1

★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★

✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡

✺Musafir Ki Namaz-1✺

✯————————————

★Bahut se log Jab apne ghar, mohalle me mojood hote he’n to Namazo ka ahatmam karte he’n,Azkaar Tilawat aur Nawafil ka ahatmam karte he’n . Unko doosri jagah koi kaam pesh aa jaye, ya safar me nikalna pade, Safar door ka ho ya qareeb ka apni Namazo se gafil ho jate he’n, Bila vajah Namaze qaza kar lete he’n, k jab Safar se wapas ghar pahunchenge to padh lenge,

⇨Ye badi gaflat ki baat he aur bada gunaah bhi he, Jab tak koi shara’i uzr laahaq na ho Namaz aur digar ahkaam me susti karna bada gunaah he, Mard – Khwateen Sabko iska dhyan rakhna chahiye,
✯——————————————

❂ Aadmi Shar’an Musafir kab banta he ❂
◆◇◆◇◆

★Jo sakhsh 48 meal – ya 77.24 Kilometers ya isse door Jane ki niyat se apni aabadi ya Shehar ki hudood se bahar nikal jaye to usko Shara’i musafir kaha jata he, Uske liye Shari’at me kai ahkaam me takhfeef farmai he,

M↳® Makhuzaaz- Ahsanul Fatawa, Bahishti Zever, 2/108

◆◇◆◇◆

★Jis Raaste per Safar kiya Ja’ega uska etbaar he, Agar wo 48 meal (ya 77.25 kilometers ) ho to qasar laazim he, Chahe doosra raasta isse kam musafat ka ho,

↳®Aapke Masail aur unka Hal, 2/380

❂ Dorane Safar Namaz ka Hukm❂

◆◇◆◇◆

★ Jo sakhsh Shara’i musafir ho wo Zuhar, Asr aur isha ki farz Namaze 2 raka’ate padhe,

★ Agar kisi ne dorane safar in Namazo ko 4 raka’at padh li to gunahgar hoga,

★ Agar kisi ne dorane safar 4 raka’at wali farz Namazo ko bhoole se 2 raka’at ki bajae puri 4 padh li, agar doosri raka’at me attahiyaat padhi he tab to 2 raka’ate farz aur 2 raka’ate nifl ho ja’egi

★ Aur agar Sajda sahu karna pade aur Sajda sahu nahi kiya ya 2 raka’at per bethkar attahiyaat na padhi dono haalat me 4 raka’ate nifl ho gayi, Ab Farz Namaz dobara padhe,

↳ ® Sharah Tanveer, 1/828
↳®Fiqhul ibadaat, 147

✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

❂ Dorane Safar Qaza Namazo ka Hukm ❂

◆◇◆◇◆

★ Agar kisi ki Namaze safar me qaza ho gayi to ghar pahunch kar safar ki qaza Namaze 2 raka’ate hi qaza padhega,

★ Agar kisi ki. Namaze ghar me Qaza ho gayi ho to woh safar ke doran qaza padhna chahe to puri 4 raka’ate padhe,

↳® Sharah Bidaya, 1/150

↳®Fiqhul ibadaat, 147

✯————————————

❂ Haalate Safar me Sunnato ka Hukm❂

◆◇◆◇◆

★ Jaldi ki haalat me Sunnat Fajar ki Sunnato ke Siva doosri sunnato ko chhodna jaa’iz he,

★ Koi jaldi na ho, Saathiyo se bichhadne ka Dar na ho, Ya Gaadi chhootne ka khof na ho balki itminaan ki haalat ho to Sunnat Mokadah padhna zaruri he,

★ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Safar me Sunnate padhna saabit he,

↳ ® Fatawa Hindiya, 1/89

↳®Fiqhul ibadaat, 148

✯————————————

❂ Haalate Safar me Sunnato ka Hukm❂

◆◇◆◇◆

★ Jaldi ki haalat me Sunnat Fajar ki Sunnato ke Siva doosri sunnato ko chhodna jaa’iz he,

★ Koi jaldi na ho, Saathiyo se bichhadne ka Dar na ho, Ya Gaadi chhootne ka khof na ho balki itminaan ki haalat ho to Sunnat Mokadah padhna zaruri he,

★ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Safar me Sunnate padhna saabit he,

↳ ® Fatawa Hindiya, 1/89
↳®Fiqhul ibadaat, 148

✯——————————————

❂ Aqamat Ki Niyat ❂

◆◇◆◇◆

★ Agar Musafir ne kisi maqaam per 15 din ya usse zyada theharne ki niyat ki to woh Namaze puri padhega,

★ Ya isi tarah waapsi per Shehar / Gaanv ki hudood me dakhil hote hi Namaze puri padhna laazim he,

M↳® Sharah Bidaya, 1/129

↳®Fiqhul ibadaat, 148

★ Safar se wapsi per jab musafir apne shehar ki hudood me dakhil ho jaye to safar ki namaz khatam ho jati he, hudoode shehar me dakhil hone ke baad puri namaz padna lazim he,

★ Jis Raaste per safar kiya jaye qasar namaz ke liye uska etbaar hoga or 48 meal per qasar karega, chahe doosra raasta isse kam musafat ka ho, ( Train, or Bus me bhi ye fark lazim pesh aata he)

★ Jis Shehar, kasba, Gaanv me insaan ki jaydaad v makan na ho wo watan asli nahi he, waha per musafir mana ja’ega or qasar ki shara’it lagu honge,

★ Kisi shehar, kasba, Gaanv me kiraye ka makan le rakha he to waha muqeem kehlayega or puri namaz Ada karega, 15 din ya usse zyada rehne ki niyat zaruri nahi,

↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 384

★ Musafir agar kisi shehar me 15 din ya usse zyada rehne KI niyat kare to puri namaz Ada. karega, agar 15 din se kam rehne ki niyat he to qasar karega,

