
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
●═══════════════════════●
❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈
●═══════════════════════●
☞ So Kar Uthne Kï Sunnate'n,
█ ℘αят - 01 █
❉ 1- Neend se Uthte hi Dono Haatho se Chehra aur Aankho ko Malna taki Neend ka Khumaar door ho jaye ,
↳ ₢ Shamaa'il ,Baab maaja fi ibaadat Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam, 18
➧ 2- Subeh Jab Aankh Khule to ye Dua Padhe ,
" Alhamdu lillahillazi Ahyaana Ba'da ma Amaatana Wa ilayhin nushoor ,"
↳ ₢ Bukhari ,934 Muslim ,2/348
❉ 3- Jab So kar uthe to Miswaak kar le'n ,
↳ ₢ Musnad Ahmad ,5/475,Abu Daowd ,jild -8
➧ Wazu me dobara Miswaak Kï jaye ,So kar uth kar Miswaak karna Alhida Sunnat he,
❉ 4- Pajama ya Salwaar pehne to Dahine paanv me fir Baaye Paanv me ,Kurat ya Kameez pehne to pehle Daayi Asteen me haath daale fir Baayi me ,
↳ ₢ Bukhari, 2/870, Tirmizi ,1/307
➧ isi tarah joota pehne to pehle Daaye paanv me pehne fir Baaye me aur Jab utaare to pehle Baaye taraf ka utaare fir Baayi taraf ka ,
➧ Aur Badan Kï pehni hui har Cheez ke ( Pehanne aur ) utaarne ka yahi tareeqa masnoon he ,
❉ 5- Bartan me Haath Daalne se pehle Teen martaba haatho ko Achchhi tarah dho le'n ,
↳ ₢ Tirmizi ,1/13
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
📚 Pyare Nabi Kï Pyari Sunaate'n ,6
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Betul Khala Aane Jane Kï Sunnate'n,
█ ℘αят - 02 █
❉ 1- istanje ke liye Pani aur Dhele dono le jaye,Teen Dhele ya Patthar ho to mustahab he, Baaz ulma Kiraam ne toilet paper istemal karne ka mashwara diya he taki flush kharab na ho ,
↳ ₢ Muslim ,1/123 ,Tirmizi ,1/7, Ibne maaja ,26
➧ 2- Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Sar dhaank kar aur Joota pehan kar Betul Khala Tashreef le jate the ,
↳ ₢ Kanzul Ummal ,7/20 ibne Sa'ad ,1/29
❉ 3 - Betul Khala me Dakhil hone se pehle ye Dua Padhe ,
➧ " Bismillahi Allahumma inni A'uzubika Minal Khubusi Wal Khaba'isi ,""
↳ ₢ Bukhari, Muslim ,Tirmizi, Ibne maaja
❉ 4- Betul Khala me Dakhil hote waqt Baaya Qadam rakhe ,
↳ ₢ Ibne maaja ,Alaykum bisunnati ,11
➧ 5- Jab Badan Nanga ho to Asaani ke saath Jitna nicha hokar Khol sake utna hi behtar he ,
↳ ₢ Tirmizi, 1/10 , Abu Daowd, 1/6 Mishkaat, 1/42
➧ 6- Betul Khala se nikalte waqt Dahina Payr Bahar nikaale aur Bahar aa kar ye Dua padhe ,
➧ " Gufranaka Alhamdulillahillazi Azhaba annil azaa Wa Aafaani ,"
↳ ₢ Ibne maaja ,
❉ 7- Betul Khala Jane se pehle Anguthi ya Kisi Cheez per Quran Sharif Kï Aayat ya Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka Mubarak Naam likha ho aur Wo dikhayi deta ho to usko utaar kar baahar hi chhor de , Taveez jisko momjaama kiya gaya ho ya Kapde me see liya ho usko pehan kar Jana jaa'iz he ,
↳ ₢ Nasa'i ,1/289, Abu Daowd ,1/4 ,Ibne maaja
❉ 8- Rafa Haajat ke Waqt Qibla Kï taraf na chehra kare aur na us taraf peeth kare ,
↳ ₢ Mishkaat ,1/22 Tirmizi ,1/8 Ibne maaja ,Bukhari
