0

❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

           ☞ Safar Kï Sunnate,

                 █ ℘αят - 12 █

             
❉ 1- Jaha'n tak ho sake Safar me Kam se kam Do Aadmi jaye ,Tanha Aadmi safar na kare ,Albatta zarurat aur majburi me koi harj nahi ,

  ⚀•RєԲ :- Fatahul Baari ,6/53

➧ 2- Sawari ke liye Rakaab me paanv rakhe to " Bismillah " Padhe ,(ya  Sawaari per chadte waqt )

  ⚀•RєԲ :- Tirmizi ,2/182

❉ 3- Sawari per achchhi tarah beth jaye to teen martaba " Allahu Akbar " kahe fir ye Dua padhe :-

➧ " Subhanallazi Sakhkhar Lana haaza wama Kunna Lahu Muqrineena Wa inna ilaa Rabbina laa Munqaliboon ,"

  ⚀•RєԲ :- Muslim ,1/434

❉ 4 - Raaste me Theharne Kï zarurat pesh aaye to Sunnat ye he k Raaste se hat kar qayaam kare ,Raaste me padaav na daale k aane Jane walo ka Raasta ruke aur unko takleef ho ,

  ⚀•RєԲ :- Muslim ,2/144

➧ 5 - Safar ke dauraan jab Sawari Ounchaai per chade to " Allahu Akbar " kahe ,

  ⚀•RєԲ :- Bukhari ,1/420

❉ 6 - Jab Sawari Ouchaai se niche aane  lage to to " Subhanallah " kahe ,

  ⚀•RєԲ :- Bukhari ,1/420

➧ Mirkaat me he k Ye Sunnat Safar Kï he lekin Apne gharo me ya Masjid Kï Seedhiyo per chadhe waqt Daahina paanv badhaye to " Allahu Akbar " kahe chahe ek hi Seedhi ho  aur Niche utarte waqt Baaya paanv aage badhaye to " Subhanallah " kahe chahe mamooli utaar ho ,to Sunnat ke Sawab Kï tawaqqo he ,

❉ 7- Jis Shehar ( City ) ya Gaanv me Jane ka iraada ho Jab usme Dakhil hone lage to to Teen baar ye Dua padhe ,:-

  ⚀•RєԲ :-Mirqaat ,5/339

➧ " Allahumma Baarik lana feehaa,"

➧ Fir ye Dua padhe ,

" Allahummarzuqna janaa Haa wa Habbibna ilaa Ahlihaa wa Habbib Saalihi Ahlihaa ilaynaa ,"

  ⚀•RєԲ :- Mirqaat ,5/339 Hisne haseen ,

❉ 9 - Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k Jab safar Kï zarurat poori ho jaye to Apne ghar laut aaye ,Safar me Theharna Achchha nahi ,

  ⚀•RєԲ :- Hisne Haseen ,284

➧ 10 - Door daraaz ke safar se bahut dino baad zyada Raat gaye agar ghar aaye to usi waqt ghar me na jaye balki behtar he k Subeh makaan me jaye ,

  ⚀•RєԲ :- Bukhari ,1/421

➧ Albatta agar ghar walo ko der se aane Kï khabar ho aur unko tumhar intezar bhi ho to usi waqt ghar me Dakhil hone me koi harj nahi ,

❉ 11 - Safar me Kutta aur Ghungru saath rakhne Kï muma'anat aayi he ,kyuki inki Vajah se Shaitaan pichhe lag jata he aur Safar Kï Barkat Jati rehti he ,

  ⚀•RєԲ :- Mishkaat ,2/339 Muslim ,2/202

➧ 12 - Safar se laut kar aane wale ke liye ye Masnoon he k ghar me Dakhil hone se pehle Masjid me Jaa kar do raka'at Namaz padhe ,

  ⚀•RєԲ :- Mishkaat ,2/339 Muslim ,1/248

❉ 13 - Jab Safar se waapas aaye to ye Dua padhe,:-

➧ " Aa'iboona Taa'iboona Aabidoona Li rabbina Haamidoona ,"

  ⚀•RєԲ :- Muslim ,1/248 Tirmizi ,2/182

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

📚 Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,46

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔              ╭─━═☜█✼✦✼ █☞═━─╮ 
              ⊙Join Group ⊙
           ✧ Haqq Ka Daayi ✧

          ╰─━═☜█❈✦❈ █☞═━─╯
ُُ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ━═─────────────────═━

Post a Comment

 
Top