0
Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-846
Nabwee Marathon
Mafhum e Hadees :
Sayyidah Maa Aaisha Siddeeqaah razee. aur RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Daud mein Do Martaba Muqaablaa hua tha,
Ek Martaba RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم Pehle Aage Nikal gaye thea aur Ek Martaba Sayyidah Maa Aaisha Siddeeqaah razee. Aage Nikal gaye thea !!
(Sunan Abu Daawuud Shareef/Raavee : Hazrat Sayyeedaah Maa Aaisha Siddeeqaah razee.)
es Hadees se humey ye Sabaq milta hai ke Biwee ke saath jaiz Hasee-Mazaaq karna, Daud lagana ya koi bhee jaiz Khel Khelney mein saath dena chaaheeye, Biwee-Bachchoo ke saath EkDum Ring-Master Brand Khadoos Mat Banoo
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.


---------------------------/---------------/----------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKSS-002
Ek Saal ke Rozeh ka Sawaab !!!
Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ki Kitaab Beheshti Zevar Safha Number 137 ke mutabiq ye Teen Rozho ka Sawaab Ek Saal ke Rozeh ke Barabur hai !!
Har Peer (Monday) aur Har JumAaRaat (Thusday) ko bhi Rozah Rakhna Sunnat hai aur
Ayyaam e Beez ke Teen Sunnat Rozeh India ke Kuchh Suuboo/States mein
13-14-15 JumAadisSaanee
23-24-25 March 2016
Budh-JumAaRaat-JumAa
Wednesday-Thusday-Friday
ko hai aur India ke Kuchh Suuboo/States mein
13-14-15 JumAadisSaanee
24-25-26 March 2016
JumAaRaat-JumAa-Saneechar
Thusday-Friday-Saturday
ko hai yaani Es Mahine mein Ayyam e Beez ke Teen Rozho mein JumAaRaat (Thusday) ka Rozah bhi Shameel hai yaani Double Bonanza !!
-----------
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ
~ Surah (No.02) Baqraah, Aayat No. 183 (02:183)
Mafhumi Tarjama : ..
.aye Imaan walon Tum par Rozeh Farz kiye gaye jaisey ke Tum se pehle logon par Rozeh Farz kiye gaye thai, Taake Tum Taqwaa (muttaqee yaani taqwe wale ban jaao) haasil kar lo...
Taqwaa = ALLAH ka Durr-Har Gunaah se Bachna
Note :-
ye Mafhumi (gisty) Tarjama hai, Lafzi-Word by Word Tarjame ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan ya Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan ka mutaala kijiye.
-------------------------------/--------------/---------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-162
Huquq ul Ibaad/Human Rights -150
Aafaat e Lisaanee yaanee
Zubaan ke Zariye Aafaat Aana !!
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
وَلَا تَلْمِزُوا أَنفُسَكُمْ وَلَا تَنَابَزُوا بِالْأَلْقَابِ
Mafhumee Tarjama :
...aur Ek Dusron ko Taana Naa diya karo aur Ek Dusron ko Burey Laqaboo* (Burey Title/Burey Naamo) se (bhee) Naa Pukaara karo...
* Lambbu-Teengguu-Kaana-Chashmism,Takla, Tapoori...
• Point...Nukta...•
Sufism ke Mutabiq Zubaan ke Zariye Aane wali Aafaat (Musibat) ko Aafaat e Lisaanee kaha jata hai...Bahoot saaree Musibat aisee hoti hai jiska Zimmedaar Insaan khud nahee hota Maazoor Avlaad ka Paidaah hona wagairaah...Zubaan se Aaney wali Aafat ka Zimmedaar Insaan khud hota hai...
----------------------------------/--------------/--------------
RaDd e MudDaaee:
Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
-----------------------/-----------------/-------------------------

Post a Comment

 
Top