0


❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
            SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾

                PART NUMBER
                           11   
   
                ▣  Jhoot -1. ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆

◈  Zaban ke Zariye Sabse zyada jis Gunaah ka irtkaab karke be hayai ka saboot diya jata he Wo Jhoot bolna aur Jhooti gawahi dena he ,

◈ Qurane Kareem me Jhoot Bolne walo per laanat Kï gayi he ,irshad he :- " Pas laanat kare Allah un per Jo k Jhoote he'n ,"

⚀•RєԲ: Surah Aale imraan ,Aayat 61,

◈ Aur Hadees Mubarak me mukhtalif Andaz me is gunaah Kï shana'at ko bayan kiya gaya he, Ek Hadees me irshad he ,:

"-Jab Aadmi Jhoot bolta he to us Kalme Kï ( Jhoot Kï )badbu Kï vajah se Jo usne bola he Rehmat ka farishta usse ek meel door chala jata he ,"

  ⚀•RєԲ: Ravaah Tirmizi, 2/18

◈ Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Sachchai ko Akhtyar karne aur Jhoot se bachne Kï nihayat takeed farmayi he ,

" Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu naqal karte he'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,,

" Sach ko Akhtyar karo isliye k sach bolna Neki Kï taraf le jata he aur Neki Jannat tak pahuncha deti he, Aur Aadmi barabar sach bolta rehta he aur Sach ka mutlashi rehta he Yaha k Allah ke nazdwek uska naam Siddiqeen me likh diya jata he ,

Aur Jhoot se bachte raho ,isliye k Jhoot fisq v fijoor Kï taraf le jata he ,aur fisq v fijoor Jahannam Kï tak pahuncha deta he ,aur Aadmi barabar Jhoot bolta  he yaha tak k uska naam Jhooto me likh diya jata he ,"

  ⚀•RєԲ: Mishkaat ,2/412

◈  Rasulullah Sallallahu ne mazaq me bhi Jhoot bolne se mana farmaya he ,balki ese Shakhs ke liye Teen martaba bad dua farmayi he ,

" Jo Shakhs logo ko hansane ke liye Jhoot bole uske liye barbadi ho ,barbadi ho ,barbadi ho ,"

  ⚀•RєԲ : Ravaah Ahmad v Tirmizi, Mishkaat 2/413

▣ Aaj kal Aam log hansne hansane ke liye nit naye tareqe Akhtyar karte he'n aur mahaz isliye Jhoot bolte he'n taki Log hanse ,Unko Aap Sallallahu Alaihivasallam Kï Bad Dua Yaad rakhna chahiye aur is bure kaam se Baaz aana chahiye ,

☆ Next - 12 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 55
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                  
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉             
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•


            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽

            SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε 

            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾


                PART NUMBER 

                           12    

    

                ▣  Jhoot -2. ▣

         ◆══◆══◆══◆══◆══◆


◈  Rasool e Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Jhoot bolne ko badi khyanat qaraar diya he ,Ek Hadees me he ,:- 


" Ye Badi Khayanat he k Tu Apne Bhai se esi guftgu kare jisme Wo Tujhe Sachcha Samajhta ho Halanki tu usse Jhoot bol raha he ,"


⚀•RєԲ:  Ravaah Abu Daowd Mishkaat ,2/413


◈ Jhoot bolne ko munafiq Kï khaas Alamato me shumar kiya gaya he ,Ek Hadees me irshad e Nabvi Sallallahu Alaihivasallam he ,


" Munafiq Kï Teen ( khaas ) nishaniya'n he'n ,Jab baat kare to Jhoot bole, Jab Vaada kare to uske khilaf kare ,aur Jab use Ameen banaya jaye to usme Khayanat kare ,"


⚀•RєԲ:  Bukhari ,2/900 Muslim ,1/56


◈ Ek Hadees me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Sach ko Jannat Zamanat qaraar dete hue irshad farmaya ,:- 


" Tum mujhse apni taraf se Chhe ( 6 ) baato Kï garanti le lo ,mai Tumhare liye Jannat Kï Zamanat leta hu'n , 


1- Jab baat karo to Sach bolo ,


2- Jo Vaada karo use poora karo ,


3- Apni amanat ko ada karo ,


4- Apni Sharmgaho Kï hifazat karo ,


5- Apni Nigaahe nichi rakho ,


6- Aur Apne Haatho ko ( Zulm se ) roke rakho ,"


