0
Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-825
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Sahaba razi se Farmaayaa :
Kya mai Tumhe aisee Cheez Naa Bataao jiski
Jad (root) Zameen mey hai
aur uuski Shaakh (stem) Aasmaan mey hai ??
Tum Har Namaaz ke baad :
Laa-ilaa-ha-illal-LAAHu waLLAAHu Akbar wa Sub-haa-naLLAAHi wal HamduLILLAHi
10 Martaba kaha karo...
(baHawaala HayaatusSahaaba razi, Jild/Vol. - 3, Safha/Page - 340)
# Aur waqt mey bhi Padhney se Sawaab milenga lekin
Har Namaaz ke Baad bhi 10 Martaba padhna chahiye...
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
-----------------------/---------------------/------------------
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-----------------------------------/-------------------/--------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-141
Huquq ul Ibaad/Human Rights -129
Surah (No.49) Hujuraat Aayat No. 10 se 13 (49:10) ka Mafhumi Tarjuma :
10 |(Tamaam) Mua'meen (aur har Insaan) Aapas mein Bhai (bhai) hai, agar (do insaano mein koi ladaai, ranjish ho gayee ho toa) Sulaah kar do Apne do Bhaiyyo (insaano) mein aur (sulaah karane mein naa insaafi karne se) Daro ALLAH se taake Tum par Raham kiya jaaye..
11| aye Imaanwaalon, Hasi-Mazaaq Naa Uudaaye koi (ek) Qaum kisi Dusri Qaum ki (ya Ek Insaan Dusrey Insaan ki kyuke) ho sakta hai (jinka Mazaaq Uudaaya jaa raha hai wo Mazaaq Uudaaney walon se) Behtar ho aur (koi) Avratey bhi Dusri Avraton ka Mazaaq Naa Uudaaye kya Baeed hai ke jin Avraton ka Mazaaq Uudaaya ja raha hai wo Mazaaq Uudaaney wali (Avraton) se Behtar ho...aur Ek Dusron ko Taana mat diya karo aur Ek Dusron ko Burey Naamo se (ya laqabo se) Naa Pukaara karo...Imaan laaney ke Baad ye Buri Baat hai (yaani ye sab kaam gair Imaan walon ke hai, imaan walo ko zebaa Nahin detey) aur Jo inn Kaamo se Tavbaah Nahin karenga wohi (ALLAH ki nazar mein) Zaalim hai...
12 | aye Imaanwaalon, Bachoo Tum BadGumaani se, beshak Baaz Shak toa Gunaah hai aur Mat Tatoolo kisaka Raaz aur Mat Bura kaho Peeth Pichhey Ek Dusro ko (Gheebat mat karo) , Kya Achchha lagta hai Tum mein se kisi ko ye ke Khaaye wo Ghosht Apney Murda Bhai ka?? ye (Murda ka Ghosht khana) toa Tumhe NaaGawaar hai...aur Daro ALLAH se beshak ALLAH muAaf karney wala Raheem (maherbaan) hai..
.
13 | aye Insaano/Manushya/Logon...BeShak Hum ALLAH ne Paidaah kiya (tamaam Insaano ko) Ek Mard (hazrat Aadam a.s.) aur Ek Aurat (hazrat Maa Hawwa a.s.) Se aur Banaye Tumhaare Kumbey aur Kabeeley taake Pehchaano Ek Dusro ko...Yaqeenan Bahoot Ikraamwala Tum mein se ALLAH ke Nazdeek Wo (shakhs) hai jo (Tum mein) Ziyaadaah Taqwey wala (Parhezgaar, Khuda se Darney wala) hai, BeShak ALLAH (har cheez ka) Jaanneywala (har tarah ki) Khabar rakhney wala hai !!
Aaj Ka Sabaq No. 47 se 140 mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Surah (No.49) Hujuraat Aayat No. 10 se 13 (49:10-13) par qareeb 93 aSbaaq diye jismein in 14 Ahkaam (Commandments) par Qeemtee Baatey Bataayee hai,
Surah Hujuuraat ki Aayaat No. 10 se 13 ke 14 Ahkaam-Commandments
1) Do Insaano ke Bich Ranjish/Ladaai mein Sulah Karao
2) Sulah Karaney mein Naa-insaafee Mat karo (yaanee kisi ki Favour mat karo), Naa-insaafee karney mein ALLAH se Daro
3) kisi bhi Qaum (ya Mazhab-Dhram-Religion) ki Hasee-Mazaaq Mat uudaao
4) kisi par aib Mat laagaao
5) kisi ka Buraa Naam/Laqab Mat Rakho (Takla, kaana,Poopat)
6) Bad Gumaanee Mat Karo
7) kisi Tooh Mein Mat lago
8) kisi ke Raaz/Bhed jaanney ki justaju mein Mat lago
9) kisi ki aisee Baat ki Tehqeeq/jaasusi mein Mat karo jisey wo Poshidaa rakhna chaahta ho
10) kisi ke Peth Pichey uusey Bura Mat kaho
11) kisi ki Gheebat Mat karo kyuke ye Murda Bhai ke Ghost khaney jaisa hai.
12) kisi par Bohtaan Naa lagao
(kisi ne ek baar zina kiya ho uuski buraee mein ye kehna ke uusne Ek baar Zina kiya hai ye toa Gheebat hai aur Ek se ziyaadaah baar Zina kiya hai ye Kehna Bohtaan hai)
13) koi Bhi Insaan ko uuskey Nasab, Khaandaan, Karobaar, Zubaan wagairaah ke Aitbaar se Haqeer-Neech Mat Samjo
14) Khudko Nasab, Khaandaan, Karobaar, Zubaan wagairaah ke Aitbaar se A'laa Mat Samjo
(har Insaan Hazrat Aadam a.s. ki Avlaad hai, koi uuch-neech nahee, ALLAH ke Nazdik sirf Muttaqee hi A'laa hai )
Sochaa Kabhee ??
Sirf 4 Aayato mein 14 Ahkaam-commandments hai toa QurAan ki 6666 Aayaato mein Kul Kitney Ahkaam (Commandments) hai ??
• Point...Nukta...•
Surah (No.6) AnAam ki Aayaat No. 151-153 (06:151-153) ye 3 Aayaato mein bhi Tavraat ke Dus Ahkaam hai jisko Yahud/Jew ke saath saath Dunya ke Tamaam log 'Ten Commandments' kehtey hai...
---------------------------/--------------------------//-----------

Post a Comment

 
Top