0

★☆★
    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                        
          ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
   
        ⊙ Namaz Ke Masail ⊙                 
                         
                 ✺ IMAMAT -✺                       
 
❂ Imamat Sahi hone Ki Shara’it ❂

                    ◆◇◆◇◆

★ 1-Musalman hona,
★ 2- Aaqil hona, ( Pagal, Majnu, Diwana na ho )
★ 3- Baalig hona,
★ 4- Mard hona, ( Aurat ki imamat sahi nahi)
★ 5- Farz Qiraat ke ba-qadr yaad hona,
★ 6- Namaz se maan’a koi uzr na ho,

⇨Maslan – Nakseer vagera na chali ho,

⇨Neez namaz ki koi shart maslan – Raharat, Satar vagera na chhot rahi ho,
     
M↳® Ba- Hawala– Noorul Eyza, Shami, 
↳®Fiqhul ibadaat, 240    
         
      
❂  Nabina  ki  imamat  ka  Hukm ❂

                    ◆◇◆◇◆

★ Nabina  ki  iqtida  makrooh  tanjihi  he,
Albatta  agar  Nabina  ilm v Amal,  Taqwa v Taharat  ke  lihaaz  se  doosro  se  afzal  ho  to  usko  imaam  banane  me  koi  karahat  nahi,  Balki  usko  imaam  banana  afzal  he,

↳ ® Ba- Hawala— Shami,
↳®Fiqhul ibadaat, 241           
    
 
❂  Daadi  Katane  Wale  ki  Imamat  ❂

                    ◆◇◆◇◆

★ Daadi ek qabza ( ek  musht ) se kam kataana haraam he,  Aur elaaniya gunaah ka irtkaab he,

★ isliye kataane ya mundane wala faasik he aur faasik ki imamat makrooh tehrimi he,

★isliye ese shakhs ko imaam banana jaa’iz nahi, Agar koi esa shakhs jabran imaam ban gaya ya Masjid ki intezami commety ne bana diya aur hataane per Qudrat na ho to kisi doosri masjid me saaleh imaam talaash kare ( Yani doosri masjid me ba-jama’at Namaz padhe ) ,
Agar mayassar na ho to jama’at na chhode balki faasik ke pichhe hi Namaz padh le,  Uska azaab v Vabaal Masjid ke muntazimeen ( intezamiya commety ) per hoga,

↳ ® Ba- Hawala— Shami,  Ahsanul fatawa-3/26
↳®Fiqhul ibadaat, 241           
     
 
❂  Jahri  Qiraat  ki  Miqdaar  ❂

                    ◆◇◆◇◆

★ Imaam  ke  liye  Jahri  NamaZo  me   qiraat  ki  miqdaar  ye  he  k,
Itni  awaaz  me  qiraat  padhe  k  pehli  Saf  ke  NamaZi  qiraat  sunle,
Tamaam  Namazio’n  ko  sunana  laazim  nahi,

↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/234           
       
 
             ❂  Mutafarrik  ❂

                   ◆◇◆◇◆      
 
★ Imaam ka Mehrab me khada hona makrooh he, Mehraab to qibla ki shanakht ke liye hoti he, imaam ka musalla mehraab se zara sa bahar hona chahiye, taki imaam jab khada ho to uske paanv mehraab se bahar ho,

★ Immam ovper wali manzil se bhi imaamat kar sakta he, lekin behtar munasib ye he k imaam pehli manzil me rahe,

★ Agar Umar ke lihaz se baalig he aur abhi Dadi nahi nikli uski imaamat sahi he, isi tarah jis shakhs ki qudrati Dadi na ho uski imaamat bhi sahi he,

★ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Dadi badhane ka hukm diya he, albatta baaz Sahaba ikraam Raziyallahu anhum se ek musht se zyada ka kaatna saabit he, isse tamaam fuqha e ummat ne ek musht se zyada ke kaatne ko jaa’iz aur isse kam ke kaatne ko haraam farmaya he, ese imaam ke pichhe Namaz jaa’iz nahi,

★ Imaam agar musafir ho to wo qasr padhega aur uske pichhe Jo log muqeem he’n wo apni baqi raka’ate ( 3 ya 4 raka’at wali namaz me )puri kar lenge, agar imaam muqeem ho aur muqtadi musafir ho to wo imaam ke saath puri Namaz padhega,

