0
Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-826
Fazail e Istaghfaar - 351
Fazail e Istaghfaar par 350 se bhi Ziyaadaah aSbaaq deney par
Hazrat Mavlana Yunus Sahib db ko Hum sachchey DiL se MubarakBaadi de rahey hai...
Ye Kalma Padhney wale ke liye Farishto ki JamaAt Istaghfaar kartee hai...
** Sub-Haan ALLAHi wal HamduLILLAHi
wa Laa iLaaha illal LAAHU
waLLAHu Akbar wa TabaarakALLAH
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
-------------------/------------------/---------------------
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
----------------------------------/----------------/---------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-142
Huquq ul Ibaad/Human Rights -130
ALLAH ki Qurbat ka koi Shot-Cut Nahee...
Sirf aur Sirf Taqwaa hee ALLAH ki Qurbat ka Waaheed Raasta hai...
Surah Hujuuraat ki Aayaat No. 10 se 13 ke 14 Ahkaam-Commandments
1) Do Insaano ke Bich Ranjish/Ladaai mein Sulah Karao
2) Sulah Karaney mein Naa-insaafee Mat karo (yaanee kisi ki Favour mat karo), Naa-insaafee karney mein ALLAH se Daro
3) kisi bhi Qaum (ya Mazhab-Dhram-Religion) ki Hasee-Mazaaq Mat uudaao
4) kisi par aib Mat laagaao
5) kisi ka Buraa Naam/Laqab Mat Rakho (Takla, kaana,Poopat)
6) Bad Gumaanee Mat Karo
7) kisi Tooh Mein Mat lago
8) kisi ke Raaz/Bhed jaanney ki justaju mein Mat lago
9) kisi ki aisee Baat ki Tehqeeq/jaasusi mein Mat karo jisey wo Poshidaa rakhna chaahta ho
10) kisi ke Peth Pichey uusey Bura Mat kaho
11) kisi ki Gheebat Mat karo kyuke ye Murda Bhai ke Ghost khaney jaisa hai.
12) kisi par Bohtaan Naa lagao
(kisi ne ek baar zina kiya ho uuski buraee mein ye kehna ke uusne Ek baar Zina kiya hai ye toa Gheebat hai aur Ek se ziyaadaah baar Zina kiya hai ye Kehna Bohtaan hai)
13) koi Bhi Insaan ko uuskey Nasab, Khaandaan, Karobaar, Zubaan wagairaah ke Aitbaar se Haqeer-Neech Mat Samjo
14) Khudko Nasab, Khaandaan, Karobaar, Zubaan wagairaah ke Aitbaar se A'laa Mat Samjo
(har Insaan Hazrat Aadam a.s. ki Avlaad hai, koi uuch-neech nahee, ALLAH ke Nazdik sirf Muttaqee hi A'laa hai )
• Point...Nukta...•
dena chahiye ke wo MashHur-Maqbuul Insaan ke Betey-Daamaad-Khaadeem hai esliye ALLAH ke Qareeb hai balki Apna Mind-Set ye kar lena chahiye ke ALLAH ki Qurbat ka koi Shot-Cut Nahee...Sirf aur Sirf Taqwaa hee ALLAH ki Qurbat ka Waaheed Raasta hai...
-------------------------------/-----------------/---------;-----

Post a Comment

 
Top