★ Aurat ki shadi ke baad Rukhsati ho chuki ho or wo apne mayke milne ke liye aati he to waha musafir hogi, Agar 15 din ya usse zyada rehne ki niyat he to puri namaz pade or 15 din se kam rehne ki niyat he to qasar padegi,

★ Hostel ya Madarsa me jab tak Aap Talibe ilm ki haisiyat se waha muqeem he’n , waha puri namaz pade,

⇨ Agar waha ek baar bhi 15 din ya isse Zyada kayaam nahi kiya to Aap waha musafir hai,,

★ Talibe ilm har haal me apne ghar per poori namaz Ada karega, chahe ek ghante ke liye gaya ho,

★ Agar musafir imaam he to 4 Raka’at Namaz me 2 rakaat per salam fer dega, or Muqtadi agar muqeem he to salam nahi ferenge balki uthkar apni baqi namaz puri kar lenge,,

★ Agar musafir muqeem imam ke pichhe bajamaat Namaz Ada karta he to puri namaz Ada karega,,

↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 384

❂Driver Hamesha Safar me Qasr Padhe ❂

◆◇◆◇◆

★Truk, Rail aur Bus chalane wale log chuki hamesha safar hi me hote he’n, isliye jab tak ye log Safar me he’n qasr he padhte rahenge,

★ Haa’n Jab kabhi apne ghar me jaye ya Aqamat ( 15 din ya isse zyada kayaam ki niyat) me aa jaye to puri namaz padhenge,

↳ ®Sharah At-Tanveer, 1/833 Ahsanul Fatawa, 4/88

↳®Fiqhul ibadaat, 149

✯————————————

❂ Hawai Jahaaz Me Namaz ❂

◆◇◆◇◆

★ Ba waqt parvaaz Hawai Jahaaz me Namaz Chalte hue. Paani ke Jahaaz ki tarah he, Yani usme ba vajah Namaz jaa’iz he,

★ Agar zameen per utarne tak Namaz qaza ho Jane ka khatra ho to Jahaaz ke ouper hi Namaz padh li jaye, Utarne ka intezar na kiya jaye,

M↳® Ahsanul Fatawa, 4/89

↳®Fiqhul ibadaat, 149

✯————————————

❂ Rail aur Bus me Namaz ❂

◆◇◆◇◆

★Jo log Rail ya Bus me safar karte he’n, Wo koshish kare ki Stop ya Station aane per zameen per utarkar Namaz adaa kare, lekin Driver Bus na roke aur Stop aane ya station tak pahunchne me Namaz ka waqt nikal Jane ka khatra ho to Rail or Bus me Khade hokar qibla rukh hokar Namaz padhe,

★ Agar girne ka khatra ho to kisi cheez se Tek lagakar ya haath se koi cheez pakadkar khade ho,

★ Agar qibla rukh hone ki gunzaish na ho to 2 nashisto (Seato) ya gailry ke darmiyan qibla rukh khade hokar qayaam ruku ka farz Ada kare aur Sajde ke liye pichhli nashist ( seat) per Kursi ki tarah beth jaye yani paanv niche hi rahe, aur Saamne ki nashist ( seat) per Sajda kare,

★ Agar kisi vajah se qayaam ya istaqbale qibla ka Farz Ada na ho sake to us waqt jese bhi mumkin ho Namaz padh le, magar baad me esi Namaz ka ahata (lota le) kare,

M↳® Ahsanul Fatawa, 4/88

↳®Fiqhul ibadaat, 150

✯————————————

❂ Dorane Safar Azaan ka Hukm❂

◆◇◆◇◆

★ Dorane Safar agar sab saathi ek saath hi ek jagah per mojood ho to Namaz ke liye Azaan kehna mustahab he aur aqamat sunnate mokada he, Safar me Tanha Namaz padhne ka bhi yahi hukm he,

★ Rail ke dibbe me chunki sab log ek saath hi hote he’n isliye usme chahe ba jama’at Namaz ho ya tanha, dono soorto me Azaan mustahab he aur aqamat sunnate mokada he,

★Chalti Rail me ek dibbe ke musafir ka doosre dibbe ke musafir se koi talluq nahi, isliye har dibbe me Azaan, Aqamat mustakil hogi, agarche doosre dibbe se Azaan ki awaaz pahunch chuki ho,

M↳® Ahsanul Fatawa, 2/294

↳®Fiqhul ibadaat, 150

✯————————————

❂ DUA ki Ahmiyat ❂

◆◇◆◇◆

★” Dua momin ka hathiyar he, Deen ka sutoon he aur Aasmaan v Zameen ka noor he, ”

↳ ®Musnad Abu Ya’alaa, Mustadrak Haakim,

★” Dua ibaadat ka Magz he, ”

↳® Tirmizi,

★” Dua ayn ibaadat he ”

↳ ®Musnad Ahmad, Tirmizi, Abu Dauwd,

★” Tum apne Rab se Duniya aur akhirat ki afu v aafiyat maango, kyuki jab ye dono cheeze duniya me bhi mil gayi aur akhirat me bhi to tum kamyaab ho gaye, ”

↳® Tirmizi

★” Jiske liye Dua ka darwaza khul gaya uske liye rehmat ke darwaze khul gaye, aur Allah ta’aala se jitni cheeze maangi jati he usme Allah ta’aala ko sabse zyada ye pasand he k Aadmi aafiyat maange, ”

↳® Tirmizi,

★” Allah ta’aala Raheem v kareem he jab Banda uske saamne haath faylata he to use hayaa aati he k ise khali haath lota de, ”