★ Jo imaam siyaah  khizab lagata ho uske pichhe Namaz makrooh Tehrimi he,

★ Salwaar, Pajama aadhi pindli tak rakhna sunnat he, Takhno tak rakhne ki ijazat he aur Takhno se niche rakhna haraam he aur Namaz me ye fa’al aur bhi haraam he,

⇨ Jo imaam salwaar ya pajama takhno se nicha rakhne ka aadi ho agar wo isse baaz na aaye to usko imamat se hata dena durust he,

★ Faasiq haraam aur kabeera gunaah karne wale ki iqtida me adaa ki gayi Namaz makrooh Tehrimi he,
★ Bank ke mulazim ki imaamat makrooh Tehrimi he, Bank ki mulazmat jaa’iz nahi, Bank ki tankhwah chuki sood se milti he isliye wo bhi halaal nahi,

★ Jo shakhs T V dekhta ho, Gana sunta ho, cinema dekhta ho wo faasiq he uske pichhe Namaz makrooh Tehrimi he, usko imaam na banaya jaye,

★ Rishwat lena kabeera gunah he, iska murtkib faasiq he aur faasiq ki imamat makrooh Tehrimi he,

★  Qatil ne apne gunaah se tauba kar li ho to uske pichhe Namaz bila karahat jaa’iz he, varna makrooh Tehrimi he,

★ Kya imaam Sunnate Mokada padhe bager imaamat kara sakta he ?

⇨ Imaam ne Sunnate na padhi ho tab bhi wo jama’at kara sakta he, imaam sahab ko chahiye k sunnato se pehle faarig hone ka ahatmam kiya kare aur agar kabhi imaam pehle faarig na ho sake to muqtadiyo ko chahiye k imaam ko sunnato ka moqa de diya kare,

★ Agar Namazi aage pichhe ho ya saf me jagah khali ho to imaam ko hidayat karni chahiye,

★ Imaam ki awaaz (muqtadiyo tak ) pahunche ya na pahunche iqtida sahi he aur sawaab me bhi koi kami nahi aati,

★ Imaam ko chahiye k namaz me muqtadiyo ki riaayat kare aur itni lambi namaz na padhaye k log tang ho jaye, imaam ko halki Namaz padhane ka hukm he, kyuki muqtadiyo me koi kamzor hoga, koi bimaar hoga, koi haajat mand hoga,

⇨ Ek aur Hadees me hukm he k jama’at me Jo sabse kamzor Aadmi ho uski riaayat karte hue Namaz padhaye,

★ Imaam ko chahiye k namaz ke baad muqtadiyo ki taraf pusht karke na bethe, balki ya to muqtadiyo ki taraf moonh karke beth jaye ya daaye baaye moonh karke beth jaye,

⇨ Namaz ke baad imaam ko muqtadiyo ki taraf moonh karke bethna koi zaruri nahi, daaye, baaye jis taraf chahe beth sakta he,

★ Imaam se kisi duniyavi sabab se naraazgi rakhna bura he, Jis imaam se naraazgi ho Namaz uske pichhe jaa’iz he,

⇨ imaam se agar masle me ikhtilaf ho jaye chahe imaam ki galti ho ya muqtadi ki, uske pichhe padhi hui Namaz sahi he,

↳® Aapke masail aur unka Hal, Jild - 2       
         ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

    ✺ Muqtadi Ke  Masail -1 ✺   
               
                    ◆◇◆◇◆

★ Muqtadi ka ruku v Sajda aur qoma v jalsa imaam ke saath hi hona chahiye basharte k muqtadi imaam ke rukn shuru karne ke baad us rukn ko shuru kare neez ye k imaam se aage nikalne ka andesha na ho,

⇨ agar imaam ke uthne bethne ki raftaar sust ho aur ye andesha ho k agar imaam ke saath hi rukn shuru kiya to imaam se aage nikal ja’ega to esi haalat me thoda sa tawakkuf karna chahiye,

,
↳® Aapke masail aur unka Hal, 2/255         
     
★ Muqtadi ko takbeere ahista kehni chahiye aur ahista ka matlab ye he k awaaz sirf uske kaano ko sunai de,  imaam ko buland awaaz se,

