0


❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
            SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾

                PART NUMBER
                           04   
   
   ▣ Shirk e Khafi.(Riyakari )-1▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆

◈  Shirk Kï ek qism aur he Jise  Shirke Khafi ya Riyakari ke Naam se Jana jata he ,iska matlab ye he k Allah Kï ibaadat isliye Kï jaye taki koi doosra Shakhs isse khush ho ,Ya isse koi Duniyavi maqsad ho Ya Shohrat v izzat ,Daulat vagera uske zariye haasil ho jaye ,

◈ Shariyat Kï Nazar me Ye Amal Chahe Kufr v Shirk ke darje ka nahi lekin apni zaat ke aitbaar se nihayat mabgooz he aur insaan Kï saari mehnat ko barbaad kar deta he ,

◈ Jo Shakhs Akhirat ke Amal ko muzayyan kare halanki Wo Akhirat ka taalib na ho to us per Asmaan v zameen me laanat Kï jati he ,

📁Targeeb , 1/32

◈ Jo Akhirat KE kisi Amal se Duniya ka taalib ho uske chehre per fatkaar hoti he ,iska zikr mita diya jata he aur uska naam Jahannam me likh diya jata he ,

📁Targeeb v Tarheeb ,1/32

◈ Jo Shakhs Namaz ko isliye achcha padhe taki log use dekhe aur Jab tanhaai me jaye to Namaz kharab padhe ( Adaab v Sharayat ka lihaaz na rakhe ) to ye esi ahanat he jiske zariye se Wo  Allah ta'ala Kï toheen kar raha he ,

📁Targeeb v Tarheeb ,1/33

☆ Next - 5 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 42
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉             
      
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞

Post a Comment

 
Top