Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-835
Ek Aham Maslaah
Mobile se Quraan ki Aayaat wale Messages, Images, Audios, Videos ya Mukammal Quraan ke Soft Version ko Format/Delete/Mitaney mein koi Gunaah/Haraj Nahee hai...
------------------------------/-------------------/--------------
BUMPER OFFER!!
Kam Mehnat-Ziyaadaah Sawaab
Mafhum e Hadees ke mutabiq Hazrat Maa Safiyaa رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se Riwaayat hai ke (ek martaba) RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم Tashreef laaye tab Merey Paas (tasbeeh padhne ke liye) 4000 Chaar Hazaar Khajur ki Ghuthliya rakhi hue thi jinpar mein Tasbeeh padh rahi thi...RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Irshaad Farmaya :
Mafhum e Hadees ke mutabiq Hazrat Maa Safiyaa رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se Riwaayat hai ke (ek martaba) RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم Tashreef laaye tab Merey Paas (tasbeeh padhne ke liye) 4000 Chaar Hazaar Khajur ki Ghuthliya rakhi hue thi jinpar mein Tasbeeh padh rahi thi...RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Irshaad Farmaya :
Mai jab se Tumhaare Paas aakar Khada hu (itne kam waqfe mein) issey Ziyaadaah (sawaab milnewali) Tasbeeh padh chuka hu...!!
Hazrat Maa Safiyaa رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ke Israar par RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne ye Tasbeeh batayi :-
Sub-haa-naLLAHi Adada Maa Khalaqa min Shay-in.
FlashBack - ye Sabaq MYP-AKS- 228 aur MYP-AKS-726 mey tha/hai.
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
----------------------;;/-----------------/------------;;;;;;-------
Note :
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
----------------------------/------------------/--------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-151
Huquq ul Ibaad/Human Rights -139
Huquq ul Ibaad/Human Rights -139
Hazrat abduLLAAH Ibn e Umar razi.
ne Zaaleem BaadShaa Hajjaaj Ibn Yusuf ki
Gheebat se bhee Mana kiya tha !!!
ne Zaaleem BaadShaa Hajjaaj Ibn Yusuf ki
Gheebat se bhee Mana kiya tha !!!
Aaj Ka sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Bataya tha ke Faasiq yaanee Khullam Khulla Gunaah karney wale ke har Gunaah kee Gheebat karna Jaiz Nahee hai...Gheebat ka Paimaana (Criteria) ye hai ke jis Gunaah ke Tazkirey se Gunaahgaar ko Parwaah Nahee hai uus Gunaah ka Tazkeeraah karna Gheebat Nahee hai aur Jis Gunaah ka Tazkeeraah ho ye Gunaahgaar ko NaaPasand ho uus Gunaah ka Tazkeeraah Gheebat mein Shumaar hai...
Ab Aage Padhiye...
Ameer ul Muamineen Sayyadna Hazrat Uumar razi. ke Saahib Zaadey Sayyadna Hazrat abduLLAAH Ibn e Uumar razi. ek Majlis mein Mavjud thea... kisi ne Zaleem BaadShaa Hajjaaj Ibn Yusuf ki Gheebat karna shuru kar diya toa Hazrat abduLLAAH Ibn e Umar razi. ne Hajjaaj Ibn Yusuf ki Gheebat bhee karney se Mana kiya tha !!
Soochaa Kabhee ??
Kisi ki Gheebat karne se Pehle Kabhee ye Soocha ke Hazrat abduLLAAH Ibn e Uumar razi. ya uunke Zamaaney ke kisi bhi Musalmaan jitna Naa Mera Naa Makaam hai Naa uutna Level hai aur Mai jiski Gheebat karta hu wo Naa Hajjaaj Ibn e Yusuf jaisa Naa Qaateel Naa Zaleem hai phir Mujhe Kiya Haq Pahoochta hai kisi ki Gheebat karney kaa ??
• Point...Nukta...•
Gheebat karney ka Maqsad e Aslee Khudko A'ala aur Behtar Saabit karna hota hai ke jo Buraae uusmein hai wo Mujh mein Nahin hai...Ye Ghamand Insaan ko Uu'jb tak le jata hai aur jis Insaan mein Uu'jb Paidaah ho jata hai uus Insaan ki Islaah Mushkeel hee Nahee NaaMumkeen hai...!!!
----------------------------------/-------------/-----------------
Post a Comment