↳® Tirmizi, ibne maaja,

✰━═━═━═━═━═━═━

❂ Dua ki Qubuliyat ke Avqaat ❂

◆◇◆◇◆

: ★Dua to har shakhs ki qubool hoti he aur har waqt qubool hoti he ( khwah qubuliyat ki noiyat kuchh hi ho), Taham baaz Avqaat ese he’n jinme Dua ki qubuliyat ki zyada ummeed ki ja sakti he, unme se chand ye he’n: –
→1- Sajde ki haalat me,
→2- Farz namaz ke baad,
→3- Sahar ke waqt,
→4- Mozzin ki azaan ke waqt,
→5- Baraan rehmat ke nuzool ke waqt,
→6- Safar ki haalat me,
→7- Bimari ki haalat me,
→8- Zawaal ke waqt,
→9- Azaan aur Aqamat ke darmiyan,
→10- Din Raat me ek gair muayn ghadi,

★ Hadees paak me irshad he k apni zaat, apni olaad, apne mutalliqeen aur apne maal ke haq me baddua na kiya Karo, Din raat me ek ghadi esi aati he k jisme dua qubool ho jati he, esa na ho tumhari baddua bhi usi ghadi me ho aur wo qubool ho jaye, ( to fir pachtate rahoge)

↳® Sahi Muslim,

↳® Aapke Masail aur unka Hal , 2/255

✯————————————

❂ Dua ka Tareeqa ❂

◆◇◆◇◆

★Dua maangne ka sahi tareeqa ye he k pehle Allah ta’aala ki hamdo sana kare, Fir Rasulullah Sallallahu alaihivasallam per Darood Shareef padhe, Fir apne liye aur Tamaam musalman bhaiyo ke liye magfirat ki dua kare, Fir Jo kuchh Allah ta’aala se maangna chahe maange,

★Sabse bada vaseela Allah ta’aala ki Rahimi v kareemi ka waasta dena he, aur Huzurv Sallallahu Alaihivasallam aur buzurgane deen ke tufayl Allah ta’aala se maangna bhi jaa’iz he,

★ Hadees paak me he k Huzur Sallallahu Alaihivasallam fuqran muhajireen ka hawala dekar Allah ta’aala se Fatah ki dua kiya karte the,

↳® Mishkaat, 447

↳® Aapke Masail aur unka Hal , 2/271
✯————————————

❂ Dua aur Tasbihaat ❂

◆◇◆◇◆

★ Farz namaz ke baad Dua ki ahadees me targeeb v taleem di gayi he aur haath uthane ko dua ke adaab me shumar farmaya he,

★ imaam ke saath dua maangna zaruri nahi, muqtadi imaam se pehle dua maang kar ja sakta he,

★ Sunnato ke baad ijtimai Dua ke liye imaam aur muqtadiyo ka Bethe rehna aur fir milkar dua karna sahi nahi, iska ahatmam v iltzam bid’at he,

★ imaam Abu Hanifa Rh ke nazdeek dua aahista maangna chahiye,

★ Tasbeeh bid’at nahi balki zikre ilaahi ka zariya he, ( Tasbeeh haath me ho to zaban per khud ba khud zikr jari ho jata he) ,

★ Ungliyo per tasbihaat ka ginna jaa’iz hi nahi balki hadees shareef me tasbihaat ko ungliyo per ginne ka hukm aaya he,

↳® Aapke Masail aur unka Hal , 2/271

✯————————————

❂ Tasbihaate Faatmi ❂

◆◇◆◇◆

★ Tasbihaate Fatmi ↷

( 33 martaba subhanallah,
33 martaba Alhamdulillah,
aur 34 martaba Allahu Akbar )

ke hadees me bade fazail aaye he’n,

→Ye kalmaat Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne apni laadli beti Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ko sikhaye the,

★ Har namaz ke baad aur Raat ko sote waqt padhne ka ahatmam karna chahiye,

↳® Aapke Masail aur unka Hal , 2/275

✯————————————

❂ Darood Sharif ❂

◆◇◆◇◆

★ Ek majlis me pehli baar jab Huzur e Akram Sallallahu Alaihivasallam ka naam Mubarak aaye to Darood Shareef
( Sallallahu Alaihivasallam)
padhna Wajib he aur har baar naam Mubarak ke saath Darood Shareef padhna Wajib nahi balki Mustahab he, chahe ek majlis me 100 baar naam Mubarak liya jaye to har baar

“Sallallahu Alaihivasallam ”
kehna mustahab he,

★ Dua ki qubuliyat ke liye avval aakhir Darood Shareef ka hona zyada ummeed bakhsh he,

★ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ka farman he k Dua Aasman v Zameen ke darmiyan mu’allaq rehti he jab tak k uske avval v Aakhir me Darood Shareef na ho,

↳® Aapke Masail aur unka Hal , 2/275

✯————————————

❂ Ahadnama, Duae Ganjul arsh, Darood Taaj Vagera ki Shara’i Haysiyat ❂

◆◇◆◇◆

★”Wasiyat nama ” ke naam se Jo tehreer he khalis jhoot he, aur ye jhoot Taqriban ek sadi se barabar faylaya ja raha he,

★Isi tarah aaj kal” Mojzah Zenab Alaihissalam” aur ” Bibi Sayyadah ki Kahani ” bhi so jhoot ghad ghad kar faylayi ja rahi he,

⇨Kya ye Duae Quran Hadees se Sabit he’n

⇨Darood Mahi, Darood Lakhi, Dua e ganjul arsh, Duae jamila, Dua e Akasha, Ahadnama, Darood Taaj, Duae mustjaab

★ Digar Darood v Duae kisi hadees me to waarid nahi, na inki koi fazilat hi ahadees me zikr ki gayi he, Jo fazail inke shuru me darj kiye gaye he’n unko sahi samajhna hargiz jaa’iz nahi, kyuki ye khalis jhoot he aur jhooti baat Huzure Akram Sallallahu alaihivasallam ki taraf mansoob karna wabaal e azeem he,

★ Jaha tak Alfaz ka talluq he ye alfaz khuda aur Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke farmaan nahi he balki kisi shakhs ne mehnat v zahanat se inko khud tasneef kar liya he, inme se baaz alfaaz fil jumla sahi he’n aur Quran hadees ke alfaaz se musaba he’n aur baaz alfaaz qawaid shara ke lihaz se sahi bhi nahi he’n,

★ Ye kehna mushkil he k in Duao ka aur Darood ka rivaaj kese hua? Kisi sazish ke tahat ye sab kuchh hua he ya kitabo ke nasiro ne musalmano ki be ilmi se faayda uthaya he,??

