0
Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-840
Fazail e Namaaz - 54
Namaaz e Tahajjud aur
Raat mein Duaa ka Ehtemaam
Inteqaal ke baad Khwaab mein Haal Puchhney par Hazrat Junaid Baghdaadee rh ne Khwaab mein bataya tha ke Mujhe sabse Ziyaadaah Faydaah Aadhee Raat mein uuthkar 2 Rakaat Namaaz e Tahajjud se hua hai..
.
Note :
India mein har jagah Raat ke 1 baje ke AasPaas Tahajjud ka Waqt shuru ho jaata hai, Raat mein late Soney ke Aadee Soney se Pehley bhee Namaaz e Tahajud padh sakte hai, Raat mein Neend se Jaaghkar Namaaz e Tahajjud padhna bahoot hee Afzal toa hai lekin Zaruri Nahee hai...
Survey ke mutabiq Aksar Aashiq e WhatsApp Raat mein 2 baje se Pehle Naheen Sotey 
-----------;;;;;----;;;;;;;-----------;;---------;--;;;;;-;;----------
Anmool DuAa
Rabbana Aa’tinaa Fid-Duniya Hasa-na-taw wa fil Aakhirati Hasa-na-taw wa Qee-naa Azaaban Naar
Surah Baqarah Aayaat No. 201 (02:201)
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
----------------------/-------------------/---------------------
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-----------------------------/-----------------/--------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-156
Huquq ul Ibaad/Human Rights -144
Hum Sharaabee, SuudKhoor, SuwwarKhoor, ZinaaKhoor
ko toa Bura samajte hai lekin GheebatKhoor ko
Buraa Nahee samajtey hatta ke Gheebat in
Sab se Ziyaadaah Bura Gunaah hai !!]
Aaj Ka sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Bataya tha ke Gheebat ke Gunaah mein Nifaaq bhee shameel hai kyuke Huquq ul Ibaad ka Bunyadee Uusuul ye hai ke jo Cheez humey NaaPasand hai uusey Dusron ke liye bhee Pasand nahi karna chaheeye, Dunya mein kaun aisaa honga jisey ye Pasand ho ke koi uuskee Gheebat karey ??
Ab Aage Padhiye...
Mughal Sultanat ke 17 we aur Aakhri BaadShah Mirza Abu Zafar SiraajudDeen Muhammad Bahaadur Shah Zafer (1775-1862) ne esee uunwaan par ye Qeemtee Baatey likhee thee :
Thea jo Apnee Buraaeyo se BeKhabar...
Rah e Auro ke Dhodhtey AeboHunar...
Padi Apnee Buraae par Jo Nazar....
Toa Nigaah mein koi Buraa Naa Raha...!!!
Socha Kabhee ??
Sharaab Nooshee, SuudKhooree, SuwwarKhooreee aur ZinaaKhooree ke Gunaaho se Gheebat ka Gunaah Bada hai lekin Hum Sharaabee, SuudKhoor, SuwwarKhoor, ZinaaKhoor ko toa Bura samajte hai lekin GheebatKhoor ko Buraa Nahee samajtey !!
• Point...Nukta...•
Jisey ye Pata chal jaaye ke uusey Cancer hai toa wo Dusre ke Bukhaar ki Fiqr Nahin karenga esee Tarah jisey Apney Aebo ki Khabar ho jaaye toa wo Dusro ke Gunaah ki taraf Nahin Dekhenga...kabhee Gheebat Naheen karenga...!!
--------------------------------/-----------------/---------------

Post a Comment

 
Top