
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
08
▣ Zaban Kï Hifazat-1 . ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Sar ke mutalliq A'aza me insaan Kï Zaban ko sabse zyada ahmiyat haasil he ,Ye chhoti si Zaban agar Sahi Raaste per chalti he to Azeemul Qadr Darjaat ko haasil karne ka zariya aur Waseela banti he ,aur Zaban hi Agar be haya ban jaye aur Allah Rabbul izzat ke Khof se beniyaz ho kar mamnoo kalmaat hi bolti rahe to insaan ke liye had darje Saqawat aur mehroomi Kï vajah ban jati he ,
◈ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal farmate he'n ,
"_Jab Aadmi Subeh so kar uthata he to Saare A'aza Zaban ke saamne Azizi karte hue kehte he'n k Hamare waaste Allah se darti reh ! Isliye k hum tere saath he'n ,agar tu sidhi rahegi to hum sidhe rahenge aur agar Tu Tedi hogi to hum Tede honge ,"
⚀•RєԲ Tirmizi ,2/66 Bayhqi ,Shobul imaan ,Mishkaat ,2/413
◈ Maloom hua k Zaban ko qabu me rakhna Allah se haya ka Haq ada karne wale ke liye zaroori he ,isi bina per Rasulullah Sallallahu ne Nihayat takeed ke saath Zaban Kï hifazat Kï Targeeb di he ,
"_Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k ,Jo ( galat baat kehne se ) Khamosh raha Wo Nijaat pa gaya ,"
⚀•RєԲ :- Bayhqi fi Shobul imaan ,4/254
◈ Ek Sahabi Uqba bin Aamir Raziyallahu Anhu ne Aap Sallallahu Alaihivasallam se daryaft kiya k Nijaat kese haasil hogi ,?
" Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Jawab diya ,Apni Zaban ko qabu me rakho aur Tumhara ghar tumhe gunja'ish de ( bila zarurat Waha se na niklo ) aur Apni galti per Roya karo ,"
⚀•RєԲ:- Tirmizi 2/ 66 Bayhqi Shobul imaan ,1/492
☆ Next - 9 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 50
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─
◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
Talibe Dua
◉ Haqq Ka Daayi ◉
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
09
▣ Zaban Kï Hifazat-2 ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Hazrat Sufiyan bin Abdullah Saqfi Raziyallahu Anhu ne Aap Sallallahu Alaihivasallam se daryaft kiya k ,Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Aap mere ouper sabse zyada kis baat ka khof karte he'n ?
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Apni Zaban pakdi aur ( aur uski taraf ishara karke ) farmaya ,Sabse zyada khatre Kï cheez ye Zaban he ,
⚀•RєԲ:- Tirmizi 2/66 Mishkaat 2/413
◈ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,insaan ka khamoshi Akhtyar karne ka martaba Saath ( 60 ) saal Kï ibaadat se bad kar he ,
⚀•RєԲ:- Mishkaat ,2/414 Bayhqi Shobul imaan ,4/245
◈ Ek moqe per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Abuzar Gafari Raziyallahu Anhu ko khitab karte hue farmaya ,
" Ey Abuzar ! Kya mai Tumhe esi do aadate na batau'n Jo peeth per halki ( Yani karne me asaan ) aur Mizaan Amal me Bhaari he ,"
Maine arz kiya, Zaroor Bataiye ,
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,(1) lambi khamoshi (2) Khush Akhlaqi ___
Qasam he us zaat Kï jiske qabze me meri jaan he ,Makhlooq ne in dono Aadato se badh kar koi Amal nahi kiya ,"
⚀•RєԲ:- Mishkaat 2/415,Bayhqi fi Shobul imaan ,4/242
◈ Ek martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,Jo Shakhs mujhse is Cheez Kï Zamanat le le Jo iske do Jabdo ke darmiyan he ( yani Zaban ) aur us Cheez Kï Jo iske pairo ke darmiyan he ( yani Sharmgah ) to uske liye Jannat Kï mai Zamanat leta hu'n ,"
⚀•RєԲ:- Bukhari Sharif, 2/958
◈ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrate Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se khitaab karte hue farmaya ,
" Kya Tum jaante ho Kya cheez logo ko sabse zyada Jannat me Dakhil karegi ,?Wo Allah ka Taqwa aur Khush Akhlaqi he ,
aur kya Tumhe maloom he sabse zyada kya Cheez logo ko Jahannam me pahunchayegi ? Wo do darmiyani cheeze he'n yani Moonh aur Sharmgah ,"
⚀•RєԲ:- Ravaah Tirmizi ,Mishkaat 2/412
◈ Hazrat Bilaal bin Haaris Raziyallahu Anhu irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam naqal farmate he'n,
" Beshak Aadmi koi khair Kï baat Zaban SE nikaalta he magar uske darje ko koi nahi jaanta k Allah Ta'ala us Kalme ke zariye uske liye qayamat tak Apni Raza ko likh dete he'n ,
Aur Aadmi koi bura Kalma Kehta he uske darje ko bhi nahi jaanta k Allah Ta'ala uski vajah se qayamat tak usse apni naraazgi muqarrar farmaya dete he'n ,"
⚀•RєԲ:- Mishkaat ,2/412
◈ Ye irshadaat Mubarak Hume batate he'n k Zaban Kï hifazat kis qadar Zaroori Cheez he ,Jiska lihaaz rakhe bager Allah Ta'ala se haya ka Haq hargiz ada nahi ho sakta ,
☆ Next - 10 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 51
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─
◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◉ Haqq Ka Daayi ◉
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
10
▣ Zaban Kï Aafate'n ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Zaban ke Zariye Jo gunaah hote he'n Wo beshumar he'n ,Un sabko tehreer me Lana dushwaar he ,Lekin Imaam Gazali Reh. ne Ahya ul uloom me Zaban ke gunaah ko 20 Unwano me Sametne Kï koshish Kï he ,
◈ 1- Be zarurat Kalam ( baat ) karna ,
◈ 2- Zarurat se Zyada baat karna ,
◈ 3- Haraam Cheezo ka tazkira karna( Maslan Filmi story, Faasiqo Kï Majliso ka zikr vagera),
◈ 4- Jhagda karna ,
◈ 5- Doosre Kï hakarat Kï garz se Shor machana ,
◈ 6- Gaali bakna aur Fahash kalami karna ,
◈ 7- Mithaar Mithaar kar baat cheet karna ,
◈ 8- Doosre per laan taan karna ,
◈ 9- Na-jaa'iz mazaq karna ,
◈ 10- Gana gana ya Padhna ,Galat Ashaar ( Sher Shayri ) Padhna,
◈ 11- Doosre ka istehza karna ,
◈ 12- Kisi ka Raaz Zahir karna ,
◈ 13- Jhoota Vaada karna ,
◈ 14- Jhoot Bolna ,
◈ 15- Kisi Kï peeth pichhe buraai karna ,
◈ 16- Chugli khana ,
◈ 17- Dogli baate karna ,
◈ 18- Gair Mustahiq Kï Tareef karna ,
◈ 19- Apni galtiyo'n se be khabar rehna ,
◈ 20- Awam me esi Deeni baate bayan karna Jo unki samajh se bahar ho ( matlab Taqdeer aur Zaate Sifaat Khudawandi se mutalliq guftgu karna )
◈ Ye sab gunaah es he'n Jo amuman Zaban hi se hote he'n ,Allah Ta'ala se haya aur Sharm karne ke liye Apne aapko in sab munkiraat se bachana zaruri aur laazim he ,
☆ Next - 11 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 52
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─
◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◉ Haqq Ka Daayi ◉
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
Post a Comment