0


❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
         SAR KI HIFAZAT KIJIYE
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾

                PART NUMBER
                           01   
   
                ▣  Aagaaz   ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆

◈  Hadeese Baala me Pehli Hidayat Sar aur Usse Mutalliq A'aza ki Hifazat ki di gayi he ,isse ye Muraad nahi k Sar ko Mahaz jismani Bimariyo se bachaya jaye aur Dava vagera ke Zariye se uski Hifazat ke tareeqe akhtyar kiye jaye ,

◈ Balki Maqsood ye he k Sar aur Usse Mutalliq A'aza ko har us Bimari se mehfooz rakha jaye jisse Shariyat me muma'anat vaarid hui he ,

◈ Maslan - Hamara Sar Allah ke Darbaar ke alawa kisi aur ke Darbaar me na Jhuke ,Hamari Aankhe na-jaa'iz cheezo ko na dekhe ,Hamare Kaan Haraam Awaaz ko na Sune ,Hamari Zabaan na-jaa'iz baato ka talaffuz na kare ,

◈ Qurane Kareem aur Ahadees e Taiyaba me in cheezo ki Hifazat per mukhtalif andaaz me zor diya gaya he ,Jiski Qadre Tafseel in sha Allah Agle Part se pesh ki jayegi ,

☆ Next - 2 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 40
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ 
           ━─━─━─━─━─━─━─
      ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                   
             Haqq Ka Daayi ◉
            
         ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞


❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
         SAR KI HIFAZAT KIJIYE
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾

                PART NUMBER
                           02   
   
            ▣ Shirk Se Bachna ▣
           ◆══◆══◆══◆══◆══◆

◈ Sar ki Hifazat ka Avval sabaq ye he k Aadmi ka dimaag kisi bhi haal me Allah Rabbbul izzat ke saath ibaadat me kisi doosre ko Sharek karne ka ravadaar na ho ,isliye k Allah Ta'ala ke alawa doosre ko ma'abood banana ya samajhna Islam ki nazar me Na-qabile maafi Jurm he , 

◈ Allah Ta'ala ka irshad he ,

Tarjuma :- Beshak Allah Ta'ala nahi bakhshta usko Jo uska shareek kare ,aur bakhshta he usse niche ke Gunaah jiske chahe ,

📓 Surah An- Nisa ,84:116

◈ Hadees Sharif me Sakhti ke saath Shirk ki muma'anat vaarid hui he ,aur na sirf Shirke Haqeeqi ( Yani ma'abood samajh kar gairullah ko sajda karna vagera) Balki Shirke Shaiba ( Yani gairullah se ma'abood jesa maamla karna ) se bhi bachne ki talqeen farmayi gayi he ,

◈ Marzul Wafaat me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Ummat ko Jo chand Aham tareen Vasiyate irshad farmayi unme ek ye bhi thi ,k ,

" Khabardar ! Tumse pehli ummato ke log apne Ambiya aur Nek logo ki Qabro ko Sajdagaah bana lete the ,Khabardar  ! Tum Qabro ko Sajdagaah mat banana ,Me Tumko is kaam se rokta hu'n ,"

📓 Muslim Sharif, 1/201

◈  Lihaza Sar ki Hifazat is baat me he k Hamara Sar Allah Ta'ala ke Darbaar ke alawa kisi ke saamne na jhuke aur Allah Ta'ala jesi Ta'zeem aur kisi ki na ki jaye ,

☆ Next - 3 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 40
    ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
          ━─━─━─━─━─━─━─      ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                
             Haqq Ka Daayi ◉             
    
         ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞

Post a Comment

 
Top