❁
★
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
✺ Namaz E Juma- 1 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Juma Ki Namaz Chhodne Ka Gunah❂
◆◇◆◇◆
★ Paanch waqt Namazo ki tarah Juma ki Namaz adaa karna bhi har musalman aaqil baalig azaad mard per farz he,
★ Aur Juma azeem sha’ar -e -islam me se he,
★ Juma ki farziyat se inkaar karne se aadmi kaafir ho jata he aur bila uzr isko tark karna bada gunaah he, is per sakht wa’ied aayi he, isse aadmi faasiq balki isse badkar munafiq ke darje tak pahunch jata he
M↳® Ravaah Bayhki ,
↳® Fiqhul ibadaat, 151
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma-2 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Juma ki Namaz chhodne Ka Gunah -2❂
◆◇◆◇◆
★ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k,
→” Jo sakhsh bila uzr Juma ki Namaz chhod deta he wo esi kitaab me munafiq likha jata he Jo na kabhi mitai jati he aur na tabdeel ki jati he,”
★ Aur baaz rivayaat me ye he k Jo sakhsh 3 Juma chhod de ye wa’ied uske liye he,
M↳® Musnad, Shafa’i
↳® Fiqhul ibadaat, 151
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma-3 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Juma Ki Namaz Padhne Ka Tareeqa ❂
◆◇◆◇◆
★ Juma ki pehli azaan ke baad khutba ki azaan se pehle 4 raka’at sunnat mokada he,
★ Fir khutba ke baad Juma ki 2 raka’at farz imaam ke saath padhe ,
★ Fir 4 raka’at sunnat padhe , ye sunnate bhi mokada he,
★ Fir 2 raka’at sunnat padhe, Ye 2 raka’at bhi baaz Hazraat ke nazdeek mokada he,
M↳® Bahishti Gohar,
↳® Fiqhul ibadaat, 151
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma-4 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Juma Sahi hone ki Shart ❂
◆◇◆◇◆
★ 1- Shehar ya esa bada Qasba hona, Jiski sadke Shehar jesi ho aur usme Shehri Sahuliyaat mojood ho yani zaruriyaat zindgi muhayya ho, aur Thana, Daak khana vagera bhi mojood ho,
★ 2- Zuhar ka waqt hona,
★ 3- Khutba hona,
★ 4- Khutba ka Namaz se pehle hona,
★ 5-Jama’at yani imaam ke Siva kam se kam 3 aadmiyo ka shuru khutba se pehli raka’at ke sazde tak mojood rehna,
★ 6- Juma ki Namaz Elaan e Aam ke saath padhna yani us jagah Namaziyo ko dakhil hone se na roke,
M↳® Durre Mukhtar, 1/546
↳® Fiqhul ibadaat, 152
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma-5 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Juma Faut ho Jane ka Hukm ❂
◆◇◆◇◆
★ Agar kisi se Juma faut ho jaye to baad me 4 raka’at zuhar ki qaza padhe,
Ab uske liye akele Jume ki niyat se 2 raka’at padhna jaa’iz nahi, Ab uske zimme zuhar hi ki qaza wajib he,
M↳® Durre Mukhtar, 2/17
↳® Fiqhul ibadaat, 152
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma-6 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Jume Ki Azaan Avval ke Baad Khareed Farokht ❂
◆◇◆◇◆
★ Jab apne mohalle ki Masjid me Juma ki Azaan Avval ho jaye to khareed farokht ko foran moqoof ( postpone) kar dena laazim he,
Kyuki Azaane Avval ke baad khareed farokht Makrooh Tehrimi he,
★ Agar kisi ne Azaane Avval ke baad khareed farokht kar li ho to gunaah se bachne ke liye us maamle ( sauda ) ko khatm karna laazim he,
M↳® Durre Mukhtar, 4/147
↳® Fiqhul ibadaat, 153
