0
Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-824
Jannatee Kaun ??
Mafhum e Hadees :
Jo ALLAH ko Rabb maanney aur Islaam ko Deen banaaney aur (hazrat)Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ke Nabee hone par Raazee ho toa uuske liye Jannat waajib ho jaatee hai...
(Moataa e Imaam Maalik Shareef/Raavi-Hazrat Abu Saeed Khudri Razi.)
Sochaa Kabhee ??
Zindagee ya Sharmindagee ??
Jo waqt ALLAH ki Riza mein, ilm Haaseel karne mein, Ibaadat, Zik'r, DaawatoTableegh, Logon ki Islaah, MaaBaap aur Khidmat e Khalq wagairaah mein Guzar gaya bus wo hi Zindagee hai, Baaqee Guzra hua Waqt Sharmeendagee hai...!!
-------------------------/----------------/------------------
ALLAH ko Raazi karney ka Nuskhaah..
(ye DuAa pehley bhi Aaj Ka Sabaq No. MYP-AKS-090 aur 778 mein batayee gayee thee)
Awwal - Aakhir 1 + 1 Martaba Duruud ke saath
Subah - Shaam 3 + 3 martaba padho, Qayamat ke Din
ALLAH padheyney waale ko Raazi kar denge inshaALLAH
Razitu BiLLAHi Rabbaw wa bil Islaami Deenaw wa bi
Muhammadin Sal-lal-laahu-Alayhi-wa Sallama Rasulan wa Nabiyya
(BaHawaala Tirmizi, Ahmad aur Momin ka Hathiyaar Subah ka Azkaar No. 6 aur Shaam ka Azkaar No. 8)
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
-----------------------/-----------------/------------------
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-----------------------------------/--------------/------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-140
Huquq ul Ibaad/Human Rights -128
Fateh Makkaah ke Waqt ye
Aayaat Kyu Naazeel hue thee ??
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنَّا خَلَقْنَاكُم مِّن ذَكَرٍ وَأُنثَىٰ وَجَعَلْنَاكُمْ شُعُوبًا وَقَبَائِلَ لِتَعَارَفُوا إِنَّ أَكْرَمَكُمْ عِندَ اللَّهِ أَتْقَاكُمْ إِنَّ اللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرٌ
Hazrat Bilaal razi. Habshee thea yaanee Arab Nahee thea, Pehley Ghulaam bhi thea, Kaaley thea lekin Muttaqee hone ke wajeh se Fateh Makkaah ke Waqt jab RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Kaaba'h ki Chhat se Hazrat Bilaal razi. ko Azaan deney ka Hukm diya tab Makkaah ke Ek Non-Muslim Arab ne Etraaz mein kaha ke Kisi Izzatdaar aur uuchey khaandaan ke Insaan se Azaan deney kehna tha, es par uupar wali Aayaat Naazeel hue jiska Mafhumi Tarjama :
aye Insaano/Manushya/Logon...BeShak Hum ALLAH ne Paidaah kiya (tamaam Insaano ko) Ek Mard (hazrat Aadam a.s.) aur Ek Aurat (hazrat Maa Hawwa a.s.) Se aur Banaye Tumhaare Kumbey aur Kabeeley taake Pehchaano Ek Dusro ko...Yaqeenan Bahoot Ikraamwala Tum mein se ALLAH ke Nazdeek Wo (shakhs) hai jo (Tum mein) Ziyaadaah Taqwey wala (Par hezgaar, Khuda se Darney wala) hai, BeShak ALLAH (har cheez ka) Jaanneywala (har tarah ki) Khabar rakhney wala hai !!
Ab AAge Padhiye..
.
Azaan ke liye jo MuaZeen Sahib hotey hai jinko hum Baangee Sahib kehtey hai...Kya Hum uunhe Haqeer Nahee samajhtey ??? Sach kahna...
• Point...Nukta...•
Kaabah mein Sabse Pehlee Azaan Ek Non Arab kaaley Habshee Ghulaam ne Dee hai ye Ek BeMisaal Misaal hai !!
--------------------------------/--------------------/-------------

Post a Comment

 
Top