➧ 9- Rafa Haajat karte waqt bila zarurate Shadeed Kalaam na kare ,Isi tarah Allah ta'ala ka Zikr bhi na kare ,
↳ ₢ Abu Daowd ,1/3 Mishkaat, 1/43
❉ 10- Peshab Pakhane ke Chheento se Bahut bache Kyuki aksar Azabe Qabro peshab ke Chheento se na bachne se hota he ,
↳ ₢ Bukhari , Ibne maaja ,29
➧ 11- Peshab karte waqt ya istanja karte waqt uzv khaas ko daaya haath na lagaye balki baaya haath lagaye ,
↳ ₢ Bukhari 1/27, Abu Daowd 1/5 ,
❉ 12- Baaz Jagah Betul Khala nahi hota us Waqt esi Aad Kï jagah me Rafa Haajat karna chahiye jaha kisi doosre Aadmi Kï nigaah na pade ,
↳ ₢ Ibne maaja, Abu Daowd 1/12,
➧ 13- Peshab karne ke liye Naram Jagah Talash kare taki Chheente na ude aur zameen Jazb karti jaye ,
↳ ₢ Tirmizi, 1/12, Abu Daowd 1/2
❉ 14- Beth kar Peshab kare Khade ho kar Peshab na kare ,
↳ ₢ Tirmizi ,1/9
➧ 15- Peshab karne ke baad sukhana ho to diwaar vagera Kï aad me sukhana chahiye,
↳ ₢ Shaami ,1/337
❥═┄ ʀεғεʀεηcε
📚 Pyare Nabi Kï pyari Sunnate -9 ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Masjid Me Dakhil hone aur Bahar nikalne Kï Sunnate,
█ ℘αят - 03 █
☞ Masjid Me Dakhil Hone Kï Sunnate,
❉ 1- Daahina Payr Masjid me Dakhil karna ,
↳ ₢ Bukhari 1/61, Abu Daowd 2/339
➧ 2- Bismillah Padhna ,
↳ ₢ Ibne maaja 56
❉ 3- Darood Sharif Padhna ,
➧ " Assalatu Wassalamu Alaa Rasulillah ,"
↳ ₢ Ibne maaja 56 ,Tirmizi 1/71 ,Mishkaat 1/70 ,Faizul Qadeer 1/432
❉ 4- Dua Padhna ,
➧ " Allahum Mafta'ali Abwaaba Rahmatika ,"
↳ ₢ Ibne maaja ,56
❉ 5- Aitkaaf Kï niyat karna ,
↳ ₢ Shaami ,2/435
█☞ Wazu Sunnat ke mutabiq Ghar per Karna chahiye aur Sunnate Ghar per Padh kar Jana chahiye ,Moqa na ho to Masjid me Padhna ,
↳ ₢ Mirqaat ,2/390-404
☞ Masjid Se Bahar Nikalne Kï Sunnate,
❉ 1- Baaya payr Masjid se baahar nikaalna ,
↳ ₢ Bukhari 1/61,
➧ 2- Bismillah Padhna,
↳ ₢ Ibne maaja ,56
❉ 3- Darood Sharif Padhna,
➧ " Assalatu Wassalamu Alaa Rasulillah ,"
↳ ₢ Ibne maaja ,56 Tirmizi ,1/70 ,Mishkaat ,1/70
❉ 4- Dua Padhna,
➧ " Allahumma inni min Fazlika ,"
↳ ₢ Ibne maaja ,56 Mishkaat ,1/67
❥═┄ ʀεғεʀεηcε
📚 Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate, 13
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Wazu Kï Sunnate ,
█ ℘αят - 04 █
❉ 1- Wazu Kï Niyat karna ,Maslan ye k mai Namaz ke mubah hone liye Wazu karta hu'n,
↳ ₢ Nasa'i ,1/24
➧ 2 - "_Bismillahir Rahmaanir Raheem '" Padh kar Wazu karna ,
↳ ₢ Majmua Azzawa'id ,1/513 Amalul Yom Wal layl ,42
❉ 3 - Dono Haatho ko Pahuncho tak Dhona ,
↳ ₢ Abu Daowd ,1/15
➧ 4 - Miswaak Karna agar Miswaak na ho to Ungli se Daanto ko malna ,
↳ ₢ Miraaqi ,1/105-106
➧ Miswaak Pakadne ka masnoon tareeqa Jo Hazrat Abdullah Ibne Masoud Raziyallahu Anhu se Marvi he k Daahine Haath Kï Chhungliya Miswaak ke niche Rakhe aur Angutha Miswaak ke oupri sire ke niche rakhe aur Baqi Ungliya Miswaak ke ouper rakhe ,
↳ ₢ Shaami ,1/85
❉ 5 - Teen baar Kulli karna ,
↳ ₢ Abu Daowd ,1/14
➧ 6 - Teen baar Naak me paani daalna aur Teen baar Naak Chhinakna ,
