Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-850
Fazail e Miswaak - 6
Farishto ka Mahbuub banney ka Nuskhaah...
Hazrat Ali razi se Riwaayat hai ke
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ney Irshaad Farmaaya :
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ney Irshaad Farmaaya :
Jab Banda MISWAAK karke Namaaz ke liye khada hota hai toa Farishtaa uuskey pichhey khada ho jaata hai aur uuski TILAAWAT khub Dhyaan se Sunta hai, phir uuskey Bahoot Qareeb aa jaata hai yaaha tak ke uuske Muh par apna Muh rakh Deta hai aur Qur’an e Kareem ka jo bhi Lafz uus Namaaazi ke Muh se Nikalta hai sidha Farishtey ke pet mey pahochta hai aur is tarah ye Farishtoo ka Mehboob ban jaata hai isliye Tum apne muh, Qur’an e Kareem ki Tilaawat ke liye Saaf suthrey rakhoo yaani Miswaak ka Ehtemaam Karo...!!
(BaHawaala Bazzaz / Mazmul Zawaid)
Flash Back : ye Hadees Aaj ka Sabaq No. 103_MYP mein bhi batayee gayee thee...
------------------------/------------------/-------------------
~ Maghfirat - Gunaah MuAafi ka Nabewee Nuskha ~
Hazrat AbduLLAH ibne Umar razi ki Riwaayat,
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Farmaan :
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Farmaan :
Zameen par jo shakhs bhi...
Laa-ilaa-ha-illal-LAAH, walLAAHU Akbar,
wa la Hawla wa la Quwwata illa BiLLAH.
wa la Hawla wa la Quwwata illa BiLLAH.
padhta hai toa uuskey Tamaam Gunaah MuAaf ho jaate hai Khaa (agar/if) wo (Gunaah) Samandar ke Jhaag ke Barabur bhi kyu Naa ho !!
(baHawaala Tirmizi Shareef)
# Ye padhne ke liye Paak hona, Qibla Rukh ya BaaWuzu hona Zaruri Nahin !!
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
----------------///------------////----------------///---------
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.

---------------------------/--------------------/---------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-166
Huquq ul Ibaad/Human Rights -154
Hazrat Muusaa a.s. ko FirAun ke saath
Narmee se Baat karney ka Hukm ALLAH ne diya tha !!
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
فَقُولَا لَهُ قَوْلًا
Mafhumee Tarjama :..
so Kaho uus (FirAon) se Baat Narm (andaaz mein)..
Narmee se Baat karney ka Hukm ALLAH ne diya tha !!
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
فَقُولَا لَهُ قَوْلًا
Mafhumee Tarjama :..
so Kaho uus (FirAon) se Baat Narm (andaaz mein)..
Es Aayaat ki Tafseel mein Shaikh ul Islaam Hazrat Mufti Taqee Usmaani Sahib db ke Waalid Muhataram aur Sahib e mAareeful QurAan Hazrat Mufti Shafee sahib Deobandi rh ne likha hai ke Tum Hazrat Muusaa a.s. se Badey Daaee-Musleh naheen ho aur Tum jis Gair Imaanee ko ImaanoDeen kee Daawat dena chahtey ho ya jis Imaanee kee Islaah karna chahtey ho wo FirAon se Bada GunaahGaar nahee ho sakta phir jab ALLAH ne Hazrat Muusaa a.s. ko bhee FirAon ke saath Narmee se Kalaam karney ka Hukm diya tha toa Tumhe Kya Haq Pahoochta hai ke Tum logon ke saath Sakhtee se Baat karo...
Point....Nukta....
Surah Aaraaf Aayaat No.66 se Saabit hai ke Hazrat Hud a.s. ne Qaum ke Tanz ka Jawaab Narmee se diya tha...
--------------------------------/---------------/--------------
RaDd e MudDaaee:
RaDd e MudDaaee:
Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..

-----------------------/--------------/--------------------------
Post a Comment