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma-7 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Mimbar per Khade hokar Khutba Padhna❂
◆◇◆◇◆
★ Mimbar per khade hokar khutba padhna sunnat he
★ Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam aur Khulfa e Rashedeen Raziyallahu Anhum ka yahi mamool tha,
M↳® Durre Mukhtar, 2/161
↳® Fiqhul ibadaat, 153
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma-7 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Khutba ke Doraan Mamnu’a Cheeze ❂
◆◇◆◇◆
★ Jab khutba shuru ho jaye to tamaam Hazireen ke liye uska ( khutba ) sunna wajib he, Chahe imaam ke nazdeek bethe ho ya door,
★ Koi esa Kaam Jo khutba sunne me khalal daale Makrooh Tehrimi he,
Maslan – Khana, Pina, Baat cheet Karna, Chalna Firna, Salaam karna, ya Jawab dena, Tasbeeh padhna, Kisi ko shara’i masla batana,,,, Jese Namaz ki haalat me mamnu’a he’n wese hi Khutba ke waqt bhi mamnu’a he’n,
Albatta Khateeb ke liye jaa’iz he Khutba padhne ki haalat me kisi ko shara’i masla batane ki zarurat mehsoos kare to bata sakta he,
M↳® Ba-Hawala Shaami, 1/111
↳® Fiqhul ibadaat, 153
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma -8 ✺
✯————————————
❂ Khutba Ke Baaz Aham Masail ❂
◆◇◆◇◆
★ Khutbe ke darmiyan kisi khas haalat me bethna masnoon nahi, jis tarah sahulat ho Beth jaye magar imam ki taraf mutawajjah rahe, or khutba Gor se sune,
⇨ Logo ne ye Jo dastoor bana rakha he k pehle khutbe me namaz ki tarah haath baandhe, or Doosre khutbe me Qa’ade ki tarah ghutno per haath rakhe, Shariyat me iski koi asal nahi,,,,
★ Khutbe ke darmiyan namaz padna bhi jaa’iz nahi,
★ Khutbe ke darmiyan buland awaz se Darood Sharif bhi padna jaa’iz nahi,, Balki Apne dil hi me pade,
★ Khutbe ki Azan ka jawab bhi dil hi me de, ba- awaaz nahi,
★ Khutbe ke darmiyan baat -cheet karna, hansna, janamaz se ya or kisi cheez se khelna najaa’iz or haraam he,
★ Juma sirf Shehar, Bade kasbo ki hudood ke andar hi jaa’iz he,
★ IMAM Abu Haifa R A ke nazdeek chhoti basti me juma jaa’iz nahi aur Jo padhte he’n wo. log Zuhar ki namaz bhi chhodne wale gunahgar samjhe ja’enge aur iska bawal sar per rahega,
⇨ Aur Jo ye kaha jata he k Jaha’n Juma. shuru ho waha’n band na kiya jaye,
iska matlab ye he k masla samjha diya jaye uske bavjood nahi maante, to wo apne amal ke khud zimmedar honge, magar chhoti basti me juma padhna kisi haal me bhi jaa’iz nahi aur Jo shari’at ke masle ke khilaf Jume me imamat kar raha he, wo bhi kam gunahgar nahi,,
★ Jume se pehle aur baad ki Sunnate -Sunnate juma hi kehlati he’n isliye. sunnate juma hi ki niyat kare zuhar ki nahi,
↳®.Aapke Masail aur unka Hal, 2/405
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
❂ Jumatul Vidaa ❂
◆◇◆◇◆
★ ” Jumatul Vida ” yani Ramzanul Mubarak ka akhri juma,
→ Hadees shareef me iski koi khushoosi fazilat zikr nahi ki gayi he,,
→ Jese Ramzan ul Mubarak ke doosre Jume he’n , ese hi Akhri Juma bhi he,
★ Fuqha ne Akhri Juma ” Juma tul Vida” me Firaak or Vida ke Mazameen ko makrooh likha he,,,
↳®Aapke Masail aur Unka Hal,2/413
⊙Talibe Dua⊙
ⓖ Haqq Ka Daayi, •─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
🌹🍀🌹
Post a Comment