↳ ₢ Abu Daowd ,1/15
❉ 7 - Kullli aur Naak me paani Chadhane me mubalga karna agar Roza na ho ,
↳ ₢ Abu Daowd ,1/19
➧ 8 - Har Uzv ( Part ) ko Teen baar dhona ,
↳ ₢ Bukhari 1/27-28
❉ 9 - Chehra Dhote waqt Daadi ka Khilaal karna ,
↳ ₢ Abu Daowd ,1/19
➧ 10 - Haatho aur Payro ko dhote waqt Ungliyo ka Khilaal karna ,
↳ ₢ Abu Daowd ,1/19
❉ 11- Ek baar tamaam Sar ka Masah karna ,
↳ ₢ Shaami ,1/243
➧ 12 - Sar ke Masah ke saath Kaano ka Masah karna ,
↳ ₢ Nasa'i ,1/29 ,Shaami 1/243
❉ 13 - A'aza e Wazu ( Wazu ke Parts ) ko mal mal kar dhona ,
↳ ₢ Miraaqi ,112
➧14 - Pe dar Pe Wazu karna ,
↳ ₢ Miraaqi ,113
❉ 15 - Tarteeb se Wazu karna ,
↳ ₢ Hidaya ,1/23
➧ 16 - Daahini taraf se pehle dhona ,
↳ ₢ Bukhari ,1/29
❉ 17- Sar ke Agle hisse se Masah shuru karna ,
↳ ₢ Bukhari ,1/31
➧ 18- Gardan ka Masah karna ,halaq ka Masah na kare ye Bid'at he ,
↳ ₢ Miraaqi ,1/115
❉ 19 - Wazu ke baad Kalma e Shahadat Padh kar ye Dua padhe ,
➧ " Allahummaj Alni minat Tawwabeena Waj Alni minal mutahireena ,""
↳ ₢ Tirmizi ,1/18
❥═┄ ʀεғεʀεηcε
📚 Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,14
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Gusl Karne Ka Masnoon Tareeqa,
█ ℘αят - 05 █
❉ Pehle Dono haath gatto tak dhona ,
➧ Fir istanje Kï jagah dhona ,Chahe najasat lagi ho ya na lagi ho har haal me Haath aur istanje ko dhona Chahiye ,
( Aur istanje Kï jagah dhone se matlab ye he k Chhota aur Bada dono istanje ki jagah dhona )
❉ Fir Badan per kisi jagah Napaaki lagi ho to usko Paak karna ,
➧ Fir Masnoon Tareeqe per Wazu karna ,
❉ Wazu ke baad Teen martaba Sar per paani daale ,( itna paani daale k Sar se paanv tak Saare Badan per beh jaye ) aur Badan ko Haatho se malna taki Badan ka koi hissa khushk na rehne paye , agar Baal barabar bhi Khushk reh gayi to Gusl na hoga ,
➧ Fir Waha se hat kar Paak jagah per aa kar paanv dhona lekin agar Wazu ke waqt payr dho liye ho to ab dhone Kï zarurat nahi ,
❉ Gusl ke baad Badan ko Kapde se Pochhna bhi saabit he aur na pochhna bhi ,lihaza dono me se Jo soorat bhi Akhtyar Kï jaye Sunnat hone Kï niyat kar liya Kijiye ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε
📚 Bahishti Zever ,Shaami 1/97-157-159 Nasa'i ,1/31,Tirmizi 1/18 Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,14
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Juma Kï Sunnate'n,
█ ℘αят - 06 █
❉ 1- Gusl karna ,
↳ ₢ Bukhari ,1/120
➧ 2 - Achche Aur Saaf Kapde Pehanna ,
↳ ₢ Abu Daowd ,1/154
❉ 3 - Masjid me Jaldi Jane Kï fikr karna ,
↳ ₢ Tirmizi, 1/112 Ibne maaja, 1/76
➧ 4 - Masjid Paidal Jana ,
↳ ₢ Ibne maaja, 1/56
❉ 5 - imaam ke qareeb bethne Kï koshish karna ,
↳ ₢ Ibne maaja ,76 Tirmizi ,1/111
➧ 6 - Agar Safe pur ho to logo Kï gardane faand kar Aage na badhna ,
↳ ₢ Abu Daowd ,1/159 Tirmizi ,1/111
❉ 7 - Koi fizool kaam na karna Yani maslan Apne kapdo se ya Baalo se lahu v lahab ( khel ) na karna ,
↳ ₢ Ibne maaja, 78
➧ 8 - Khutba ko gor se Sunna ,