⇨ Hamare Aqaabir in Duao ke bajaye Quran kareem aur Hadees Nabvi Sallallahu Alaihivasallam ke manqool alfaz ko behtar samajhte he’n aur inhi ko padhne ka mashvara dete he’n,

↳® Aapke Masail aur unka Hal ,2/ 286

✯————————————

❂ Namaz ke Baad Musafa ❂

◆◇◆◇◆

★ Namaz ke baad musafa karne ki Rasm na sunnat he, na wajib he balki bid’at he,

★ agar koi shakhs door se aaya ho aur Namaz ke baad mile to uska musafa v muanqa ( Gale milna ) karna jaa’iz he,

↳® Aapke Masail aur unka Hal ,2/ 286

✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

✺ Vitr Ki Namaz ✺

✯————————————

❂ Vitr Ki Namaz Wajib He ❂

◆◇◆◇◆

★ Vitr ki Namaz Wajib he, aur wajib ka martaba Farz ke qareeb qareeb he, Chhod dene se bada gunaah hota he,

★ Agar kabhi chhoot jaye to jab moqa mile foran uski qaza padhni chahiye,

M↳® Sharah Bidaya, 1/128
,
↳® Fiqhul ibadaat, 196

✯————————————

❂ Vitr ki Namaz ka Tareeqa ❂

◆◇◆◇◆

★ Vitr ki 3 raka’ate he’n, 2 raka’ate padhkar bethiye aur Attahiyaat padhe, Darood Sharif na padhe balki Attahiyaat padh lene ke baad Foran uth khada ho

→aur ‘Alhamdu ‘ aur Surat padhkar ‘ Allahu Akbar ‘ kahe ( Mard kaan ki lo tak aur Aurat kandho tak haath uthaye )

→ aur fir haath baandh le,

→Fir Duae qunoot padh kar Ruku, Sajda kare aur teesri raka’t per bethkar ‘ Attahiyaat’ aur ‘Darood Sharif’ aur ‘Dua ‘ padhkar salaam fere,

⇨ Vitr Ki teeno raka’ato me surat Milana wajib he,

M↳® Hidaya, 1/128
,
↳® Fiqhul ibadaat, 197

✯————————————

❂ Agar Dua e Qunoot Padhna Bhool Jaye -1❂

◆◇◆◇◆

★ Agar Vitr ki Teesri raka’at me dua e qunoot padhna bhool gaya aur Ruku me chala gaya ya uske qareeb pahunch gaya k dono haath ghutno tak lag gaye to wapas na lote balki akhir me sajda sahu kare,

★ Agar itna nahi jhuka tha k ghutno tak haath pahunch jaye to khada hokar qunoot padh le, is soorat me sajda sahu nahi,

M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/333

★ Agar teesri raka’at me dua e qunoot padhna bhool gaya aur Ruku me Jane ke baad yaad aaya to ab dua e qunoot na padhe balki Namaz ke akhir me Sajda sahu kar le,

★ Aur agar Ruku chhodkar uth khada hua aur dua e qunoot padh li tab bhi Namaz ho gayi, lekin esa nahi karna chahiye tha aur Sajda sahu karna is soorat me bhi wajib. he,

M↳® Sharah Tanveer, 1/700

✯————————————

❂ Jisko Dua e Qunoot Yaad na Ho ❂

◆◇◆◇◆

★ Jiski Dua e qunoot yaad na ho to wo ↴

” Rabbana Aatina Fiddunya Hasanatanv Va fil Aakhirati Hasanatanv va qina Azaabannaar ”
Padhe,

➙Ya 3 dafa ↴
” Allahummagfirli ”
Keh le,

➙ Ya 3 dafa ↴
” Ya Rab ”
Keh le,,

➙Ya koi aur Dua padhe Jo Quran Majeed ya Hadees me aayi ho to Namaz ho ja’egi,

➜Lekin saath hi Dua e qunoot seekhne ka Amal bhi jari rakhe, Jald se jald Dua e qunoot yaad karke usi ka mamool banaye,
,
↳® Fiqhul ibadaat, 197

★ Jo shakhs jaagne ka bharosa rakhta ho uske liye Tahajjud ke waqt Vitr padhna afzal he, aur Jo bharosa na rakhta ho uske liye ishaa ke baad padhna behtar he,

★ Duae qunoot ka padhna wajib he, Ramzan me Dua e qunoot ka padhna imaam aur muqtadi dono per wajib he,

★ Vitr ki Teesri raka’at me Surah ikhlas hi ka padhna zaruri nahi, koi aur Surat bhi padh sakte he’n,

★ Huzur Sallallahu Alaihivasallam se Vitr ke baad do raka’at padhna saabit he, Magar aam ma’amul Vitr ke baad Nifl padhne ka nahi tha, isliye agar koi vitr ke baad Nifl padhta he to use mana nahi kiya jaye,

★ Aam tor per log Ye Nifl bethkar padhte he’n ye galat he ye Nifl bhi khade hokar padhna chahiye,

M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/333

✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

✺ Ibadat kis Shakhs Per Maaf He ✺
✯————————————

◆◇◆◇◆

★ Agar koi shakhs itna bimaar aur za’ief he k na vazu kar sakta he na tayammum , na khade hokar Namaz padh sakta he na bethkar , na letkar , Na ruku kar sakta he na ishara , na roza rakh sakta he na hajj kar sakta he,

