Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-841
MaaBaap ke Huquq - 8 (Repeat)
Mafhum e Hadees :
(Musnad e Ahmad Shareef/Raavi-Hazrat Sayyedaah Maa Aisha Siddeeqaah razi.)
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Khwaab mein khudko Jannat mein Paaya aur saath hi Hazrat Haareesa Ibn e Noamaan razi. ko bhi Jannat mein Tilaawat e QurAan mein Mashghool paaya...Hazrat Haareesa Ibn e Noamaan razi. ko ye Fazilat Haasil hone ki wajeh Hazrat Sayyedaah Maa Aisha razi. ke puchhney par RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Jawaab mein Irshaad Farmaaya :

Neki aisee hi hoti hai (yaani Neki ka Badla aisaa hi hota hai), (Hazrat) Haareesa Ibn e Noamaan (razi.) Apnee Maa ke Saath bahoot hi Achchha Suluk karte thai...esliye unko ye Darja mila...
Flash Back : ye Hadees Aaj ka Sabaq No. 749_MYP mein bhee bataayee gayee thee.
------------------/-----------------------/--------------------
Apney MaaBaap (waalidain) ke liye Surah Bani Isreal (Surah No. 17) ki Ayaat No. 24 (17:24) ke zariye DuAa kiyaa karo :
Rabbir HamHumaa kama Rabba Yaani Sagheeraa.
Tarjama :
aye Merey Rabb!, inn (merey MaaBaap) par aisaa Raham kar jaisa Inhone (MaaBaap ne) Mujhe Bachpan mey (Raham/pyaar se) paala hai !!
Note : Marhum MaaBaap ki Maghfirat ke liye dusri Anmool DuAa Sabaq No. 116 mey batayi gayee hai…

Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
--------------------/----------------;;/---------------------
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.

-----------------------------------/--------------/---------++-
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-157
Huquq ul Ibaad/Human Rights -145
Saaree Dunya kee Davlat ke Badley bhee RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم kisi kee Naqal karney Tayyar Naheen thea
Jismein kisi ki Mazaaq ho !!
Jismein kisi ki Mazaaq ho !!
Aaj Ka sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Bataya tha ke Sharaab Nooshee, SuudKhooree, SuwwarKhooreee aur ZinaaKhooree ke Gunaaho se Gheebat ka Gunaah Bada hai lekin Hum Sharaabee, SuudKhoor, SuwwarKhoor, ZinaaKhoor ko toa Bura samajte hai lekin GheebatKhoor ko Buraa Nahee samajtey !!
Ab Aage Padhiye...
Hazrat Sayyeeda Maa Safeeyaah razi. ka Pasta Qad (short height) tha, BaatonBaaton mein Ek Martaba Hazrat Sayyeeda Maa Ayesha Siddeeqaa razi. ne Hazrat Sayyeeda Maa Safeeyaah razi. ka Zikr kartey waqt haath se Chhotey Qad wala Ishaara kar diya, Zubaan se kuchh bhee Naheen kaha tha eske Baawajud RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Farmaya Aaj Tumne aisaa Amal kiya ke es Amal kee Bu aur es ka zaher Samandar mein daal diya jaaye toa Purey Samandar ko BadBuDaar aur Zahreelaa bana de, koi Shakhs mujhe Saaree Dunyaa kee Davlat laakar de de toa bhee mai kisee kee Naqal uutaarney ko Tayyaar Naheen jismein Dusrey ki Istehza (mazaaq) ho, jismein uuskee Buraaee ka Pehlu Nikalta ho !! (Tirmizee Shareef/2624)
• Point...Nukta...•
Es Daur mein toa Naqal (Acting) uutaarneywale kee log Qadr kartey hai, uuskee Taareef kartey hai aur uusey Great Actor kehtey hai !!
-----------------------------/-----------------/-----------------
Post a Comment