↳ ₢ Tirmizi 1/ 114 ,Ibne maaja 78
❉ 9 - Juma ke Din Jo Surah Kahaf padhega uske liye Arsh ke niche se Asmaan ke barabar buland ek Noor zaahir hoga Jo Qayamat ke andhere me uske kaam aayega aur is Juma se Pehle Juma tak ke tamaam Gunaah ( Sagira ) uske maaf ho jayenge ,
↳ ₢ Bahishti Zever ,Ibne kaseer ,122 Targeeb v Tarheeb 1/353
➧ 10 - Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k Juma ke Din mujh per Kasrat se Darood bheja karo k Darood mere huzoor pesh kiya jata he ,
↳ ₢ Ibne maaja, 76
❉ 11 - Juma ke Din Baalo me Tel Lagana aur Khushbu ya itr ka istemal karna Masnoon he ,
↳ ₢ Bukhari ,1/121
❥═┄ ʀεғεʀεηcε
📚 Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,31
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Khane Kï Sunnate'n,
█ ℘αят - 07 █
❉ 1 - Dastarkhwan bichhana ,
↳ ₢ Bukhari ,2/818
➧ 2- Dono haath gatto tak dhona ,
↳ ₢ Bukhari ,2/ 809 Muslim, 2/172
❉ 3-" Bismillah " Padhna buland awaaz se ,
↳ ₢ Bukhari ,2/810
➧ 4 - Daahine Haath se khana ,
↳ ₢ Muslim ,2/172
❉ 5 - Khane Kï Majlis me Jo Shakhs sabse zyada buzurg aur bada ho usse khana shuru karana ,
↳ ₢ Muslim ,2/171
➧ 6 - Khana ek qism ka ho to Apne saamne se khana ,
↳ ₢ Bukhari ,2/810
❉ 7 - Tek lagakar na khana ,
↳ ₢ Bukhari ,2/812
➧ 8 - Khane me koi aib na nikaalna ,
↳ ₢ Bukhari ,2/814 ,Muslim 2/187
❉ 9 - Agar koi luqma gir jaye to utha kar saaf karke kha Lena ,
↳ ₢ Muslim ,2/175
➧ 10 - Joota utaar kar khana khana ,
↳ ₢ Mishkaat ,2/367
❉ 11 - Khane ke waqt ukdu bethna k Dono ghutne khade ho aur sureen Zameen per ho , ya ek ghutna khada ho aur doosre ghutne ko bichha kar us per us per bethe ,Ya dono ghutne zameen per bichha kar qaayde Kï tarah Bethe aur aage Kï taraf Zara jhuk kar Bethe ,
↳ ₢ Mirqaat ,8/102 Sharah Muslim 2/180
➧ 12- Khane ke Bartan ,Pyala v Plate ko saaf kar Lena ,Fir Bartan uske liye Dua e Magfirat karta he ,
↳ ₢ Ibne maaja 235 ,
❉ 13 - Khane ke Baad ungliyo'n ko Chaatna ,
↳ ₢ Muslim ,2/175
➧ 14 - Khane ke Baad Dua Padhna ,
➧ " Alhamdu lillahillazi At'amana wa Saqaana wa Jamal and Muslimeen ,"
↳ ₢ Tirmizi,2/184 Abu Daowd, 2/182 Ibne maaja,236
❉ 15 - Pehle dastarkhwan uthana fir khud uthna ,
↳ ₢ Ibne maaja ,237
➧ 16 - Dono haath dhona ,
↳ ₢ Tirmizi ,2/6 Abu Daowd ,2/182
❉ 17 - Kulli karna ,
↳ ₢ Bukhari ,2/820
➧ 18 - Agar Shuru me "_Bismillah " Padhna bhool jaye to yu'n padhe ,
_" Bismillahi Avvalahu wa Aakhirahu ,"
↳ ₢ Tirmizi ,2/7 Abu Daowd ,2/173
❉ 19 - Jab kisi Kï Dawat Khaye to Maizban ko ye Dua de ,:-
➧ _ " Allahumma At'im Man at'amani wasqi man Saqaani ,"
↳ ₢ Muslim ,2/180
❉ 20 - Sirka istemal karna Sunnat he ,Jis ghar me Sirka mojood he Wo ghar Saalan ka mohtaaj nahi samjha ja sakta ,
↳ ₢ Ibne maaja ,238
➧ 21 - Khalis gandum agar koi istemal karta he to use chahiye k usme kuchh Jo bhi mila le chahe thodi miqdaar me ho taki Sunnat per Amal ka sawab haasil ho jaye ,
↳ ₢ Jaamia Sageer ,2/979
