0

✿✿✿✿

╓━════◐◐◑════━╖
                        بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜

               ASR – E – HAAZIR
         ❀ Hadees Ke Aa’ine Me❀

                      ⚄ PART-51 ⚄

           ⇨ 51- Kya Esa bhi Hoga?

★ Musa bin Abi isa Madni Rehmatullah se rivayat he k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

→” Us waqt tumhara kya hoga jab tumhare jawaan badkaar ho ja’enge aur tumhari ladkiya’n aur aurte’n tamaam hudood falaang ja’engi, ”

Sahaba Raziyallahu Anhum .ne arz kiya,

→” Ya Rasulullah ! Kya esa bhi hoga,?
Farmaya –

→ “Haa’n, aur isse bhi badkar us waqt tumhara kya haal hoga jab na tum bhalai ka hukm karoge na burai se mana karoge, ”

Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya-

→”Ya Rasulullah ! Kya esa bhi hoga? ”

Farmaya –

→” Haa’n aur isse bhi badtar us waqt tum per kya guzregi jab tum burai ko bhalai aur bhalai ko burai samajhne lago, ”

Kitabul Raqa’iq laa bin Mubarak,,, 484

, 52ontinue in sha Allah ta’ala,

                 ⚄ PART- 52 ⚄

⇨ 52- Aurto’n ki Farmabardari ◆

★ Hazrat Abu Harayra Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

→” Jab maal e ganimat ko daulat,

→ Amanat ko ganimat

→ aur zakaat ko tawaan samjha jaa’ega,

→ Duniya kamane ke liye ilm hasil kiya jaye,

→ Mard apni Bivi ki farmabardari kare aur apni maa’n ki nafarmani,

→ apne dost ko qareeb kare aur apne Baap ko door

→ aur Masjido me awaaze buland hone lage,

→ Qabile ka badkaar unka Sardaar ban bethe

→ aur zaleel aadmi qaum ka qaa’id ( chodhri) ban jaye,

→ Aadmi ki izzat mahaz uske zulm se bachne ke liye ki jaye,

→ Gaane wali aaurte’n aur gaane bajane ka samaan aam ho jaye,

→ Sharabe pi jane lage

→ aur pichhle log pehlo ko laan taan se yaad kare’n,

→ us waqt surkh aandhi, zalzala, zameen me dhans Jane, shakle bigad jane, aasman se patthar barasne aur tarah tarah ke lagataar azaabo ka intezar karo

→ jis tarah kisi bosida haar ka dhaga toot jane se motiyo ka taata bandh jata he,

JAMAI’A TIRMIZI,, 2/44

, 53ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                   ⚄ PART- 53 ⚄

⇨ 53- Zakaat Ko Tax Qaraar Diya Ja’ega ◆

★ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshaad farmaya,

→” Jab meri ummat 15 kaam karne lagegi us waqt us per masa’ib ka pahaad toot padega,”

Arz kiya gaya-

→”Ya Rasulullah ! Wo 15 kaam kya he’n? ”

Farmaya –
→”Jab ganimat daulat ban jaye, amanat ko ganimat ki tarah loota jane lage,

→ zakaat ko tavaan aur tax samjha jaye,

→ mard apni bivi ka kaha maane aur maa’n se badsuluki kare,

→ dost se wafadari aur baap se bewafai barte,

→ masjido me awaaze buland hone lage,

→ sabse kameena aadmi qom ka numa’inda kehlaye,

→ aadmi ki izzat uske shar se bachne ke liye ki jaye,

→ sharabnoshi aam ho jaye,

→ reshmi libaas pehna jaye,

→ gaane wali aaurte’n aur gaane bajane ka samaan rakha jaye

→ aur ummat ka pichla hissa pehlo ko bura bhala kehne lage,

→ us waqt surkh aandhi, zameen ke dhansne ya shaklo ke bigadne ka intezar karna chahiye, ”

Tirmizi Sharif,,, 2/44

, 54ontinue in sha Allah ta’aala,

                  ⚄ PART- 54 ⚄

⇨ 54- Masajid ki Behurmati ◆

★ Hazrat Hasan Rehmatullah Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k,

→” Logo per ek zamana aaega jabki log masjido me bethkar duniya ki baate kiya karenge ,