★ Aur isi haalat me kuchh muddat tak zinda reh kar mar jaye to ye sab ibaadate usse maaf he, koi fidya ya vasiyat bhi wajib nahi,

→Qutube Fiqha Noorul iezaz me bhi iski tashreeh mojood he,

● Wallahu Aalam ●

M↳® Fatawa Mehmudiya, 7/545

✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

✺ Qaza Namaz-1✺

✯————————————

❂ Qaza Namaz Padhiye Takheer Gunaah he ❂

◆◇◆◇◆

★ Jiski koi Namaz chhoot gayi ho to jab yaad aaye foran uski qaza padhiye, Bager kisi uzr ke qaza padhne me der lagana gunaah he, Agar isi haalat me maut aa gayi to dohra gunaah hoga,

→Ek to Namaz qaza ho jane ka,
→Doosra Foran qaza na padhne ka,

❂ Masla ❂

◆◇◆◇◆

★ Agar kai Namaze qaza ho gayi ho to jaha tak ho sake jaldi se sabki qaza padhe,

→Ho sake to himmat karke ek hi waqt me sabki qaza padh le,
→Ye zaruri nahi k Zuhar ke waqt me zuhar ki qaza padhe aur Asr ke waqt me Asr ki qaza padhe, ye zaruri nahi,

★ Agar bahut si Namaze ya kai mahine ya kai saal ki qaza ho to unki qaza padhne me bhi jaha tak ho sake jaldi kare, Ek waqt me 2-2, 4-4 Namaze qaza padh liya kare, Agar koi uzr ho to ek waqt me ek hi qaza padh le, Baharhaal qaza padhne ki koshis kare,

M↳® Mishkat, 1/61
,
↳®Fiqhul ibadaat, 147

✯————————————

❂ Qaza Namaz Padhne Ka Tareeqa ❂

◆◇◆◇◆

★ Agar Qaza Namaze 6 se kam ho to tarteebvaar adaa karna zaruri he, K pehle Fajar ki, fir zuhar fir Asr is tarah,

★ Agar Qaza Namaze 6 se zyada zimme ho gayi ho to fir tarteeb ki riaayat laazim nahi, albatta din – tareekh aur waqt muqarrar karna zaruri he,

→Maslan is tarah niyat kare k me Jumeraat ki zuhar ki Namaz padhta hu’n,,, Me jumeraat ki Asr ki Namaz padhta hu’n,,,, is tarah,

↳® Fiqhul ibadaat, 136

✯————————————

❂ Qaza Ke Din- Tareekh Yaad na Ho ❂

◆◇◆◇◆

★ Agar bahut si Namaze qaza ho gayi, Ab Din – Tareekh , Mahine- Saal kuchh bhi yaad na ho to is tarah niyat kare k,

→ Fajar ki jitni Namaze mere zimme he’n unme se Jo sabse avval he uski qaza padhta hu’n,

→ Ya zuhar ki jitni Namaze mere zimme he’n unme se jo sabse avval he uski qaza padhta hu’n,

★ is tarah niyat karke barabar qazae’n padhte rahe Yaha tak k Dil gawahi de de k ab tamaam Namaze qaza ho chuki he’n to qaza padhna chhod de,

M↳® Durre Mukhtar, 1/690

↳® Fiqhul ibadaat, 136

❂ Qaza Namazo Ke Avqaat ❂

◆◇◆◇◆

★ Teen avqaate mamnu’a ke alawa har waqt qaza Namaz padhi ja sakti he,

→Ye zaruri nahi ki zuhar ke waqt Zuhar ki Namaz hi qaza padhe balki ek waqt me 2-3-4 Jitni qaza Namaz chahe padh sakte he’n,

★ Aur Tarteeb se padhna bhi zaruri nahi, agar Fajar ki qaza padhi aur mazeed 2 raka’at ka waqt mojood he to doosre din ki Fajar ki qaza bhi padh le,

→Kyuki 6 ya isse zyada Namaze zimme laazim ho jane se tarteeb saqit ho jati he,

M↳® Sharah Tanveer, 1/709,
Sharah Bidaya, 1/162
,
↳® Fiqhul ibadaat, 137

                 ═○═✧═

❂ Behoshi Ki Haalat me Qaza Namazo ka Hukm ❂

◆◇◆◇◆

★ Agar Behosh ho jaye to hosh me aane ke baad dekhe k behoshi ek din ek raat se zyada rahi he ya isse kam,

★ Agar ek din raat tak behoshi rahi ya isse kam to itne avqaat ki qaza Namaze padhna laazim he,

★ Agar behoshi ek din raat se zyada rahi yani 6 Namaze zimme laazim ho gayi to qaza laazim nahi balki maaf He,

M↳® Hidaya -1/170
,
↳® Fiqhul ibadaat, 138

✯————————————

❂ Shadi ke Moqe per Namaz se Gaflat ❂

◆◇◆◇◆

★ Shadi Byaah isi tarah digar taqribaat ke moqe per Mard Aurate’n aksar Namaze qaza kar dete he’n, Apni nikali hui rasmo ko to esi pabandi se puri karte he’n k goya bilkul farz he aur khudavand kareem ke farzo se bilkul Gaflat barti jati he, Baaz to Namaz ko hi bhula dete he’n aur baaz ye khayal kar lete he’n k baad me padh lenge, is tarah qaza kar dete he’n,

★Dulhan jab tak Dulhan rehti he Namaz padhti hi nahi, Namaz padhne ko besharmi samjha jata he ye ajeeb baat he Khane pine aur Behaya Rasmo me to Sharm nahi he aur Namaz padhne me sharm aade aati he,

★ isi tarah is zamane me bahut se Namzai log bhi shadi Byaah aur digar taqribaat vagera ke moqe per Namaz se gafil ho jate he’n, Ye nihayat afsos ki baat he,

