0
Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-839
Fazail e Namaaz - 53
Baithkar Namaaz Ada karney ka Maslaah
Vitr ke Baad kee ya Koi bhee Namaaz Baithkar Ada karney ka Sawaab Aadha (half) milta hai.
Bila Majburi Farz, Sunnat aur Vitr ki Namaaz Baithkar Ada karna Durast Nahee hai.


(Ilm ul Fiqh)
Aayaat e Kareema
Har Musibat se Nijaat ka
Anmool Nuskhaah
Awwal-Aakhir 1/ziyaada baar Duruud ke Saath
ye Aayaat e Karima Padhkar DuAa karo :
Laa ilaa ha illa Anta Subhaa-naka
inni Kuntu Minaz-Zaalimeen
Surah (No.21) Ambiya Aayaat No.87 (21:87)
Mafhumi Tarjama :
Nahee hai koi mAabud ALLAH (ke siwaa aur) Tu ALLAH Paak hai (aur) mai Zulm karney walon mein se hu.
Flash Back :
ye Wazeefa Aaj ka Sabaq No. 354 mein bhi bataya tha.
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
---------------------/--------------------/--------------------
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-----------------------------/---------------------/-------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-155
Huquq ul Ibaad/Human Rights -143
Gheebat mein Nifaaq
bhee Shameel hai
Aaj Ka sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Bataya tha ke
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Ek Martaba Masjid e Nabvee mein Tamaam Sahaba rizwn. ko Khitaab kartey hue Farmaya : Aaj Mai Apney Aap ko Tumhaarey hawale karta hu...Agar kisi ko Mujh se Takleef Pahochee ho ya Maine kisi ki Jaanee-Maalee kisi bhee aitebaaar se Haq Talfee kee ho toa aaj mein Tumhaarey Saamne khada hu, Agar Badla lena chaahtey ho toa Badla le lo...Aur agar Mujhe Muaaf karna Chahtey ho toa Muaaf kar do Taakey Kal Qayaamat ke Din Tumhaara koi Haq Merey uupar Baaqee Naa Rahey....Ek Sahabee razi. ne kaha ke Ek Martaba Jung mein Saf Saheeh kartey waqt Aap ne Chhadee Meree Khulee Peeth par maaree thee, Mai Badla lena chahta hu, Aap Pethh Par se Chadar Hata dijiye...jab Aisaa kiya gaya toa Sahaabee razi. ne Lakdee Maarney ke badle Muhar e Nabuwat (Seal of Prophethood) ko chumney ka Sharf haasil kar liya !!!
Ab Aage Padhiye...
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Ek Misaal Qaayam kar dee kee Humey logon se MuAafee maang lenee chaheeye taake Qayaamat mein kisee ka koi Haq hum par baaqee Naa rahey....
Gheebat ke Gunaah mein Nifaaq bhee shameel hai kyuke Huquq ul Ibaad ka Bunyadee Uusuul ye hai ke jo Cheez humey NaaPasand hai uusey Dusron ke liye bhee Pasand nahi karna chaheeye, Dunya mein kaun aisaa honga jisey ye Pasand ho ke koi uuskee Gheebat karey ??
• Point...Nukta...•
Gheebat karney wale ko Sochna chahiye ke Mai bhee Mukammal Naheen hu, Mujmein bhee Dher saaree Buraae hai, Mai bhee Dher saarey Gunaah mein mubtila hu phir Mujhe Kya Haq pahochta hai ke mai Dusron ki Gheebat karu jisko Quraan ne Murdey Bhai ke Ghosht se Taabeer kiya hai !!!
-----------------------------/-----------------/------------------

Post a Comment

 
Top