→ tum unke paas na bethna, Allah ta’aala ko ese logo ki koi zarurat nahi,

Mishkaat Sharif,, 71

, 55ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                  ⚄ PART- 55 ⚄

             ⇨ 55-Jaahil Mufti ▩

★ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

→ “Allah ta’aala ilm ko is tarah nahi uthayega k logo ke seene se nikaal le,

→ balki ulema ko ek ek karke uthata rahega

→ yaha’n tak k jab koi aalim nahi rahega to log jahilo ko peshva bana lenge, unse masail puchhenge

→ woh jaane bujhe bager fatwa denge, woh khud bhi gumrah honge aur doosro ko bhi gumrah karenge, ”

Mishkaat Sharif kitabul uloom, 33

, 56ontinue in sha Allah ta’ala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                   ⚄ PART- 56 ⚄

          ⇨ 56- Ulma aur Hukkam ▩

★ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

→” meri ummat me ek jama’at hogi Jo deen ka qanoon khoob hasil karegi aur Quran bhi padegi,

→ fir woh kahenge Aao hum in haakimo ke paas jakar unki duniya me hissa lagaye aur apna deen unse alag rakhe

→ lekin esa nahi ho sakta jese k kaante dar darakht se sivae kaanto ke aur kuchh hasil nahi ho sakta isi tarah in hukkam ke paas jakar bhi gunaho ke Siva kuchh nahi milega,

Ibne Maaja,, 22

, 57ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                   ⚄ PART- 57 ⚄

⇨ 57-Deen ki Baato ko Ulat Diya Jaega ▩

★ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai’n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suna he k,

→ ” Deen ki sabse pehli cheez Jo bartan ki tarah ulti ja’egi wo sharaab he,

→ Arz kiya gaya,-
Ya Rasulullah! Ye kese hoga jabki Allah ta’aala ne iski hurmat ko saaf saaf bayaan farma diya he,

→Farmaya –
” Koi aur naam rakhkar use halaal kar lenge, ”

Mishkaat Sharif,, 460

, 58ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                ⚄ PART- 58 ⚄

        ⇨ 58-Tabahi ki Asal Buniyad ▩

★ Hazrat Amru bin Auf Raziyallahu Anhu Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k,

→ ” Khuda ki qasam mujhe tumhare mutalliq Faqr v Faaqa ka khatra nahi,

→ balki dar is baat ka he k duniya tum per is tarah feyla di ja’egi jis tarah tumse pehli ummato per feylayi gayi,

→ Fir tum ek doosre per is per hirs karne lago jis tarah pehli ummato ne hirs ki,

→ fir woh tumko bhi isi tarah halaak kar daale jis tarah usne pehlo ko halaak kar diya,”

Mishkaat Sharif,, 440

, 59ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                    ⚄ PART- 59 ⚄

    ⇨ 59-Yahood v Nasara ki Naqqali ▩

★ Hazrat Abu Saied Raziyallahu Anhu se rivayat he k Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

→” Tum bhi theek pehli ummato ke naqsh e qadam per chal kar rahoge

→ hattaki agar wo goh ke surakh me ghuse to tum bhi usi me ghus kar rahoge,

→Arz kiya gaya,-
” Ya Rasulullah! Pehli ummato se muraad Yahood v Nasara hai’n?”

→Farmaya, –
” aur kon?”

Mishkaat Sharif,, 458

★ Ek aur rivayat me he k agar unme kisi ne apni maa’n se elaaniya badkari ki hogi to meri ummat me bhi is qism ke log honge,

( Mazallah)

Next -60 in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

   
                   ⚄ PART- 60 ⚄

         ⇨ 60- Andha dhund Qatl ▩

★ Hazrat Abu Harayra Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

→ ” Us Zaat ki qasam jiske qabza e qudrat me meri jaan he

→ Duniya khatm nahi hogi yaha’n tak k logo per esa daur na aa jaye jis me na qaatil ko ye bahas hogi k usne kyu qatl kiya,

→ na maqtool ko ye khabar hogi k wo kis jurm me qatl kiya gaya,”

→ Arz kiya gaya, –
” Esa kyo hoga?”