⚀•RєԲ:  Bayhqi fi Shobul imaan ,4/204-320


◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne sach bolne ko un Amaal me Shumar farmaya Jo Muhabbat e Khuda aur Rasool Sallallahu Alaihivasallam Kï nishani he ,,Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he ,


" Jis Shakhs ko ye baat pasand ho k Wo Allah aur Uske Rasool se Muhabbat kare aur Allah aur Uska Rasool usse Muhabbat kare to Wo Jab bole sach bole


Aur Jab use koi Amanat supurd Kï jaye to use ada kare aur Apne padosi ke saath achchha bartaav kare ,"


  ⚀•RєԲ: Bayhqi fi Shobul imaan ,2/201



☆ Next - 13 , Soon in Sha Allah ☆ 


  ⚀•RєԲ:➻┐

                 Allah se Sharm Kijiye, 57 

     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ 

            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺

                       Talibe Dua

              ◉ Haqq Ka Daayi ◉              

        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐

۞✵۞

❁          вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•


                 ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽

                    SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε 

                  ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾


                     PART NUMBER 

                                13    

    

              ▣  Sach Me Hi Nijaat He  ▣

         ◆══◆══◆══◆══◆══◆


◈  Jhoot se bachna aur har maamle me Sach ko Akhtyar Karna Qurbe ilaahi ( Allah ke qareeb hone ) ka ek bahut bada Zariya he , is Sifaat Kï badolat insaan me waqai Allah Rabbul Aalameen se Sharm v Haya ka jazba paida hota he aur Khairaat Kï Tofeeq ata hoti he ,


◈ iske bar khilaf Jhoot ke maamle me laparwahi baratna sakht Sakht nuqsaan aur Mehroomi ka sabab he ,Jhoot se Waqti tor per koi duniyavi faayda to uthaya ja sakta he lekin Anjaam ke aitbaar se Wo Nijaat ka zariya nahi ban sakta ,aur Sach bol kar ho sakta he waqti nuqsaan mehsoos ho lekin iska natija aakhir me hamesha achchha aur mufeed hi baramad hota he ,


◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he ,

" sach ko talash karo agarche isme Tumhe halakat maloom ho ,isliye k Nijaat isi ( sach bolne me ) he ,


⚀•RєԲ: At Targeeb v Tarheeb ,3/365


◈ Tajurba se bhi ye baat saabit he k jhoote Aadmi ka aitmaad ( trust ) logo me nahi rehta ,aur Log use achchhi nigaah se nahi dekhte ,Yahi Vajah he k--


"  Hazraate Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum farmate he'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Jhoot se Zyada koi Sifaat na-pasand na thi , "


⚀•RєԲ: At Targeeb v Tarheeb ,3/367


◈  Aap Sallallahu Alaihivasallam ka ye bhi irshad he k ,


" Momin me har sift ho sakti he lekin Wo Jhoota nahi ho sakta ,( Yani agar Jhoota ho to uske imaan me kami hogi ,)


⚀•RєԲ: At Targeeb ,3/368


◈ Aur Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ka ye irshad naqal farmaya he k

 "Koi Shakhs us waqt tak kamaale imaan haasil nahi kar sakta jab tak k Mazaaq ( tak ) me Jhoot bolne aur Jhagda karne se Baaz na aa jaye agar wo Haq per hi kyu na ho ,"


⚀•RєԲ: At Targeeb, 3/ 367



☆ Next - 14 , Soon in Sha Allah ☆ 


  ⚀•RєԲ:➻┐

                 Allah se Sharm Kijiye, 59

     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ 

            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺

                       Talibe Dua

              ◉ Haqq Ka Daayi ◉              

        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐

۞✵۞

❁          вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•


                 ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽

                  SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε 

                 ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾


                      PART NUMBER 

                                 14    

    

                  ▣  Yeh Bhi Jhoot He  ▣

         ◆══◆══◆══◆══◆══◆


◈  Hazrat Abdullah bin Aamir Raziyallahu Anhu farmate he'n k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam hamare ghar tashreef farma the ,Meri Walida ne ( meri Jaanib band mutthi badha kar ) kaha ,

" Yaha'n Aao me Tumhe dungi ,( Jese Maa'n Apne Bachche ko paas bulane ke liye ESA  karti he ) ,


Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne Walida se irshad  farmaya ,

" Tumhara ise kya dene ka iraada tha ?