❉ 22 - Gosht khana Sunnat he ,Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ka farman he k Duniya aur Akhirat me khano ka sardaar Gosht he ,
↳ ₢ Tabrani ,8/ 232
➧ 23 - Apne musalman bhai Kï Dawat qubool karna sunnat he, Albatta agar ( zyada Aamdani ) Sood ya Rishwat ( Kisi bhi haraam kamai ) ki ho ya badkaari me mubtila ho to uski Dawat qubool nahi karna chahiye ,
↳ ₢ Abu Daowd ,2/169
❉ 24 - Mayyat ke Rishtedaro Yani Mayyat ke ghar ke logo ko Khana dena Masnoon he,
↳ ₢ Muslim ,2/172
❥═┄ ʀεғεʀεηcε
📚 Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,14
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Paani Pine Kï Sunnate ,
█ ℘αят - 08 █
❉ 1 - Daaye haath se Pina ,Kyuki Baaye haath se Shaitan pita he ,
↳ ₢ Muslim ,2/176
➧ 2 - Paani pine se pehle agar khade ho to beth Jana Khade ho kar pina mana he ,
↳ ₢ Muslim, 2/173
❉ 3 - " Bismillah " keh kar Pina aur pine ke baad ," Alhamdulillah " kehna ,
↳ ₢ Tirmizi 2/10,Mishkaat 2/371
➧ 4 - Teen saans me pina aur Saans lete waqt Bartan ko moonh se alag Karna ,
↳ ₢ Muslim ,2/174 Tirmizi ,2/10
❉ 5 - Bartan ke toote hue kinaare Kï taraf se na pina ,
↳ ₢ Abu Daowd, 2/167
➧ 6 - Mashak se moonh laga kar paani na piye ya Koi bhi esa Bartan jisse dafatan paani zyada aa jane ka ahatmal ho ya ye andesha ho k isme koi Saanp ya Bichchhu aa jaye ,
↳ ₢ Bukhari ,2/841 Muslim 2/173
❉ 7 - Paani pi kar agar doosre ko dena he to pehle Daahine wale ko de aur fir usi tarteeb se daur khatm ho ,iski tarah Chaay ya Sharbat bhi pesh kare ,
↳ ₢ Bukhari 2/840 Muslim 2/174
➧ 8 - Doodh pine ke baad ye Dua padhe ,:-
➧ " Allahumma Baarik Lana fihi wa zidna minhu ,"
↳ ₢ Abu Daowd ,2/168 Tirmizi ,2/183
❉ 9 - Pilane wale ko Aakhir me pina ,
↳ ₢ Tirmizi ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε
📚 Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,37
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Libaas Kï Sunnate'n,
█ ℘αят - 09 █
❉ 1- Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko Safed Rang ka kapda passand tha ,
↳ ₢ Shama'il Tirmizi, 5 Ibne maaja 255
➧ 2- Qameez ,Kurta vagera pehne to pehle Daaya haath Aasteen me daale ,fir Baaya haath ,isi tarah pajama aur Salwaar ke liye pehle Daaya paanv fir Baaya paanv ,
↳ ₢ Tirmizi, 1/306
❉ 3- Pajama ,Salwaar ya Lungi takhne se ounchi rakhe ,Takhne se niche latkane se Allah Ta'ala naraaz hote he'n ,
↳ ₢ Bukhari ,2/861 Muslim ,2/194
➧ 4- Naya Kapda pehan kar ye Dua padhe,:-
➧ " Alhamdu lillahillazi kasaani haazasavba wa razakaniihi min gayri havlim minni wala quwwatin ,"
↳ ₢ Abu Daowd, 2/202
❉ 5- Amaama ke niche Topi rakhna ,
↳ ₢ Mirqaat ,8/215
➧ 6- Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko Kurta bahut pasand tha ,
↳ ₢ Tirmizi ,1/306 Abu Daowd 2/202 ,Ibne maaja 255-256
❉ 7- Syaah saafa baandhna Masnoon he ,Shamla chhorna bhi Masnoon he ,
↳ ₢ Nisaa'i ,2/299
➧ 8- Topi Pehanna Sunnat he ,
↳ ₢ Mirqaat ,8/215