→ Farmaya –
” Fasaad aam hoga, qaatil v maqtool dono jahannam me ja’enge, ”

Mishkaat Sharif,, 462

Next – 61ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                ⚄ PART- 61 ⚄

         ⇨ 61- Bad se Badtar Daur ▩

★ Zuber bin Adi Rehmatullah farmate hai’n k humne Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se unki khidmat me un masa’ib ki shikayat ki Jo hijjaj ki taraf se pesh aa rahe the,

Unhone sunkar farmaya,
→” Sabr Karo tum per Jo daur bhi aa’ega uske baad ka Daur usse bhi badtar hoga,

→ yaha tak k tum apne rab se ja milo,

→ mene tumhare Nabi Sallallahu Alaihivasallam se yahi suna he,”

Mishkaat Sharif,, 463

, 62ontinue in sha Allah ta'ala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                   ⚄ PART- 62 ⚄

   ⇨ 62-Tabaah Kun Gunaho per Jurrat ▩

★ Hazrat Anas aur Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhuma farmaya karte the k,

→” Tum log baaz amaal karte ho Jo tumhari nazar me to Baal se bhi bareek ( yani mamuli) hote hai’n

→ lekin hum unhe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke zamane me” Tabaah kun” shumar kiya karte the,”

Mishkaat Sharif,, 458

63ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                 ⚄ PART-63 ⚄

           ⇨ 63- Lagataar Fitne ▩

★ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate he’n k hum ek safar me Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ke saath the, humne ek manzil per padaav kiya, humme se Baaz Kheme laga rahe the, baaz teerandazi ki mashq kar rahe the, Achanak Aap Sallallahu Alaihivasallam ke mozzin ne elaan kiya k namaz taiyar he,

→ me Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me hazir hua to Aap khutbe me irshad farma rahe the,

→” Logo mujhse pehle Jo Nabi bhi guzra he uska farz tha k apni ummat ko woh cheeze batae jise woh unke liye behtar samajhta he,

→ aur un cheezo se darae jinko unke liye bura samajhta he,

→ Suno ! is ummat ki aafiyat pehle hisse me he aur ummat ke pichhle hisse ko ese masa’ib aur fitno se do char hona padega Jo ek doosre se bad chadkar honge,

→ ek fitna aaega pas momin ye samjhega k ye mujhe halaak kar dega,

→ fir woh jata rahega aur doosra teesra fitna aata rahega

→ aur momin ko har fitne se yahi khatra hoga k ye use tabaah v barbaad kar dega,

→ Pas jo sakhsh ye chahta ho k use dozakh se nijaat mile aur wo jannat me dakhil ho., uski maut is haalat me aani chahiye k woh Allah per aur akhirat ke din per imaan rakhta ho

→ aur logo se wahi maamla barte Jo apne liye pasand karta he

→ aur jis sakhsh ne kisi imaam ki bayt kar li aur use ahad v Pemaan de diya fir use jaha tak mumkin ho uski farmabardari karna chahiye,”

Sahi Muslim,, 2/126

, 64ontinue in sha Allah ta’ala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                     ⚄ PART- 64 ⚄

⇨ 64- Khuda ki Zameen Tang ho Jaegi ▩

★ Hazrat Abu Harayra Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,”

→” Akhri zamane me meri ummat per unke haakimo ki janib se ese masa’ib toot padenge k un per khuda ki zameen tang ho jaegi,

→ us waqt Allah ta’aala meri aulaad se ek shakhs ( Mehndi Alaihissalam) ko khada karenge

→Jo zameen ko adl v insaaf se usi tarah bhar denge jis tarah wo pehle zulm v sitam se bhari hui hogi,

→ unse zameen wale bhi raazi honge aur aasmaan wale bhi, unke zamane me zameen apni tamaam pedawaar ugal degi aur aasmaan se khoob barish hogi, woh unme 7 ya 8 ya 9 saal rahenge,

Tirmizi Sharif,, 2/46

65ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                     ⚄ PART-65 ⚄

⇨ 65- Fitna zada Quloob ▩

★ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se khud suna he,
Aap Sallallahu Alaihivasallam farmate the k,

→ ” Fitne dilo me usi tarah ek ke baad digar dar aaenge jis tarah chatai me ek ke baad digar ek tinka dar aata he,

→ chunache jis dil ne in fitno ko qubool kar liya aur we isme puri tarah rach bas gaye us per ( har fitne ki evaz ) ek syaah nuqta lagta jaaega,

