0
Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-844
Sabse Achchaa Musalmaan Kaun ??
Mafhum e Hadees :
Wo Aadmee Tumme Ziyaadaah Achchhaa aur Bhalaa hai jo Aadmee Apnee Biwee ke Haq mein Achchhaa ho...aur Mai Apnee Biweeyon ke liye Bahoot Achchhaa hu...!!
(Tirmizee Shareef/Raavee : Hazrat Maa Sayyeedaah Aishaa Siddeeqaah razee.)
Nukta...Point....
Koi Bhee Nabee aur Rasul a.s. ne aur RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Logon ke saath kabhee bhee Fahash Kalamee Naheen kee aur Koi Bhee Koi Bhee Nabee aur Rasul a.s. kabhee bhee Apnee Biweeyon kee Pitaai Naheen kee hai....Ye Dono bhee Tamaam Ambiya a.s. kee Sunnatey hai jinpar mushkeel se 10% Musalmaan Amal kartey honge !!
-------------------/------------------------/-------------------
Aasmaan ke Darwaaze Khulwaane waale ye Jumle Haaji - GairHaaji (kam se kam) Ek baar Zarur padhe
~Anmool DuAa~
ALLAHu Akbaru Kabeera, Wal HamduLILLAHi Kaseera
wa SubhaanALLAHi Bukrataw wa Aseela.
Tarjama :
ALLAH Bada hai sabse Bada aur Taareef ALLAH ki hai bahut Ziyaada aur Hum Subah aur Shaam ALLAH ki paaki Bayaan karte hai...
Note :
Uuparwaale Jumley RasulALLAH sal ki Zubaan Mubarak se sabse Pehle Nikle thay !!
Fazilatey :
Ek Sahabi razi ne Jab uuparwale Jumley kahe toa
RasulALLAH sal ne Farmaaya :
Mujhe in Kalimaat se Taajjub hua ki Inke liye Aasmaan ke Darwaaze khole gaye...
(baHawaala - Hisnul Muslim - 60 / Momin ka Hathiyaar - Pg. 155-156)
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-----------------------------------/---------------/-------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-160
Huquq ul Ibaad/Human Rights -148
Chuglee karney wale ko Azaab e Qabr !!
Aaj Ka sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Bataya tha ke Gheebat se Ziyaadaah Bura Gunaah Chuglee hai jisko Ara'bee Zubaan mein Nameemaa kaha jata hai jiska saheeh Tarjama ye hai ke Gheebat karney wale kee Gheebat ke saath saath ye bhee Niyyat hoti hai ke Gheebat sunneywale ke zariye jiskee Gheebat kee hai uusko Nuqsaan bhee Pahooche...
Ab Aage Padhiye...
Mafhum e Hadees :
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Guzar Do Qabron ke paas se hua, RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Farmaya :
Dono Saahib e Qabr par Aazaab ho raha hai...
Ek ko (Dunya mein) Peshaab ke Qatron se Naheen Bachney par Aazaab e Qabr ho raha tha aur
Dusrey Saahib e Qabr ko Chuglee kee wajeh se Azaab e Qabr ho raha tha...
• Point...Nukta...•
Jiski Chuglee hoti hai uusey Dunya mein Nuqsaan/ BeIzzatee ka Saamnaa karna padta hai lekin Aakhirat mein Chuglee karney wale ke Sawaab mein se Hissa milenga lekin Chuglee karney wale ko toa Dunya mein bhee Chuglee ki Sazaa hoti hai aur Saath Saath Aalam e Barzakh mein Azaab e Qabr honga PLUS Aakhirat mein bhee Ruswaaee aur Nuqsaan uuthaana honga...
----------------------------------/-------------/----------------


Post a Comment

 
Top