↳® Fiqhul ibadaat, 106

✯————————————

❂ Qaza Namaz Ghar me Padhe Ya Masjid me ❂

◆◇◆◇◆

★ Masjid me bhi qaza Namazo ka padhna jaa’iz he, magar logo ko ye pata na chale k ye qaza Namaze padhta he,

→ Kyuki ka qaza Karna gunaah he aur gunaah ka izhaar bhi gunaah he,

M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/354

✯————————————

❂ Qaza Namaz ke Mutallik Galat Aqaa’id -❂

◆◇◆◇◆

✘ Baaz log kehte he’n k Jumatul Vida ke din 2 raka’at Namaz qaza e umri ki niyat se padhna chahiye, Kehte he’n k isse pure saal ki Namaze Ada ho jati he,
Shariat me Qaza e umri ki koi istlaah nahi, Shariat ka hukm to ye he k Musalman ko Namaz qaza nahi karni chahiye kyuki hadees me he k

→Jo sakhsh jaan bujhkar Namaz qaza kar de Allah ta’ala ka zimma usse bari he,

★Kisi cheez ki fazilat ke liye zaruri he k woh Huzur Sallallahu Alaihivasallam se saabit ho kyuki bager vahi e ilaahi ke kisi cheez ki fazilat aur uska sawab maloom nahi ho sakta,

⇨Isi tarah Maahe Rajjab ki Namaz aur Rozo ke bare me, aur isi tarah Jumatul Vida ki Namaz aur Roze ke bare me Jo fazail bayan kiye jate he’n ye Huzur Sallallahu Alaihivasallam se qat’an saabit nahi, Isliye in fazail ka aqeeda rakhna bilkul galat he,

⇨Shariat ka masla to ye he k agar koi shakhs ek Farz tark kar de to saari umr ki nifli ibadaat bhi us ek Farz ki talafi nahi kar sakti,

M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/360

❂ 27 Ramzan aur Qaza Umri ❂

◆◇◆◇◆

★ Shariat Mtaharah me Quran hadees se koi esa kanoon saabit nahi k 27 Ramzan ul Mubarak ya aur kisi Mubarak din 12 Raka’at ya 4 Raka’at padhne se Umar bhar ki qaza Namazo ka kaffara ho jaye,

★ Esi suni sunai baato per yaqeen nahi karna chahiye,

M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/358

✯————————————

❂ Ek Galat Rivayat ❂

◆◇◆◇◆

★ Rasulullah Sallallahu alaihivasallam ne farmaya k jis shakhs ki Namaze qaza ho gayi ho aur use maloom na ho k kitni Namaze qaza hui he’n to use chahiye k Peer ki Raat me 50 raka’at Namaz padh le, Har raka’at me Surah Fatiha ke baad Surah ikhlas padhe aur farig hokar darood padhe, in raka’to ko Allah ta’ala sab qaza Namazo ka kaffara kar dega, agarche wo ek so baras ki kyu na ho,

✘⇧⇧⇧✘

⇨ Magar Ye hadees laaiqe etmaad nahi, Muhaddiseen ne isko moju yani manghadant kaha he,
Qaza Namazo ka Kaffara yahi he k Namaz qaza karne se tauba ki jaye aur guzishta Umar ki qaza shuda Namazo ko ek ek karke qaza kiya jaye,

M↳® Aapke Masail aur Unka Hal, 2/356

❂ Jaagne Ki Raato me Nawafil ki Bajae Qaza Namaze Padhe ❂

◆◇◆◇◆

★ Jis shakhs ke zimme qaza Namaze ho usko Jaagne wali raato ( Shabe Qadr, Shabe Baraat vagera) me Nawafil padhne ke bajae qaza Namaze padhni chahiye,

⇨ Chahe Masjide Nabvi Sallallahu Alaihivasallam me padhe ya Haram Sharif me,

M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/356

✯————————————

❂ Jo sakhsh Tauba kar le, Uske Zimme bhi Guzishta Qaza Baqi he ❂

◆◇◆◇◆

★ Jo sakhsh galti aur Kotahi ki Vajah se Namaze Qaza karta raha, Fir usne tauba kar li aur Ahad kiya k ab koi Namaz qaza nahi karega,

→Tab bhi guzishta Namaze uske zimme baqi rahegi aur unka qaza karna us per laazim hoga,

★ Agar zindgi me apni Namaze puri nahi kar saka to marte waqt uske zimme vasiyat karna zaruri hoga k uske zimme itni Namaze qaza he’n aur unka Fidiya adaa kar diya jaye,

→ Yahi hukm zakaat, Roza, aur Hajj vagera digar faraiz ka he,

↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/355
✺                     
✯———————————— 

❂ Isha  Ke  Baad  Guftgu  Makrooh  He ❂

                     ◆◇◆◇◆

★  Huzur  Akram  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  Isha  ki  Namaz  ke  baad  karne  se  mana  farmaya  he,

→ Albatta  3  soorto  me  isme  chhot  he,
1- Ye  k  Aadmi  mehmaan  ki  dildari  ke  liye  usse  baat  cheet  kare,
2- Miya  Bivi  aapas  me  guftgu  kare,
3- Ye  k  kuchh  log  safar  me  ho  aur  raat  guzaarne  ke  liye  guftgu  kare,
→ Iske  alawa  isha  ke  baad  guftgu  karna  Makrooh  aur  Na  pasandida  he,

★ Musalmano  ke  Din  bhar  ke  Amaal  ka  khatma  nek  amal  per  hona  chahiye  aur  wo  isha  ki  Namaz  he,

M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/360

⇨ Aaj  kal  Khaaskar  Nojawano  ka  Ye  Amal  ban  chuka  he  k  Raat  der  tak  idhar  udhar  ki baat  cheet  karne  me,  Ghoomne  firne  me  waqt  ko  barbaad  karte  he’n,