→ yaha’n tak k dilo ki 2 qisme ho jaengi,
Ek sange mar mar jesa safed k use rehti duniya tak koi fitna nuqsaan nahi dega,
Aur doosra khaktari rang ka syaah ulte koze ( ghade) ki tarah k khair ki koi baat usme nahi tikegi,

→ ye bajuz us khwahishat ke Jo Jo usme rach bas gayi he’n,

→ na kisi neki ko neki samjhega na kisi burai ko burai
( uske nazdeek neki aur badi ka maiyar bas apni khwahish hogi ), ”

Sahi Muslim,, 1/82

66ontinue in sha Allah ta’ala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                    ⚄ PART- 66 ⚄

⇨ 66- Insani libaas me Shaytan ▩

★ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k log Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se khair ki baate puchha karte the aur me Aap Sallallahu Alaihivasallam se shar ke bare me tehqeeq kiya karta tha k kahi’n esa na ho k wo mujhe lailmi ki vajah se pahunch jae,
Farmate hai’n,

→ mene (ek dafa )arz kiya –
“Ya Rasulullah ! Hum jahiliyat aur shar me fanse hue the, Haq ta’aala Shanhu ne ( aapki badolat) hamare pass ye khair bhej di, ( yani islaam), to kya is khair ke baad bhi koi shar hoga?”

→Farmaya –
“Haa’n, ”
→mene kaha –

“aur us shar ke baad koi khair hogi?”

→Farmaya –
“Haa’n, magar usme kadurat hogi,”
→Mene kaha –
“Kadurat kya hogi?”

→Farmaya –
“kuchh log honge Jo meri sunnat ke bajaye doosri cheezo ki talqeen karenge, unme nek v bad ki aamijish hogi,”

→Mene kaha-
“achchha us khair ke baad bhi koi shar hoga?”

→Farmaya –
“Haa’n, Jahannam ke darwazo per bulane wale honge Jo unki dawat per labbek kahega, use jahannam me jhonk denge,”

→Mene kaha-
” Ya Rasulullah! Zara unka haal to bayaan farmae’n,”

→Farmaya –
“wo hamari hi qaum se honge aur hamari hi zuban bolenge”
( yani islam ke muddai honge aur islami istlahaat ko matlab barari ke liye istemal karenge ),
→Mene arz kiya-
” agar ye bura waqt mujh per aa jaye to Aap mujhe kya hidayat farmate hai’n?”
→ Farmaya –
“Musalmano ki jama’at aur unke imaam se chimte rehna,”
→ Mene kaha-
“agar us waqt na musalman ki jama’at ho na imaam to fir?”
→ Farmaya –
” fir in tamaam firqo’n se alag raho chahe tumhe kisi darakht ki jad me jagah banana pade, hattaki isi haalat me tumhari maut aa jaye,”

Mishkaat Sharif,, 461
Bukhari Sharif, 2/1049

⇨ Aur ek rivayat me he k,
” Mere baad kuchh muqtda aur hukkaam honge Jo na meri seerat per chalenge, na meri sunnat ko apnaenge, unme kuchh ese log khade honge jinke quloob insani jism me shayateen ke quloob honge,

→ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu Farmate hai’n, mene arz kiya,-
“Ya Rasulullah! Agar ye bura waqt mujh per aa jaye to mujhe kya karna chahiye?
→ Farmaya –
( Jaa’iz umoor me ) ” Ameer ki sama’a v taa’at baja lana chahe wo teri kamar per kode maare aur Tera maal loot le tab bhi sama’a v taa’at baja lana, ”

Mishkaat al Masabih,,462

67ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

               ⚄ PART- 67 ⚄

⇨ 67- Dilo se Amanat nikal Jaegi ▩

★ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne do baate batlayi,

→ ek to mene aankho se dekh li aur doosri ka muntzir hun,

→ Pehli baat Aapne ye batlayi k Amanat ( noore imaan) logo ke dilo ki gehraiyo me utra, iske baad unhone Quran seekha, fir sunnat ka ilm hasil kiya

→( iska mushahidah to mene khud kar liya ),

→ Doosri baat Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Amanat ke uth Jane ke bare me farmai,

→ Farmaya k aadmi ek dafa soyega to amanat ka kuchh hissa uske dil se nikaal liya ja’ega,

→ chunache til ke nishan ki tarah uska nishan reh ja’ega, fir dobara soyega to amanat ka baqiya hissa bhi qabz kar liya ja’ega,

