0
Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-843
Tisrey Kalmey ki Fazilat
*Sub-haa-naLLAHi, wal Hamdu lilLAAHi, wa Laa ilaaha il-lal Laahu, WaLLAHU Akbar, Wa Laa Hawla Wa Laa Quwwata illa BilLLAHil Alyyil Azeem.*
* Ek Martaba bhee Padhney par Saarey Gunaaho ko ALLAH MuAaf kar denga*TnC
• Har Jumle ke badle Uhud pahaad ke Barabur Nekiyaa.
• Jannat mey Darakth lagaya jaayenga.
• (ALLAH ke yahan) Aasmano mey Tazkirah honga.
• ALLAH ka saath


• Bande ka ye Kalimaat Kahna har uus cheez se Ziyaada Mahboob (pasand/piyaara) hai jispar Suraj Tulu (sunrise) hota hai (yaani puri Dunya) kyuke uuska (tisre kalme ka) Aj'ar aur Sawaab Baaqi rahenga aur Dunya apne Tamaam Saaz aur Saamaan Samet khatam ho jaayengi…!!
• Jo Shakhs DiL se is kalme ko kehta hai toa ALLAH kehta hai : “Mera Banda Mera Farmabaddar ho gaya aur apney aap ko merey hawaale kar diya”
• ye Kalimaat (words) Qayaamat ke Din apney padhney waaley ke liye Aage - Pichhey - Daaye - Baaye se aayenge aur uusko Najaat dilaaney waale honge !!
Aur yehi wo Nek Aa’maal hai jinka Sawaab hamesha milta rahta hai…!!
Note :- Tamaam Fazilatey Aaj Ka Sabaq No. MYP-AKS- 149, 175, 184, 531, 646, 637,705,770, 791 aur 843 ke Mubabiq hai...
Terms & Conditions Apply/Shartey Laagu : Jaadu-Tona karna, Bila Kasur Talaaq Dena-Khula Maangna, Gumraahi wali Baat ko Deen kahkar logon mein failana, gairHadees ko Hadees kahkar aage badhana, Jhuthe Khwaab bayaan karte rahna, ALLAH walon ki Toheen karte rahna, Qarz, Amaanat, Miraas, Huqu ul Ibaad (logon ke huquuq/human rights), Qaza Namaaz, Qaza Rozeh, baaqi Qurbaani, baaqi Farz Haj, pichhli–mavjudaah baaqi Zakaat, baaqi Kaffara, pichhla–baaqi Fitra, Rail-Bus mein Bila Ticket Safar, Meters mein setting-Gadbad karke Gas, Bijli, Paanee wagairaah ki chori, Kisi Insaan ko ya Kisiki 2-3-4 Wheeler ko Takkar Maarkar-Nuqsaan Pahoochakar Bhaag jaana, AibDaar maal Aib bataye bagair hi bechna, Kisi ka bhi Nuqsaan karna, Kisi ko Satana-Takleef Dena, wagairaah ye sab Gunaah, Logon ke Huquq waigairah Tavbaah - Istaghfaar, Kaamil Wuzu, Kaamil Namaaz, Roney GidGidaane se ya koi bhi DuAa, Daruud Shareef padhney ya Mannato se ya Yawm ul Arfaah ki Haajri-Yawm ul Arfaah ki DuAa, Haj, SalaatusTasbih se ya aur koi bhi Nuskhey se muAaf NAHIN HONGE, Lihaaza jald se jald inn Tavbaah-Istagfaar-Tasbeeh-Nuskhoo se MuAaf Nahin honewale Tamaam Gunaaho ki Mukammal Tafseel Ulma se maalum karke in Gunaaho ki MuAafi - Talaafi - Adaigee kaisey ki jaaye ye Ulma se Puchhkar favran amal kijiye kyuke Zindagee ka koi bharosa Nahin. Zindagee ke is mavqe ka Faaydaah uuthaaeeye warna ye Mavquah aur Zindagi Naa Milegi Dobaara
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
----------------------------/---------------/-----------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-159
Huquq ul Ibaad/Human Rights -147
Nameemaa :
Chuglee 2 in 1 Gunaah hai !!
Aaj Ka sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Bataya tha ke BeRozgaar, QarzDaar, Bimaar jab tak Apnee Takleef se Nijaat Naheen pata tab tak uusey Sukuun mayassar Nahee hota Es Tarah Gheebat ya Dusrey Gunaah Se jab tak MuAafee-Talaafee Naa ho jaaye tab tak humey BeChain rahna chaaheeye !!
Ab Aage Padhiye...
Gheebat se Ziyaadaah Bura Gunaah Chuglee hai jisko Ara'bee Zubaan mein Nameemaa kaha jata hai jiska saheeh Tarjama ye hai ke jiskey Paas kisee kee Gheebat kee jaa Rahee hai wo Gheebat karney wale ko koi Takleef Pahoochaye jaisey Ek Shakhs Bila Permit Sharaab peeta hai, kisee ne uuska Raaz logon mein faash kar diya ye Gheebat hai lekin koi ye Raaz Police ko Bata deta hai taake Police uusey Rang e Haath pakad le aur samaaj mein uuskee BadNaamee ke saath saath uusey Saaza bhugatnee padey ya Jurmaana bharna Padey !!
• Point...Nukta...•
Chuglee 2 in 1 Gunaah hai..
1) Khudko Achchaa Saabit karney ke Maqsad se Dusrey kee Aabru Rehzee karna....
2) Dusrey kee aabru Rehzee ke saath saath uusey Nuqsaan Pahoochaana...
-------------------------------/-----------------/--------------

Post a Comment

 
Top