Der  se  sone  ka  ye  bhi  asar  dekha  gaya  he  k  Der  tak  soye  pade  rehte  he’n  aur  Fajar  ki   Namaz  qaza  kar  dete  he,  Subeh  ki  Barkaat  se  bhi  chheen  li  jati  he,

is  Aadat  ko  badalna  zaruri  he,
        ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

❂ Namazi Ke Saamne Se Guzarna-1❂

                     ◆◇◆◇◆

★ Namazi  ke  saamne  se  guzarna  gunaah  he  magar  isse  Namazi  ki  Namaz  nahi  tooti,

★ Koi  bhoole  se  guzar  gaya  to  majoor  he,

★ Agar  koi  maydan  me  ya  badi  Masjid  me  Namaz  padh  raha  ho  to  teen  safo  ki  jagah  chhodkar  usko  aage  se  guzarne  ki  gunzaish  he,

★ agar  chhoti  Masjid  me  mutlaqan  gunzaish  nahi  to  jo  shakhs  bilkul  NamaZi  ke  saamne  betha  ho  usko  uthkar  jane  ki  ijazat  he,

★ Agar  Namazi  ke  liye  kisi  aur  jagah  Namaz  padhne  ki  gunzaish  na  ho  aur  guzarne  walo  ke  liye  doosri  jagah  se  guzarne  ki  gunzaish  he  to  guzarne  wala  gunahgar  hoga,

★ Agar  Namazi  ke  liye  doosri  jagah  gunzaish  thi  magar  guzarne  wale  ke  liye  aur  koi  raasta  nahi  to  is  soorat  me  Namazi  gunahgar  hoga,

★ Dono  ke  liye  gunzaish  ho,  Namazi  ke  liye  doosri  jagah  Namaz  padhne  ki  aur  guzarne  wale  ke  liye  aur  taraf  se  nikalne  ka  doosra  raasta  tha,  is  soorat  me  dono  gunahgar  honge,

M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/294

★ Namazi  ke  aage  se  guzarne  wale  ko  haath  ke  ishare  se  rok  de  agar  na  ruke  to  jane  de  wo  khud  gunahgar  hoga,

★ Hadees  me  chhote  Bachcho  ko  Masjid  me  le  Jane  ki  muma’anat  aayi  he,

→ chhote  Bachche  aksar  Namaziyo  ke  saamne  se  guzarte  he’n,

★ Khana  Kaaba  ka  tawaaf  karne  wala  tawaf  ki  haalat  me   Namazi  ke  aage  se  guzar  sakta  he ,

M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/295

✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

❂ Namaz Todne Ke Uzraat- ❂

                     ◆◇◆◇◆

★ Ek  Dirham ( qariban  saade  Teen  masha  Chandi)  ke  nuqsan  ka  andesha  ho  to  Namaz  todne  ki  ijazat  he,

★ Namaz  ke  doraan  gumshuda  cheez  yaad  aaye  to  Namaz  tod  kar  use  utha  laye,

★ Kisi  shakhs  ki  jaan  bachane  ki  koi  tadbeer  kar  sakta  ho  to  Namaz  Tod  de

★ Agar  koi  behosh  hokar  gir  jaye  to  usko  uthane  ke  liye  Namaz  Tod  sakte  he’n,
  
★ Agar  Namaz  me  achanak  koi  zehrila  keeda  aa  jaye  aur  Namazi  ki  taraf  badhe  to  agar  namaz  tode  bager  usko  maar  sakte  ho  to  theek  varna  uske  liye  namaz  Tod  sakte  he’n,

★ Durre  mukhtar  me  likha  he  k  agar  Farz  namaz  me  ho  to  Walden  ke  bulane  per  namaz  na  tode  sivae  iske  k  wo  kisi  nagahani  musibat  me  mubtila  hokar  usko  madad  ke  liye  pukare,

→ is  soorat  me  Walden  ki  khususiyat  nahi  balki  kisi  ki  jaan  bachane  ke  liye  namaz  Todna  zaruri  he ,

⇨ aur  agar  nifl  Namaz  me  ho  aur  Walden  ko  iska  ilm  ho  to  na  tode,  aur  agar  ilm  na  ho  to  Namaz  Tod  kar  jawab  de,

        ✰━═━═━═━═━═━═━═☆

❂ Namaz me Vazu Ka Toot jana -1 ❂

                     ◆◇◆◇◆

★ Dorane  Namaz  Vazu  toot  jane  per  Namaz  ko  wahi  chhod  kar  chup  chaap  Vazu  kar  aaye  aur  munasib  yahi  he  k  Vazu  ke  baad  dobara  namaz  shuru  Kare,

★ Agar  imaam  sahab  ka  Vazu  toot  jaye  to  saf  me  se  kisi  ko ( imaamat  ke  liye) aage  kar  de  aur  khud  Vazu  karke  muqtadiyo  ki  saf  me  shareek  ho  jaye,

★ Bevazu  Namaz  padhte  rehna  sakht  gunaah  he,  baaz  ulma  farmate  he’n  k  isse  andesha  e  kufr  he,

★ Saf  me  nikalne  ki  gunzaish  na  ho  to  saf  ke  aage  se  guzar  kar  ek  taraf  ko  nikal  jaye,

→ aur  agar  kisi  tarah  nikalna  mumkin  hi  na  ho  to  Namaz  todkar  Namaz  se  kharij  ho  jaye,  yani  apni  jagah  per  betha  rahe,

★ Agar  kisi  ka  Vazu  Bimari  ki  vajah  se  na  theharta  ho  to  wo  mazoor  kehla’ega ,  aur  Namaz  ke  waqt  usko  ek  baar  Vazu  kar  Lena  kaafi  he,  iske  baad  waqt  ke  andar  jitni  Namaze  chahe  padhta  rahe  is  khaas  uzr  ki  vajah  se  uska  Vazu  nahi  tootega  haa’n  agar  kisi  aur  vajah  se  Vazu  toot  jaye  to  aur  baat  he,  aur  jab  Namaz  ka  waqt  nikal  jaye  to  uska  Vazu  toot ja’ega  ab  dobara  Vazu  kare,