→ uska nishan aabla ki tarah reh ja’ega, jese tum apne paanv per aag ka angara khincho to aabla ubhra hua nazar aaega, magar uske andar kuchh nahi hota,

→Aur din bhar log kharido farokht karenge lekin ek bhi aadmi mushkil se esa nahi mil sakega Jo amanat Ada karta ho, chunache ( dayanat ka is qadar qahat hoga) k ye kaha ja’ega k fala qabile me ek aadmi amanat daar he aur ( bad mazaqi ka ye haal hoga) k ek aadmi ke mutalliq ye kaha ja’ega, wah wa! Kitna aqalmand aadmi he, kitna zinda dil he, kitna bahadur he ( weh esa he, wesa he)

→halaki us banda e khuda ke dil me raai ke daane ke barabar bhi to imaan nahi hoga, ”

Mishkaat Sharif,, 461
Bukhari Sharif,, 2/1050

, 68ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

              ⚄ PART- 68 ⚄

⇨ 68- Bad Aamali Ke Nata’ij ▩

★ Hazrat Ziyaad bin Lubayd Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne kisi holnaak cheez ka tazkraah farmaya aur farmaya k

→” ye us waqt hoga jab ilm jata rahega,
→ Mene arz kiya,-
“Ya Rasulullah ! aur ilm kese jata rahega,? jabki hum khud Quran padte he’n aur apne bachcho ko padate he’n, hamari aulad apni aulaad ko padayegi aur ta qayamat ye silsila jari rahega,”

→ Farmaya –
” Ziyaad ! Teri maa’n tujhe gam paye ( yani tu mar jae)
me to tujhe Madina ke faqih -tar logo me se samajhta tha,
(magar ta’ajjub he k tum to itni si baat ko bhi nahi samajh pae, akhir tumhe ilm ke uth Jane per ta’ajjub kyu hone laga ),

→ Kya ye yahood o nasaara toraat v injeel nahi padte?
→ Lekin inki kisi baat per bhi to amal nahi karte ,
( isi bad amali ke nateeje me ye ummat bhi wahi ki barakaat kho bethegi, pas be maani qatl v qitaal reh ja’ega), ”

Mishkaat ul Masabih,, 38

, 69ontinue in sha Allah ta’ala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                   ⚄ PART- 69 ⚄

           ⇨ 69-Ikhtilaf ki Nahusat ▩

★ Ibne Ishaq se rivayat he k Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne ( Saqifa bani Saa’ida wale din ) ye bhi farmaya tha k ,

→ye baat to kisi tarah jaa’iz nahi k musalmano ke do Ameer ho’n,

→ kyuki jab bhi esa hoga, musalmano ke tamaam kaamo aur tamaam hukmo me ikhtilaf payda ho ja’ega

→ aur unka mel bikhar ja’ega aur unka aapas me jhagda ho ja’ega

: → aur fir sunnat chhoot ja’egi aur bid’at gaalib aa ja’egi aur bada fitna jaahir ho ja’ega aur koi bhi use theek na kar sakega, ”

Hayatussahaba, 2/1
Bayhqi, 8/145

70ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                   ⚄ PART- 70 ⚄

         ⇨ 70-Na-ahlo ki Hukumat ▩

★ Rafe’a Taai kehte hai’n k ek jihaad me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu anhu ka rafeeq tha, wapsi per mene kaha,

” Ey ! Abu Bakar Raziyallahu anhu mujhe koi nasihat kijiye,

→ Farmaya-

” Farz namaze theek waqt per pada Karo, apne maal ki zakaat khush dili se diya Karo, ramzan ke roze rakho …….aur betullah ka hajj kiya karo,

→ dekho islam me hijrat badi achchhi baat he, aur hijrat me jihaad bahut khoob he

→ aur haakim na banna !”