★ Jab imaam qiraat shuru kar de to sana chhod deni chahiye aur Sirri Namazo me ( zuhar, Asr ) me ye khayal ho k imaam qiraat shuru nahi ki hogi to sana padh le, uske baad chhod de,

★ Shafai Hazraat Fajar ki doosri raka’at me ruku ke baad aur sajde se pehle khade hokar duae qunoot padhte he’n, hamare nazdeek ( Hanafiya) haath chhodkar khamosh khade rehna behtar he aur jab imaam sajde me jaye to Sajde me chale jaye,

↳® Aapke masail aur unka Hal, 2/256         
      
★ Jama’at ki namaz me qiraat imaam ka wazifa he, muqtadi ko khamoshi ka hukm he,

★ Imaam Abu Hanifa Rh ke nazdeek imaam ki qiraat muqtadi ke liye kaafi he, lihaza imaam ke pichhe soorate padhna sahi nahi, Aur Ahle hadees hazraat imaam ke pichhe sirf Fatiha padhne ka hukm karte he’n,

⇨ Imaam ke pichhe qiraat ke maamle me apne apne maslak per amal kare, Ikhtilafi Masail me ek doosre se ulajhna nahi chahiye,

★ Imaam ke salaam ferne tak muqtadi qa’ada me doosri duae bhi padh sakta he,

★ Ruku aur Sajda me Imaam se pehle jana gunaah he, imaam se pehle salaam ferna naja’iz aur  makrooh Tehrimi he,

★ Imaam ki iqtida ke liye Saf me hona zaruri he,

↳® Aapke masail aur unka Hal, 2/260         
         ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

    ✺ Masbooq Aur Laahiq -1 ✺    
              
                    ◆◇◆◇◆

★ Jis shakhs se imaam ke pichhe Namaz ki kuchh raka’ate reh gayi ho aur wo baad ki raka’ato me imaam ke saath shareek usko masbooq kehte he’n, maslan Jo shakhs imaam imaam ke saath doosri raka’at me shareek hua wo Masbooq he,

★ Masbooq Aakhri qa’ade me imaam ke pichhe sirf Attahiyat padhe aur imaam ke salaam ferne ka intezar kare fir jab imaam salaam ferle to khada ho jaye aur jitni raka’ate reh gayi ho wo poori kare,

★ Agar ek raka’at reh gayi ho to uthkar jis tarah pehli raka’at padhi jati he Sana se shuru kare aur Surah Fatiha aur Surat padhkar raka’at puri kare, Aur agar do raka’ate reh gayi ho to uthkar pehli do raka’ato ki tarah padhe,

★ Agar 3 raka’ate reh gayi ho to pehli raka’at Sana se shuru karke Surah Fatiha aur koi Surat padhe aur us raka’at per qa’ada kare, doosri raka’at me Surah Fatiha aur Surat padhe aur Teesri me sirf Surah Fatiha padhe aur aakhri qa’ada kare,

★ Jo shakhs ibtida me imaam ke saath namaz me shareek hua tha magar kisi vajah se uski baad ki raka’ate imaam ke saath nahi hui usko “Laahiq” kehte he’n, maslan Jo shakhs imaam ke saath pehli raka’at me shareek tha magar doosri raka’at me kisi vajah se shareek nahi raha Laahiq he,

★ Ruku me shareek hone wala khada hokar Allahu Akbar kahe aur bager Sana padhe Allahu Akbar kehkar Ruku me chala jaye,

⇨ Imaam jis haalat me bhi ho masbooq ko usi haalat me Shareek ho jana chahiye imaam ke qayaam ka intezar na kare,

★Baad me shareek hone wala bhi imaam ke saath Sajda Sahu kare,

★ Agar Masbooq imaam ke saath hi salaam fer diya tha to uthkar Namaz puri kar le, Sajda Sahu ki zarurat nahi, aur agar imaam ke faarig hone ke baad Salaam fera to Namaz puri karke akhir me Sajda Sahu kare,

↳® Aapke masail aur unka Hal, 2/291        
    

              ⚀ Talib e Dua,
             ⊙   Haqq Ka Daayi,
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             ------------
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━

Post a Comment

 
Top