( Behtar  ye  he  k  is  masle  ko  apne  Ulema  ikraam  se  Samajha  jaye )

↳® Aapke Masail aur Unka Hal, 2/327
         ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

❂ Sunnat Namazo Ki Adaaygi -❂

                     ◆◇◆◇◆

★ Jis  cheez  ki  Huzur  Sallallahu   Alaihivasallam  ne  aksar  pabandi  farmai  ho  aur  jiske  Tark  ko  laa’iq e  malamat  qaraar  diya  gaya  ho  wo  Sunnat  mokada  he,

★ Aur  jis  cheez  ki  targeeb  Huzur  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  di  ho  magar  uske  chhodne  per  malamat  na  ki  gayi  ho  wo  Sunnat  e gair  mokada  he,

★ Namaz  to  chahe  Farz  ho  chahe  Sunnat  v  Nifl  ho  sab  Allah  ta’aala  hi  ke  liye  hoti  he,

→ Ye  khayal  galat  he  k  Sunnate  Nabi  Kareem  Sallallahu  Alaihivasllam  ke  liye  he,

★ Farz  Namaz  me  Jo  kami ( yani  khushu v khuzu  me  Jo  kami )  reh  jati  he  usko  pura  karne  ke  liye  Sunnate  aur  Nifl  he’n,

★ Sunnat  mokada  ka  chhodna  bura  he  aur  iske  chhodne  ki  aadat  bana  Lena  bhi  Gunaah  he,

→ Sunnate  gair  mokada  aur  Nawafil  me  akhtyar  he  chahe  padhe,  ya  chhod  de,

✯———————————— 

❂ Kya Aaj Ke Mashini Daur Me Farz Padh Lena Kaafi he? ❂

                     ◆◇◆◇◆

★ Mashini   daur   ki   masrufiyaat   ke   bavjood   khurafaat   ke   liye,  gap   shap   ke   liye,   tafreeh   ke   liye   aur   namaloom   kin   kin   cheezo   ke   liye   waqt   nikaala   jata   he   to   mashini   daur   masrufiyat   ka   nazla  sirf   Namaz   hi   per   kyu   giraya   jaye ?

↳® Aapke Masail aur unka Hal,2/338
   
★ Sunnate  ghar  me  padhna  afzal  he,

→ magar  iske  liye  shart  ye  he  k  ghar  ka  mahol  pur  sukoon  ho  aur  ghar  jate  hi  gharelu  kaamo  ki  tashvysh  lahaq  na  ho  jaye,

→ agar  esa  andesha  ho  to  Masjid  me  Sunnate  padhna  afzal  he,

★ Sunnat v Nifl  ke  liye  mutlaq  Namaz  ki  niyat  kaafi  he,  isme  waqt  aur  raka’at  ki  niyat  karne  ki  zarurat  nahi,

↳®Aapke Masail aur  unka Hal, 2/338
       
✯———————————— 

❂ Fajar Ki Sunnato Ki Takeed ❂

                     ◆◇◆◇◆

★ Fajar  ki  Sunnato  ki  takeed  zyada  he,  isliye  agar  Namaz  Fajar  fot  ho  jaye  to  Suraj  Tulu  hone  ke  baad  zavaal  se  pehle  isko  Sunnato  Sahit  padhne  ka  hukm  he,

★ Fiqha  Hanafi  ka  masla  ye  he  k  agar  Jama’at  ki  doosri  raka’at  ( balki  tashahud  bhi )  mil  Jane  ki  ummeed  ho  to  kisi  alag  jagah  per  Fajar  ki   Sunnate  pehle  adaa  kare  tab  Jama’at  me  shareek  ho,

★ Waqt  nikal  Jane  ke  baad  Fajar  ki  Sunnato  ke  alawa  baqi  kisi  Sunnat  ki  qaza  nahi

↳®Aapke Masail aur unka Hal, 2/338
       
✯———————————— 

❂Sunnato ke liye Jagah Badalna❂

                     ◆◇◆◇◆

★ Zuhar  aur  isha  ki  Sunnate  agar  reh  jaye  to  Farzo  ke  baad  padhe,  Pehle  do  raka’at  baad  wali  padhe,  fir  chaar  raka’at  pehli  wali  padhe,  agar  pehle  chaar,  fir  do  padh  le  tab  bhi  sahi  he,

★ Sunnate  Mokada,  gair  mokada,  Nifl  aur  vitr  ki  tamaam  raka’ato  me  Surah  Fatiha  ke  baad  Surat  milana  wajib  he,  varna  namaz  nahi  hogi,  aur  agar  Surah  Fatiha  ya  Surat  milana  bhool  gaya  to  Sajda  Sahu  wajib  hoga,

★ Farz  Namaz  se  farig  hokar  imaam  aur  muqtadi  dono  ke  liye  jagah  badal  Lena  mustahab  he,

⇨” Kya  tumme  se  ek  Aadmi  is  baat  se  qaasir  he  k  farz  namaz  ke  baad  sunnat  shuru  kare  to  zara  aage  pichhe  ya  daaye  baaye  ho  liya  kare, ”

Sunan Abu Dauwd 1/144,

↳®Aapke Masail aur unka Hal, 2/339
       
        ✰━═━═━═━═━═━═━═━

        .      ⚀ Talib e Dua,
             ⊙   Haqq Ka Daayi,
           
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             ------------
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━

Post a Comment

  1. if u r on right path & u r not facing difficulties then think for a while u may b on wrong path bcoz right path contains difficulites

    (Hazrat ALi A.S)
    Naat Sharif MP3

    ReplyDelete

 
Top