Fir farmaya, –

→” ye imaarat Jo aaj tumhe thandi nazar aati he, bahut jald ye fel jaegi aur zyada ho jaegi yaha’n tak k un logo ke haath lagegi Jo iske ahal nahi honge,

→ halaki Jo shakhs haakim ban jata he uska hisaab taveeltar aur azaab sakht tar hoga,

→ aur Jo sakhsh Ameer na bane uska hisaab nisbatan asaan aur azaab halka hoga,

→ iski vajah ye he k Hukkam ko musalmano per zulm ka mauka nisbatan zyada milta he

→ aur Jo sakhsh musalmano per zulm karta he wo ahade khudavandi ko todta he,

→ Ahle imaan Allah ke hamsaaye aur uske bande hai’n, tumme se kisi ke hamsaaye ki bakri ya ount ko aafat pahunche to saari raat pareshani me guzaarta he aur kehta he, k mere hamsaaye ki bakri, mere hamsaaye ka ount,

→ Pas yaqeenan Allah ta’aala is baat ka zyada haqdaar he k wo apne hamsaaye ki takleef per gazab naak ho, ”

Kanzul Ummaal,, 5/752

71ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                    ⚄ PART- 71 ⚄

              ⇨ 71- Dajjali Firqa ▩

★ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

→” Aakhri zamane me kuchh log honge Jo kaha karenge,

” taqdeer koi cheez nahi,”

→ ye log agar bimaar padenge to inki ayaadat na Karo,

→ Mar jae’n to inke janaze me shirkat na Karo,

→ kyuki ye Dajjal ka tola he, Allah ta’aala ke zimme he k inko Dajjal se mila de, ”

Musnad, Abu Daoud, 2/58

72ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                      ⚄ PART- 72 ⚄

    ⇨ 72- Zaruriyaate Deen Ka inkaar ▩

★ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya,

→” Baad ke zamane me kuchh log aaenge Jo kaane dajjaal ko afsana batlayenge,

→ Qurbe Qayamat me suraj ke magrib ki jaanib se tulu’a hone ka inkaar karenge,

→ Azaabe Qabr ki takzeeb karenge,

→ Shafa’at ka inkaar karenge,

→ Hoze kausar ka inkaar karenge aur dozakh me jal bhun kar usse nijaat paane walo ka inkaar karenge,”

Kanz, 1/388

, 73ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                      ⚄ PART- 73 ⚄

          ⇨ 73- Quran se Shubhaat ▩

★ Hazrat Amirul Momineen Umar Raziyallahu Anhu farmate hai’n,

→” Anqareeb kuchh log payda honge Jo Quran ( ki galat ta’abeer ) se ( deen me) shubhat payda karke tumse jhagda karenge,

→ unhe Sunan se pakdo, kyuki Sunnato se waqif hazraat Kitabullah ( ke sahi mafhoom ) ko khoob jaante hai’n, ”

Sunan Daarami, 1/47

, 74ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                     ⚄ PART- 74 ⚄

     ⇨ 74- Qurani Dawat ka Daava ▩

★ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai’n,

→ ” ilm ke uth jaane se pehle pehle ilm hasil kar lo,

→ ilm ka uth jaana ye he k ahle ilm rukhsat ho jaaenge,

→ Khoob mazbooti se ilm hasil karo, tumhe kya khabar k kab iski zarurat pesh aa jaye,

→ ya doosro ko iske ilm ki zarurat pesh aaye aur ilm se faayda uthana pade,

→ Anqareeb tum ese logo ko paaoge jinka daava ye hoga k woh tumhe Qurani Dawat dete hai’n halaki kitaabullah ko unhone pashe pusht daal diya hoga,

→ isliye ilm per mazbooti se qaa’im raho, nayi bekaar, besood ki moshgani aur laayani baato se bacho, ( Salfe Saleheen ke) purane raaste per qaa’im raho,”

Sunan Daarami, 1/50

, 75ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                      ⚄ PART- 75 ⚄

⇨ 75-Sunnat ke Mafhoom me Mugaalta Andazi ▩

★ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu anhu ne ek shakhs ko nasihat karte hue farmaya,

→” Dekho ! Tum ese zamane me ho jisme faqeeh zyada he’n aur qaari kam,

→ is zamane me Quran ke haroof se zyada uski hudood ki nigahdaasht ki jati he,

→ maangne wale aur dene wale zyada he’n, Khutba mukhtsar aur namaz lambi hoti he, is zamane me log amaal ko khwahishat per muqaddam rakhte hai’n,
Aur ek zamana esa aaega jisme faqeeh kam honge aur qaari zyada, Quran ke haroof ki khoob hifazat ki jaaegi magar uski hudood ko pamaal kiya jaaega, maangne walo ki bheed hogi, lekin dene wale kam honge, Taqreere badi lambi chodi karenge lekin namaz mukhtsar si padenge aur log amaal se pehle apni khwahishat ko aage rakhenge, ”