Walida ne Jawab diya ,k me ise Khajoor dena chahti thi  ,"


To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,k 

" Agar tum Khajoor na deti to tumhare Naama e Amaal me ek Jhoot likha jata ,"


⚀•RєԲ:Targeeb v Tarheeb ,3/370


◈ Is Hadees se maloom huva k bahut si esi baate jinhe  mashre me Jhoot nahi samjha jata he ,in per bhi Jhoot ka gunaah ho sakta he ,


◈ Bachcho ko jhooti tasalli dena ,Jhoote Vaade karna ,isi tarah hansne hansane ke liye aur mahaz tafreeh tabiyat ke liye Jhoot bolne ko goya halaal samjha jata he, Jabki is maqsad se Jhoot bolna bhi sakht gunaah he ,


☆ Next - 15 , Soon in Sha Allah ☆ 


  ⚀•RєԲ:➻┐

                 Allah se Sharm Kijiye,  60

          ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ 

            ━─━─━─━─━─━─━─    

           ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺

                      Talibe Dua

              ◉ Haqq Ka Daayi ◉             

        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐

۞✵۞

❁          вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•


                      ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽

                        SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε 

                      ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾


                           PART NUMBER 

                                       15    

   

             ▣ Tijarat Me Jhoot Ka Rivaaj ▣

         ◆══◆══◆══◆══◆══◆


◈  Khareed Farokht ke maamle me bhi Dil khol kar Jhoot bola jata he aur bilkul bhi iske gunaah hone ka ahsaas nahi kiya jata ,Tajiro Kï Nazar me Dukaan ka maal bikna chahiye chahe Jhoot bolna pade , Grahako ko rijhane ke liye tarah tarah ke hathkande istemal kiye jate he'n aur Mahaz Chand Roz ke nafe ke liye Akhirat Kï mehroomi mol li jati he ,


◈ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,

" Aksar Tajir Qayamat ke din Faajiro Kï Saf me uthaye jayenge ,Magar Wo (Taajir ) Jo Allah se dare aur Neki kare aur Sach bole ,"


⚀•RєԲ: Mishkaat ,1/244 Tirmizi ,1/230


◈ Ek doosri jagah irshad farmaya,

" Haa'n ( Khareed Farokht halaal to he ) magar ye  (Taajir )qasme kha kar gunahgar hote he'n aur Jab baat karte he'n to Jhoot bolte he'n ," ( isiliye inhe faajir kaha gaya he )


⚀•RєԲ: Targeeb ,2/366


◈ Hazrat Abuzar Gafari Raziyallahu Anhu farmate he'n k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ,


" Teen Aadmi ese he'n Jinki taraf Allah Ta'ala Rehmat Kï Nazar nahi farmayega aur na unka tazkiya karega aur unko dardnaak azaab hoga ,"


Mene arz kiya, " Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Ese badnaseeb log kon honge ,?"


Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

" (Ek )Wo Jo Apne Kapde ko Takhne se niche latkaye ,( doosre ) Wo Jo Sadqa karke ahsaan jataye ,( Teesre ) Wo Jo Apne samaan ko jhooti qasam ke zariye farokht kare ,"


⚀•RєԲ: Muslim ,Targeeb 



☆ Next - 16 , Soon in Sha Allah ☆ 


  ⚀•RєԲ:➻┐

                 Allah se Sharm Kijiye, 61

          ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ 

            ━─━─━─━─━─━─━─  

         ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺

                      Talibe Dua

              ◉ Haqq Ka Daayi ◉              

        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐

۞✵۞

❁           вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•


                       ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽

                         SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε 

                       ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾


                            PART NUMBER 

                                       16    

    

                       ▣ Jhooti Tareef  ▣

         ◆══◆══◆══◆══◆══◆


◈  Shaitan ne is Zamane me Jhoot ke felane ke liye nit naye Tareeqe ijaad kar rakhe he'n ,inhi me se ek Rasm logo Kï jhooti Tareef karne aur be saropa alqaab dene Kï bhi he ,aur to aur khud Ulma bhi is bare me ahatyaat nahi karte ,