❉ 9- Qameez ya Kurta vagera utaarna ho to pehle Baaya haath Aasteen se nikaale fir Daaya haath ,isi tarah Salwaar aur Pajama utaarte waqt pehle Baaya payr bahar nikaale fir Daaya ,
↳ ₢ Tirmizi 1/306 ,Mishkaat 2/374
➧ 10- Joota Pehle Daaye paanv me pehne fir Baaye paanv me ,
↳ ₢ Bukhari ,2/879 Muslim ,2/197
❉ 11- Utaarte waqt Pehle Baaye paanv se utaare fir Daaye paanv se ,
↳ ₢ Bukhari 2/870 ,Muslim 2/197,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε
📚 Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,40
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Baalo Kï Sunnate'n,
█ ℘αят - 10 █
❉ 1- Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke Sar Mubarak ke Baalo Kï lambaai Kaano ke darmiyan tak aur doosri rivayat ke mutabiq Kaano tak aur ek aur Rivayat ke mutabiq Kaano Kï Lo tak thi ,unke qareeb tak hone Kï bhi rivayat he ,
↳ ₢ Shama'il Tirmizi ,Ganimatul Talibeen ,43-44 Mirqaat ,8/197 Bahishti Zever ,11/115
➧ 2- Poore Sar per Baal rakhna Kaano Kï Lo tak ya isse kisi qadar niche Sunnat he aur poora Sar mundwana bhi Sunnat he aur agar Katarwana chahe to poore sar ke Baal sab taraf se barabar katarwana jaa'iz he ,
➧lekin aage Kï taraf se Bade rakhna aur gardan Kï taraf chhote kara dena jisko Angrezi Baal kehte he'n Jaa'iz nahi ,
➧ isi tarah Sar ka kuchh hissa mundwa dena aur Kuchh Chhor dena bhi jaa'iz nahi , Allah Ta'ala har musalman ko isse bachaye ,
↳ ₢ Bahishti Zever ,11/115
❉ 3- Daadhi ko Badhane aur Moonchho ko kam karne ke mutalliq Ahades me Hukm waarid he ,
↳ ₢ Bukhari ,2/575 Muslim ,1/129
➧ Daadhi mundwana ya ek Musht se Kam katarwana Haraam he ,Allah Ta'ala har Musalman ko isse mehfooz rakhe ,Ek musht Daadhi rakhna Waajib he aur ek Musht Kï miqdaar Sunnat se saabit he ,
↳ ₢ Bahishti Zever ,11/115
❉ 4- Moonchho ko katarne me Mubalga karna Sunnat he ,Lambi Lambi moonchhe rakhne per hadeeso me sakht waied aayi he ,
↳ ₢ Bahishti Zever ,11/115
➧ 5- Zere Naaf ,Bagal aur Moonchho ke Baal aur Nakhoon vagera door karke saaf suthra rehna ,agar 40 din guzar jaye aur safaai na kare to gunahgar hoga ,
↳ ₢ Bukhari ,2/875
❉ 6- Baalo ko dhona ,Tel Lagana aur Kangha karna Masnoon he ,lekin zarurat na ho to beech me ek aadh din naaga kar dena chahiye ,
↳ ₢ Avjaza ul Masalik ,14/268
➧ 7- Kangha kare to pehle Daayi taraf se shuru kare ,
↳ ₢ Bukhari ,1/61 Bahishti Zever, 11/116
❉ 8- Kangha Karte hue ya Hasbe Zarurat Jab bhi Aaina dekhe to ye Dua kare ,:-
➧" Allahumma Anta Hassanta Khalqi Fa Hassin Khuluqi ,"
↳ ₢ Mishkaat ,2/381 Hisne Haseen ,346
❥═┄ ʀεғεʀεηcε
📚 Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,42
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ╭─━═☜█✼✦✼ █☞═━─╮
⊙ Talibe Dua ⊙
✧ Haqq Ka Daayi ✧
╰─━═☜█❈✦❈ █☞═━─╯
ُُ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
━═─────────────────═━
☆
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh,
ReplyDeletekya hame Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ki kitaab PDF ya kisi aur format me mil sakti hai?