AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-149
Huquq ul Ibaad/Human Rights -137
Majlis e Gheebat se Ruksat ho jaao..
.
kal Aaj Ka sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne AbuDawuud Shareef, Kitaab ul Adab, Baab ul Fee Gheebatee, Hadees No. 4867 ke Hawaaley se Hadees ka Mafhum Bataya tha ke Sud (Interest/Biyaaj/Vyaaj) Khaaaney ka Gunaah Haqeeqee Maa se Zina karney se Ziyaadaah hai, Dusri Ek Hadees ke Mafhum ke Mutabiq Sabse Badtareen Sud ye hai ke koi Shakhs Apney Musalmaan Bhai (ya koi bhi Insaan) ki Aabru par (Gheebat ya aur koi tareeqeh se) Hamla karey !! (yaanee GheebatKhooree ka Gunaah SudKhooree aur Haqeeqee Maa se Zina karney se bhee Buraa hai)

Ab Aage Padhiye...
Koi bhi Majlis, Nasheet, Meeting, Get Together jaha Gheebat hotee ho waha se Ruksat ho jana chahiye warna Neki Kamaney kee bajaay Gunaah hasil honge...Gheebat ka Luft waqtee hota hai lekin uuska Azaab bahoot hee Bura hota hai es par Ek AjeeboGhareeb Qissa Audio mein Zarur suneeye...
• Point...Nukta...•
Zubaan se hone wale Gunaaho mein sabse Bada Gunaah Gheebat ka hai...!!
-----------------------------/---------------/-----------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-150
Huquq ul Ibaad/Human Rights -138
Faasiq ki Gheebat Kuchh hee Surat mein Jaiz hai,
har Surat mein Jaiz Nahin hai....
har Surat mein Jaiz Nahin hai....
kal Aaj Ka sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Bataya tha ke Zubaan se hone wale Gunaaho mein sabse Bada Gheebat ka Gunaah hai...!!
Ab Aage Padhiye...
Faasiq yaanee Khullam Khulla Gunaah karney wale ke har Gunaah kee Gheebat karna Jaiz Nahee hai...Gheebat ka Paimaana (spell criteria ) ye hai ke jis Gunaah ke Taskirey se Gunaahgaar ko Parwaah Nahee hai uus Gunaah ka Taskeeraah karna Gheebat Nahee hai aur Jis Gunaah ka Taskeeraah ho ye Gunaahgaar ko NaaPasand ho uus Gunaah ka Taskeeraah Gheebat mein Shumaar hai...
• Point...Nukta...•
Khule Aam Sharaab Peenaa, JuAa Khelna, Daadhee Nahee Rakhna Fis'q hai yaanee Khullam Khulla Kabeera Gunaah hai lekin har Majlis mein inkee Guftagu karna Durast Nahee, ye log bhee ALLAH ke Bandey hai, inhey bhee Piyaar se Samjaana chahiye aur inke liye DuAa bhee karna chahiye...
---------------------------------/--------------/--------------
Post a Comment