai ya Inaam ko Target banakar BaadShaah ke paas jana zaruri hai ??
Aksar Badlaa leney kee Buneeyaad Rizaa e Nafs hotee hai...Kuchh ALLAH wale Bhalaae ki Niyyat se Badlaa letey hai !!
Kaisey ??
Kal Aaj ka Sabaq No. 16/Huquq ul Ibaad/Human Rights - 157 mein zarur suneeye !!
Point....Nukta....
ALLAHwaaley Haasil Factor par chalney wale hotey hai yaanee har kaam karney se Pehle ye Sochna ke essey Kya Haasil honga?? Aksar Badla leney mein Paisa aur Waqt Barbaad hota hai aur Kabhee kabhee toa Gunaah bhee ho jaata hai...
---------------------------;-------------------;------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
--------;-------------;-------------;---------------;----------------

Post a Comment

 
Top