0
Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-848
Marhumo ke liye
Isaal e Sawaab kijiye...
Hadees ke Mafhum ke Mutabiq Marhumo ko Isaal e Sawaab
pahochana chahiye...
*Surah Ikhlaas*
BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
Qul huwALLAHu Ahad.
ALLAHus Samad. Lam Yalid walamYulad. Walam Yakullahu Kufuwan Ahad.
Fazilatey :
• Raat mey apney Bistar par sooney ke liye aaye, Daahni (right) karwat par soye aur phir Surah Ekhlaas 100 Martaba padh le, Phir Hashr ke Maidaan mey ALLAH tAala khud Kahenga ke “aye merey Bande (bandi) ye Dahni Taraf teri Jannat hai, Daakhil ho Jaa...
(baaHawaala Tirmizi Shareef)
•10 Martaba Surah Ekhlaas padh lijiye aur Jannat mey Ek Mahal Book karwa Lijiye...
(baaHawaala Musnad e Ahmad Shareef)
•3 Martaba Surah Ekhlaas padhkar Tamaam Marhumo ko iska Sawaab Aaj/Abhi pahochaane ki Darkhwaast hai.
•3 Martaba Surah Ekhlaas padhene ka Sawaab purey QurAan shareef padhne ke barabur hai...
--------------------------/---------------/---------------------
Apney MaaBaap ke liye Surah (Number 14) ki AayaatNo. 41 (14:41) ke zariye DuAa kiyaa kijiye :
Rabbanagfirlee wali Waali Dayya walil Mu’meenena Yawma Yaqqu-mul Hisaab.
Tarjama:
aye Humaare (piyaare) Rabb, Humaare (Gunaaho ko) aur Humaare MaaBaap (ke Gunaaho ko) aur (Tamaam) Ahl e Imaan (ke Gunaaho ko) MuAaf karna uus (qayaamat ke ) Din Jab (aamaalo ka) Hisaab (scrutiny) honga.
Ye DuAa padhney se MaaBaap ke liye DuAa e maghfirat ke saath saath Tamaam Ahl e Imaan ke liye bhi DuAa e maghfirat ho jaati hai aur Nek logon mein humara shumaar bhi ho jaata hai jaisey kisi ne ek buzurg se Do sawaalaat kiye ke :
1) Mai Nek hu ya Nahin ye kaisey MaAlum honga ??
2) Nek Banne ka Nuskhaah kiya hai ??
Buzurg ke Jawaabaat :
1) agar Tum hamesha apney MaaBaap ke liye DuAa karte ho toa Tum Nek ho kyuke Nek Avlaad hi apney MaaBaap ke liye DuAa karti hai !!
2) Nek Banne ka Nuskhaah ye hai ke hamesha
Apney Hayaat ya Marhum MaaBaap ke liye DuAa kiyaa karo kyuke RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ke Qaul ke Mutabiq Nek Avlaad (hi) apney MaaBaap ke liye DuAa karti hai !!
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
----------------------------------/------------/----------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-164
Huquq ul Ibaad/Human Rights -152
Insaan ka DiL ALLAH ka Arsh hai,
Esliye kisee ka DiL Naa Toodo !!
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
وَلَا تَلْمِزُوا أَنفُسَكُمْ وَلَا تَنَابَزُوا بِالْأَلْقَابِ
Mafhumee Tarjama :..
.aur Ek Dusron ko Taana Naa diya karo aur Ek Dusron ko Burey Laqaboo* (Burey Title/Burey Naamo) se (bhee) Naa Pukaara karo..
.
* Lambbu-Teengguu-Kaana-Chashmism,Takla, Tapoori...
Baaz Sufeeo ne Insaan ke DiL ko Arsh e ilaahee bataya hai...Chaahe Insaan kitna hee Buraa ho jaaye, agar uusmein imaan hai toa kabhee Naa kabhee uuskey andar ALLAH kee Mahabbat zarur Paidaah hongee...Ek Muameen ke DiL ko Toodna Haqeeqat mein ALLAH ke Arsh par Hamla karna hai aur Jaiz baat par agar kisee ne kisee ke DiL ko Khush kar diya toa goya uusne ALLAH ko Khush kar diya hai...
Hazrat Mavlana JalaaludDeen Rumee rh ka Qaul hai :
DiL Badast Awar ki Hajj e Akber ast,
Az Hazaran Ka’abah yak DiL Behtar ast...
kisee ke DiL ko Thaamna Hajj e Akbar (badi hajj) ka Sawaab rakhta hai aur Taana Dekar ya koi bhee Tareeqeh se kisee ka DiL Toodna ye Gunaah e Kabeera hai.
Sochaa Kabhee ??
Suwwar ka Ghost Haraam hai esliye koi Suwwar ka Naam bhee le toa Humey Takleef hoti hai...Tanz-Taanaa dena bhee Haraam hai toa kisee ko Tanz-Taanaa detey waqt humey Takleef Kyu Nahin hotee??
----------------------------/-------------------/-------------
RaDd e MudDaaee:
Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
--------------------------/----//////--------------/------;/////--

Post a Comment

 
Top