❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
05
▣ Shirk e Khafi.(Riyakari )-2. ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Jisne Riya ke qasd se Roza rakha usne Shirk kiya ,Jisne dikhawe ke liye Namaz padhi usne Shirk kiya aur Jisne Shohrat ke liye Sadqa kiya usne bhi Shirk kiya ,
📁 Targeeb v Tarheeb ,1/33
◈ Shirke Khafi ye he k Aadmi khada ho kar Namaz padhe aur Jab ye dekhe k koi Shakhs use dekh raha he to apni Namaz khoob achchhi kar de ,
📁 Ibne maaja ,310 Targeeb v Tarheeb ,1/33
◈ Ey logo ! Chhipe hue Shirk se bachte raho ,
Sahaba Kiraam ne arz kiya ," Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Chhipa hua Shirk kya he ?
To Aapne farmaya ,k ek Aadmi Namaz ke liye khada ho to logo ko uski taraf dekhne Kï vajah se apni Namaz ko khoob koshish karke muzayyan kare to ye poshida Shirk he ,
📁 Targeeb v Tarheeb ,1/34
◈ Me Sabse zyada tum per jis baat ka Andesha karta hu Wo Shirke Asgar he ,
Sahaba Raziyallahu anhum ne puchha ,k Shirke Asgar kya hota he. ?
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne jawab diya ye Riya he ,Allah ta'ala logo ko unke Amaal ka badla dete waqt irshad farmayega k unhi logo ke paas jao jinko Duniya me tum ( apni ibaadat ) dikhate the to dekho kya tum unke paas koi badla paoge ,
📁 Targeeb v Tarheeb ,1/34
◈ Allah Ta'ala se panaah mango Jubbul Hujn ( Gam Kï Ghaati ) se ,
Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya, Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Jubbul Hujn kya he ?
To Aap _Sallallahu Alaihivasallam_ne irshad farmaya k Wo Jahannam me esi Vaadi he jisse Khud Jahannam har din Chaar So ( 400 ) martaba panaah maangti he ,
Aap _Sallallahu Alaihivasallam_se puchha gaya k ,Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam usme kon log Dakhil honge ,?
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Riyakariyo'n ke liye ise taiyar kiya gaya he ,
📁 Targeeb v Tarheeb ,1/34
◈ Ye irshadat hamari tambeeh ke liye kaafi he k Hume Apne har us Amal v Aqeede se mehfooz karna chahiye Jo Allah ta'ala se Sharm Karne ke taqaze ke manafi ho ,Riyakari aur ibaadat me Allah KE saath doosre ko shareek Karna dar haqeeqat Allah ta'ala ke saath nihayat be hayai aur be sharmi he ,
☆ Next - 6 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 43
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◉ Haqq Ka Daayi ◉
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
Post a Comment