Shaan e HabiburRahmaan صلی اللہ علیہ وسلم
Mafhum e Hadees :
Hazrat Sayyeedaah Maa Safeeyaah razee. ko Uunt (camel) par Sawaar karaney kee Garz se RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم khud Uut ke Qareeb Baith gaye aur Ghutna Mubaarak aisa rakha ke Hazrat Maa Sayyeedaah Safeeyaah razee. uuspar pair rakhkar Aasaanee se Uut par sawaar ho sakey...!!
(Bukhaari Shareef/Raavee : Hazrat Maa Sayyeedaah Safeeyaah razee.)
--------------------/------------------/---------------------
Khud ko aur Avlaad (offsprings) ko Salaat (Namaaz) ka Paaband Banaaney ke liye Hazrat Ebraheem a.s ne Maangi hue QuraAn ki
~ Anmool DuAa ~
~ Anmool DuAa ~
Rabbij Alnee Muqeemas Salaati wa min Zurriyati Rabbana va Taqabbal DuAa.
Surah Ebraheem (No.14) Aayaat No. 40 (14:40)
Tarjama : Aye mere Rabb...!!, Mujhko Salaat (Namaaz) Qaayam (ad'a) karnewala Bana Aur meri Avlaad (offsprings) ko bhi (salaat/namaaz) Qaayam karnewala Bana) aur Aye Mere Rabb...!! Qubuul kar meri DuAa ko..
Flash Back : ye Aqs e Barqee (electronic image) Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-511 , 738 aur 781 ki Audio ke mutabiq tayyar ki gayee hai.
Note: ye Aqs e Barqee (electronic image) Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-511 , 738, 781 aur
845 ki Audio ke mutabiq tayyar ki gayee hai.
845 ki Audio ke mutabiq tayyar ki gayee hai.
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-----------------------------/--------------/----------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-161
Huquq ul Ibaad/Human Rights -149
Kisee ke Raaz ko Faash karney ka Amal Chuglee ke
Gunaah mein Daakhil hai aur Haraam hai !!
Gunaah mein Daakhil hai aur Haraam hai !!
Aaj Ka sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Bataya tha ke Musnad e Ahmad Shareef-5/49 kee Mafhum e Hadees ke mutaabiq RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Guzar Do Qabron ke paas se hua, RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Farmaya Dono Saahib e Qabr par Aazaab ho raha hai Ek ko (Dunya mein) Peshaab ke Qatron se Naheen Bachney par Aazaab e Qabr ho raha tha aur Dusrey Saahib e Qabr ko Chuglee kee wajeh se Azaab e Qabr ho raha tha...
Ab Aage Padhiye..
.
Hadees : Al Majaaleesu Bin Amaanaah
(AbuDaawuud Shareef-4869)
Mafhumee Tarjama :
Majaaleeso (meetings) mein jo Baat ki jaatee hai wo bhee Amaanat (secret) hai...!!
.
Hadees : Al Majaaleesu Bin Amaanaah
(AbuDaawuud Shareef-4869)
Mafhumee Tarjama :
Majaaleeso (meetings) mein jo Baat ki jaatee hai wo bhee Amaanat (secret) hai...!!
# Imaam Gizaali rh ka Qaul hai ke Dusro ke Raaz ko Faash karna bhee Chuglee ke Gunaah mein Daakhil hai !!
# koi ye Nahee chahta ke uuska Achchhaa ya Buraa Raaz dusra koi jaan jaaye aur kisee ko koi tareeqeh se uuska Achchhaa ya Buraa Raaz mAalum ho jaaye aur wo uusko Faash kar de toa ye Amal bhee Chuglee mein Shameel hai jaise koi Maaldaar ye Naheen chahta ke logon ko uuske paas kitna Maal hai eska pata chale lekin koi Insaan ko maalum ho jaaye aur wo logon mein batata phirey ke fula ke paas itna maal hai toa uuska ye amal bhee Chuglee mein shameel hai !!
• Point...Nukta...•
Chuglee/Raaz Sunney wala Chuglee karney wale/Raaz Faash karney wale par Andrunee Naraaz hee rahta hai kyuke uuskey DiL mein ye Baat Zarur Paidaah hotee hai ke Aaj ye Dusrey Murdey ka Ghosht Boohtaanee Masaalaa Maarkey Mujhe Kheela raha hai, Kal ye Zarur Meree Laash ka Ghosht Bohtaanee Masaalaa Maarkey Khud bhee Khaayenga aur Dusron ko bhee Kheelaayenga !!
----------------------------/-----------------/------------------
Post a Comment