Jaamia ussalaat,116

, 76ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                  ⚄ PART- 76 ⚄

⇨ 76- Deeni Masail me galat Qayaas Aarai ▩

★ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai’n,

→” Tum per har aainda saal pehle se bura aaega,

→ meri muraad ye nahi he k pehla saal doosre saal se galle ki farawani me achchha hoga ya ek Ameer doosre Ameer se behtar hoga,

→ Balki meri muraad ye he k tamaam ulma, saaleheen aur faqeeh ek ek karke uthte jaenge aur tum unka badal nahi paoge,

→ aur ( qahatul rijaal ke zamane me) baaz ese log payda honge Jo Deeni Masail ko mahaz apni zaati qayaas aarai se hal karenge, ”

Daarami,, 1/58

, 77ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

                     ⚄ PART- 77 ⚄

           ⇨ 77- Inkaare Sunnat ▩

★ Hazrat Miqdaam bin Madikarb Raziyallahu anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

→” Agaah raho ! Mujhe Quran bhi diya gaya aur uske saath isi tarah ki ( wajibul itaat wahi ) aur bhi ( di gayi he’n, jise sunnat kaha jata he),

→ Agaah raho! Koi pet bhara apne takiye per tek lagaye hue ( Jo takabbur ki alamat he) mutakabbirana ( andaz me ) kahega:
logo sirf is Quran hi ( per amal ) ko laazim samjho, Jo cheez tumhe isme halaal mile bas usi ko halaal samjho aur Jo isme haraam mile usi ko haraam samjho, ( Quran fehmi ke liye Sunnat se madad na lo ),

→ halaki ( moti baat he k ) Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ( halaal aur haraam, Jaa’iz aur Najaa’iz ka Jo faysla farmate hai’n wo bahukme ilaahi hota he, isliye Aap Sallallahu Alaihivasallam ne) jis cheez ko haraam thehraya wo bhi usi tarah ( wajibul ahatraaz ) he jis tarah Allah ta’aala ki haraam thehrai hui cheez,

→ ( magar takabbur aur gabawat ki vajah se itni moti baat ko nahi samjhega ),”

Ibne Maaja,

, 78ontinue in sha Allah ta’aala,

•─━━━━━══════━━━━━─•

              ⚄ PART- 78 ⚄

⇨ 78- Deen ke maamle me Rishvat ▩

★ Hazrat Mu’aaz Raziyallahu Anhu Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k,

→” Hadiya usi waqt tak qubool kar sakte ho jab tak k wo hadiya rahe, lekin jab wo Deen ke maamle me Rishvat ban jae to use qubool na Karo

→ magar ( esa nazar aata he k ) tum ( ummat ke aam log ) use chhodoge nahi kyuki Faqr aur zarurat tumhe majboor karegi,

→ Agaah raho! K islaam ki chakki baharhal gardish me rahegi, isliye kitabullah jidhar chale uske saath chalo, ( use apni khwahishat ke mutabiq na dhaalo),

→ Agaah raho! K anqareeb kitaab aur haakim juda juda ho jaaenge, pas tum kitaabullah ko na chhodna,

→ Agaah raho! K anqareeb tum per ese haakim musallat honge Jo apne liye wo tajveez karenge Jo doosro ke liye tajveez nahi karenge,

→ tum agar unki nafarmani karoge to tumhe qatl karenge aur agar farmabardari karoge to ( be deeni ke sabab ) tumhe gumraah karenge, ”

→Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya,
” Ya Rasulullah! ( esi Surat me ) hume kya tarze amal akhtyar karna chahiye?”

→Farmaya, –

→” Wahi Jo Hazrat Eisa Alaihissalam ke ashaab ne kiya k unhe Aaro’n se cheera gaya, Sooli per latkaya gaya ( magar wo Deen per qaa’im rahe ) aur itaate ilaahi me jaan de dena ma’asiyat ki zindgi se ( ba darjaha) behtar he, ”

Kanz 15/216,

Ravah ul tabrani kama fi majmaul zawa’id 5/237

⊙ Talibe Dua,
ⓖ Haqq Ka Daayi,

•─━━━━━══════━━━━━─•

Post a Comment

 
Top