◈ Jalso ke isthaar me is jhoot Kï bharmaar hoti he ,Hattaki ek mamooli Shakhs ke Saath ek ek line ke adaab v alqaab laga kar, muqarriro ke tarruf me  mukammal Jhoot ka izhaar kiya jata he ,fir is Amal ko Jhoot samjha bhi nahi jata ,Allah Kï Nazar me ye Amal nihayat na pasandida he , Khaskar jab kisi na ahal aur Faasik v faajir Kï Tareef Kï jati he ,( Jesa k Aaj kal leadero aur Afsaro Kï khushamad vagera ka Tareeqa he ) to is gunaah Kï Vajah se Arshe khudawandi tak kaanp uthta he ,


◈ Ek Hadees ke alfaaz he'n :-

"Jab faasiq Shakhs Kï Tareef Kï jati he to Allah Rabbul izzat ko gussa aata he aur iski bina per Arshe Khudawandi harkat me aa jata he ,"


  ⚀•RєԲ: Mishkaat ,2/414


◈ Maaldaro aur Ohdedaaro aur Faasiqo faajir logo Kï Tareef karne wale log is Hadees se ibrat haasil kare aur Soche k Wo apni Zaban ko is gunaah me mubtila karke kis qadar behayaai ka saboot de rahe he'n ,



☆ Next - 17 , Soon in Sha Allah ☆ 


  ⚀•RєԲ:➻┐

                 Allah se Sharm Kijiye, 62 

           ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ 

            ━─━─━─━─━─━─━─    

        ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺

                      Talibe Dua

              ◉ Haqq Ka Daayi ◉             

        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐

۞✵۞

❁           вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•


                   ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽

                     SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε 

                    ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾


                         PART NUMBER 

                                    17    

    

                  ▣ Tareef me Ahatyat   ▣

         ◆══◆══◆══◆══◆══◆


◈  Fir Chunki mahaz Tareef karna bhi fitne SE khali nahi he k Jis Shakhs Kï Tareef Kï ja rahi he bahut mumkin he k Wo Apni Tareef sun kar Ajab aur Takabbur me mubtila ho jaye aur Apne andar Kï buraaiya usse poshida ho jaye ,


◈ isliye Shariyat ne moonh per Tareef karne walo Kï Himmat shikni ke ahkamaat diye gaye he aur Khwah khwah Tareef karne me ahatyat se kaam lene Kï takeed Kï gayi he ,taki Zaban Kï hifazat ke saath saath Apne Musalman bhai Kï khair khwahi bhi peshe Nazar rahe ,


◈ Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu naqal karte he'n k ek Shakhs ne Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ke saamne kisi Shakhs Kï tareef Kï to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,

" Tumne use halaak kar daala ,,  Ya 

farmaya k " Tumne us Aadmi Kï kamar tod Dï ,"


⚀•RєԲ: Bukhari ,2/895 ,Muslim ,2/414


◈ Doosre moqe per Farmaya ,:-

Tere liye halakat ho Tune Apne saathi Kï gardan kaat Dï ,( ye jumla kai baar irshad farmaya ) Tumne JIS kisi Kï Tareef hi karni ho to Wo yu'n kaha kare k Mera fala'n ke bare me gumaan he ( maslan Wo Nek he ) Jabki Wo use waqai esa hi samajhta ho ,Allah Ta'ala hi haqeeqat haal ka jaanne wala he ,aur Tareef karne wala jazm v Yaqeen ke saath kisi Kï Tareef na kare ,( k iska haqeeqi ILM sirf Allah ko he ) ,


⚀•RєԲ: Mafhoom Bukhari v Muslim ,


◈  isi tarah ek aur Hadees me Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ,

Jab tum ( mufaad parast ) Tareef karne walo ko dekho to unke moonh me mitti daal do ,


⚀•RєԲ: Muslim ,2/414 ,Mishkaat ,2/412


◈ Maqsad ye he k ese logo ko moonh na lagao aur Wo Tumse jin Duniyavi munafe Kï ummed baandhe hue he UNHE poor a na karo ,Taki Wo fir aage is beja kaam Kï jurrat na kare , Algaraj Haya e Khudawandi ka taqaza ye he k hum apni Zaban ko har un cheezo se mehfooz rakhe jisme Jhoot paya jata ho ,


☆ Next - 18 , Soon in Sha Allah ☆ 


  ⚀•RєԲ:➻┐

                 Allah se Sharm Kijiye, 63 

         ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ 

            ━─━─━─━─━─━─━─     

        ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺

                      Talibe Dua

              ◉ Haqq Ka Daayi ◉              

        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐

۞✵۞

Post a Comment

 
Top